9• Lafz Muhabbat | لفظ محبت

252 25 19
                                    


عکس کتنے اتر گئے مجھ میں
پھر نہ جانے کدھر گئے مجھ میں

عکس کتنے اتر گئے مجھ میںپھر نہ جانے کدھر گئے مجھ میں

Ops! Esta imagem não segue nossas diretrizes de conteúdo. Para continuar a publicação, tente removê-la ou carregar outra.


Subah ke 6 baj rahay thay , parindon ki khoobsurat chehchahat thi,  woh kamra mukhtalif dawaiyon , surgical masks , aur bhi aisi bohat si cheezon se bhara para tha aur khirki ke bilkul pas ek kursi par Liza laiti hui thi usska sir khirki kesath la...

Ops! Esta imagem não segue nossas diretrizes de conteúdo. Para continuar a publicação, tente removê-la ou carregar outra.

Subah ke 6 baj rahay thay , parindon ki khoobsurat chehchahat thi, woh kamra mukhtalif dawaiyon , surgical masks , aur bhi aisi bohat si cheezon se bhara para tha aur khirki ke bilkul pas ek kursi par Liza laiti hui thi usska sir khirki kesath laga hua tha aur usske galay mein stethoscope latka hua tha , usskay baalon ki kuch latein usske mathay par ayi hui thi , dhoop abhi poori tarah nahi nikli thi Liza ko poori rat ki shift karke kuch hi minute pehle ankhein band karnay ka moqa mila tha.

Ussi lamhay hospital ke iss staff room ka darwaza khula aur Hadeed dabbay qadmon se Liza ki janib barha , woh dunya se bekhabar pursukoon sorahi thi , kitna qeemti tha yeh lamha , aur kitna haseen bhi , Hadeed ne ussay uthanay keliye usskay khanday ko hilanay keliye hath barhaye magar hath wahin rok diya , dil ne kuch kaha aur woh wahin ruk gaya. Nahi utha paya usse , woh usske iss pursukoon andaaz ko dekh raha tha , issi lamhay usska phone vibrate hua woh foran kamray se bahar aya aur phone receive kiya
"Hello?"

"Sir aap ke order ka wait kar rahay hain sab"

"Han deal final kardo I am coming"
Yeh keh kar ussne phone coat ki jaib mein rakha , apnay ussi makhsoos andaz mein black shades pehni aur hospital ki uss bheer mein oojhal hokar , apni gari ki janib barha.

Dhoop ab achi khasi nikal chuki thi , Liza ki ankhein khuli toh ussne time dekha aur phir apni gardan se stethoscope utar kar apnay purse mein rakha aur bahar agayi , rastay mein ussay Elif mili.

"Liza Tumhari shift khatam hochuki hai abhi tak yahin ho tum?"
Elif usske pas akar boli.

"Han woh bas ankh lag gayi thi meri abhi ghar hi jarahi hun mein"

"Tamam güzel ( okay , good ) , tumse koyi milne aya tha nurse ne mujhay bataya"

"Mujhse? Kon?"

"Koyi handsome sa banda tha , nurse keh rahi thi kafi familiar lag raha tha shayad tv pe bhi aya ho , koyi businessman tha shayad , waitttt do you have a boyfriend overhere?"
Elif hanstay huay usska bazoo hila kar boli.

MALAL E YAR | ON HOLDOnde histórias criam vida. Descubra agora