5• Haseen Ittefaq | حسین اتفاق

357 26 67
                                    


Allah is the light of the heavens and the earth; a likeness of His light is as a niche in which is a lamp, the lamp is in a glass, (and) the glass is as it were a brightly shining star, lit from a blessed olive-tree, neither eastern nor western, the oil whereof almost gives light though fire touch it not - light upon light - Allah guides to His light whom He pleases, and Allah sets forth parables for men, and Allah is Cognizant of all things. (al-Nur, 24/35)

Gaari sarak par rawan dawan thi , Liza passenger seat par bethi thi aur windowpane par hath rakhay khirki se bahar dekh rahi thi , Hadeed ek hath steering wheel pe mazbooti se jamaye hua tha aur doosray hath se ab apni tie loose kar raha tha.
Phichlay 10 minute ki drive mein kisi ne kuch nahi kaha , shayad kuch bolnay ko nahi tha ya phir bolnay ko tha toh bohat kuch magar bolnay ki himmat nahi thi.
Do log itnay pakeeza rishtay mein hokar bhi itnay ajnabi kesay hosaktay thay , qudrat ka bhi yahi sawal tha shayad.

"Tum yahan kiun ayi ho?"
Hadeed ne khamoshi tori.

"Yeh kesa sawal hai?"
Liza ki nazrein ab bhi bahar thi aur as paas ke logon ka pehra kar rahi thi.

"Sawal jaisa bhi hai mein jawab sunna chahta hun"
Hadeed Azam Khan ki wahi makhsoos raubdaar awaz.
Kabhi kabhi toh Liza ka dil bhi usski awaz sun kar machalnay lagta tha.

"Jawab sunne ka bohat shoq haina tunhein toh suno , mein yahan tumse talaaq lenay ayi hun , panch saal ke iss betukay benam se rishtay ko khatam karnay ayi hun mein"
Liza ab usski taraf rukh karke boli jabkay Hadeed ke chehray par koyi tasur na tha , magar yeh toh sirf Hadeed janta tha ke ussay Liza ke mun se talaaq ka lafz sun kar kitna ajeeb laga.
Kya rishtay jorna aur phir unhein khatam karna itna asaan hota hai jitna Liza Rehman Malik ko lagta hai.

"I see ! Toh matlab tum itni door Pakistan se sirf issliye ayi ho? Yeh residency waghera sab ek bahana tha mujhse talaq lenay keliye Woww well played Miss.Liza Rehman"
Hadeed ne ek kahkaha lagaya.

"Mujhay player samjhna hai ya looser i dont care magar mujhay tumse ek deal karni hai , gari side par roko"
Liza seedhi hokar beth gayi.

Hadeed ne ek sard si nigah uss par dali aur gari side par rok di.

"Mein yahan sirf 6 mah keliye ayi hun , residency toh mujhay waisay bhi kahin bhi karni thi , warna baba mujhay aisay kahin bhi anjan sheher akelay na janay detay , tumse bas itna chahti hun ke 6 mahinay baad mujhay divorce dedo , tum bhi khush mein bhi khush , aur han baba ya Sultana jan ki fikar mat karna unko mein keh doongi ke hamara bohat bara jhagra hogaya aur ham compatible nahi hain ek doosray keliye , tum par koyi ilzam nahi ayega"
Liza ek hi sans mein bolti gayi.

Hadeed iss larki ko sar se lekar paon tak dekhta raha , kon hai yeh larki , itna yaqeen itna bharosa kesay hai issay khud par , kisi cheez ka khof nahi ussko.
Khud hi game ke rules banati hai , aur khud hi khelti hai , haar jeet ka faisla bhi khud hi karti hai.
Zindagi bas ek game hai isske liye.

"Iss one-sided deal se mujhay kya fayda?"
Hadeed steering wheel par hath rakh ke bola.

"Kya matlab tumhari mujhse jan choot rahi hai iss se bara fayda aur kya hosakta hai?"

"Tumse yeh kisne kaha ke mein tumse jaan churana chahta hun?"
Hadeed usski taraf dekh kar bola.

Liza usse phatti phatti nigahon se dekhnay lagi.

"Kya matlab?"

"Golden words are not repeated twice"
Hadeed ankhein ghuma kar bola usske chehray par ek ajeeb si dheemi si muskurahat thi magar Liza ne iss baat ko zyada ehmiyat nahi di.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raat ke 8 baj rahay thay , Hadeed apnay office ki khirki ke paas khara apnay dono hath pant ki jaib mein diye hua tha , Zindagi ne ek naya mor leliya tha jaisay , woh aksar issi khirki ke samnay khara hokar sheher ki roshniyon ko dekhta , atay jatay logon ko dekhta , aur dil hi dil mein taqdeer se dheron shikway karta , apnay ammi abbu ko yad karta , khud ko aziyat deta takleef deta ussay aaj bhi yeh lagta tha ke woh accident isski ghalti thi, magar aaj woh yahan khara ek hi larki ke baray mein soch raha tha Liza Rehman.

MALAL E YAR | ON HOLDOnde histórias criam vida. Descubra agora