Zindagi kay 30 saal guzarnay kay baad bil akhir, mujhe woh lafz mil gaya hae jissay zindagi ko describe keya ja skta hae. Zindagi ajeeb hae. Zindagi ko na gulzar kaha ja skta hae na he khardar. Zindagi to mehaz buht saray waqeyat aur lamhat ka majmua hae. Esko ajeeb is liye kahungi kyu kay yeh samjh nahi ati. Heran karti hae aur kabhi kabhi buht pareshan bhi krti hae.
Shayd zindagi ki defination har insan kay liye munfarid hoti hae. Wajah yeh kay har insan ki zindagi ki kahani alag hoti hae. Aur phir yeh kahani he tou hae jo humari zindagi ki defination ko badal deti hae.
Yeh kahani insani jazbat ki hae. Khoon kay rishtou ki nahi, dil kay rishtou aur unsay juray jazbat ki. Yeh kahani dosti ki hae aur muhabat ki hae. Lekin aik baat yad rkhyega, this is not a love story.