ہم تمہاری محفل سے اٹھ کے گئے چپ چاپ
تمہارا پیچھے مڑ مڑ کے دیکھنا ہمیں بدنام کر گیاRaat ke 8 baj rahay thay Liza lounge ki khirki se bahar asman ko dekh rahi thi , woh Hoor aur Aaryan ka intezar kar rahi thi itnay mein woh dono andar aye aur hamesha ki tarah iss bar bhi lartay huay ghar mein qadam rakhay.
Liza ne lambi sans li aur apnay sath kaha"Lo phir shuru hogaye dono!"
"Tum intehayi bewaqoof larki ho pata hai na tumhein yeh baat"
Aaryan apni gari ki chabi side table par phenktay huay bola."Oh thank you very much ! Koyi nayi baat nahi hai tumharay pas karnay ko din mein sau dafa yad dilatay ho mujhay ke mein kitni bewaqoof hun"
Hoor bhi larayi ke full mood mein thi."Ek toh tumhein un pagalon se bachaya mein ne ulta mujhi par chilla rahi ho kabse"
"Han kiunke phichlay ek ghantay mein das dafa mujhay bewaqoofi ka tana diya hai aap janab ne , iss ke bad kya karoon mein phoolon se istikbal toh karnay se rahi,"
Liza dono ki taraf ayi
"Bhai sahab tum dono ka na ab kuch zyada hi horaha hai , tom and jerry ki tarah lartay rehtay ho jab dekho meray liye toh mushkil hogaya hai tum dono kesath rehna ab""Saari khushi pe pani pher diya iss bewaqoof ne"
Aaryan phir se hoor ki taang kheenchnay laga , Hoor jo ab lar lar ke thak gayi thi lounge ke sofay par dharam karke beth gayi."Konsi khushi ? Koyi mujhe bhi kuch bataye ga ? Tum dono ko bas ek doosray hi dikh rahay hain , mein invisible hogayi hun kya ? Mujhe bhi kuch batao"
Liza bachon ki tarah boli."Mr.Aaryan ne nayi gari leli hai , wahi gari jismein woh mujhe apartment tak lekar aye , bari meherbani hai in janab ki mujh par , wahi gaari jiske samnay teen pagal beech sarak mein kood paray , wahi gari jis se nikalnay keliye inhon ne mujhe khabardar kiya aur ankhein bhi dikhayi , wahi gaari jiske samnay yeh janab un teen pagalon ki khoob pitayi karnay walay thay bas Allah ne bacha diya unko"
Hoor bolti gayi aur Liza aur Aaryan kharay suntay gaye."Wohooooo Kya khaya hai hoor tumne , itni energy , ek sans mein poori ek film ki story suna di , lagta hai Aaryan ki rooh tum mein agayi hai"
Liza shararat bharay andaz mein boli."Aap dono karlo apni batein, mein nayi gaari ki mubarak bad kisi aur se leloonga jakar"
Aaryan mur kar bola."Arrrrrrrreyyyyyy meraaaa Cheeeeko !
Itna bara hogaya hai , gari leli khud ki"
Liza usska bazoo apnay hath mein lekar boli aur ussay bhi lakar sofay par betha diya ab woh teeno ek sath bethay thay wahan par , Liza Aaryan aur Hoor ke beech mein aur Liza dono ki dosti karwanay mein lag gayi , jo hamesha se usski hi job rahi hai.~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hadeed tracksuit pehnay huay tha , subah ke 6 baj rahay thay aasman bilkul saaf tha aur door door tak koyi badal nahi thay woh samandar ke kinaray par track par jogging kar raha tha , kanon mein headphones lagaye sanjeeda sa chehra , usske bayein taraf samandar ka pani aur usske dayein taraf Istanbul ke log jo apnay apnay kamon mein masroof koyi parindon ko dana dal raha , koyi office keliye bhagtay huay subway station tak pohonchnay ki dor mein tha.
Door hi ek coffee truck tha jahan bohat se log line mein apni coffee lenay keliye kharay thay , ek hi larki thi jo line ke bahar thi aur truck par likhay menu ko ghaur se par rahi thi Hadeed ki nazar uss par pari woh pheechay se usske hawa mein urtay baalon se hi ussay pehchan gaya.

ESTÁS LEYENDO
MALAL E YAR | ON HOLD
Romance"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat" _______________________________ "Agar mein kahun ke mein thak gaya hun apnon se bhagtay bhagtay toh?" "To...