14• Aghaaz e Safar | آغاز سفر

211 14 16
                                    


Ajnabi hi theek hain iss duniya mein
Log Aksar Dil tor jatay hain apna bana kar.

•••••

Zindagi thehrao ka nam nahi , yeh lehron ka ek silsila hai.
Pata hai insan thokar kab khata hai?
Jab woh apni zaat se wabasta har khushi ko iss dunya ki cheezon mein talash karnay lag jaye , jab woh yeh sochnay lag jaye ke usski Zindagi hamesha mukammal rahegi aur kabhi koyi gham nahi ayega.
Bohat sari khushiyan bhi aksar insan ko ghaflat mein daal deti hai , aur jab woh iss khwab e ghaflat se jagta hai toh usski dunya dhundli hojati hai jaisay kisi weeran jaga par dhool ke dher urnay lag jatay hain , aur woh jaga sada dhundli lagnay lagti hai.

_______________________

📍 Islamabad , Pakistan
      3:00 AM

Gaari Islamabad airport se anay wali sarak par rawan dawan thi , raat ki siyahi chayi hui thi , subah honay mein bas kuch hi ghantay thay , Hadeed driver kesath wali seat par betha tha jabkay Aaryan , Liza aur Hoor pheechay bethay thay.

7 ghantay ki flight ke doran bhi charon ne apas mein chand zaroori baaton ke ilawa koyi baat nahi ki thi aur gaari mein bhi sab khamosh thay.

Hooriya aur Aaryan toh jaisay bolna hi bhool bethay hon. Aaryan ne phir bhi ek do dafa safar ke doran Hooriya ki janib dekha tha magar usski nazrein khirki se bahar road par hi tiki rahi thi.

Gaari ab Malik Villa ke samnay a khari hui thi.

"Hospital kiun nahi gaye ham?"
Liza ne taweel khamoshi ke bad kuch kaha tha.

Hadeed ne pheechay mur kar dekha tha.

"Sultana Jan ko abhi ICU se OT shift kiya hai , meri unke doctor se bat hui hai , kuch hi ghanton mein surgery hai unki tab tak tum log aaram karlo"

"Mujhay aram nahi karna , mujhay bas unke pas jana hai"
Liza ne kaha.

Aaryan ne apni behen ke khanday par hath rakha aur ussay ek muskurahat kesath dekha.

"Hadi bhai theek keh rahay hain aap dono jayein aaram kar lein , sab kuch theek hojayega Insha'Allah"

Liza ke dil ko kuch lamhon keliye sukoon aya tha , shayad kuch tha Aaryan ki muskurahat mein jisne usse tassali di thi. Usski uss zakhmi muskurahat mein bhi kahin na kahin umeed chupi thi.

Liza ne bas itna suna aur phir woh Hoor ka hath thamay andar chali gayi.

Hadi aur Aaryan un dono ke andar janay tak wahin kharay rahay.

"Gulfam tum bhi andar chalay jao , hospital tak mein khud drive karloonga"
Aaryan ne driver se kaha jo ab andar chala gaya tha.

Aaryan aur Hadeed dono hospital pohonch chukay thay.
Un dono ne taiz qadmon kesath OT ka rukh kiya tha.

Rehman Doctors ke ek amlay kesath kisi guftugu mein masroof thay jab unhon ne Aaryan aur Hadeed ko apni taraf atay dekha tha.

Panch saal mein kitna badal gaya tha Hadeed , woh apni nazrein uss se hata hi na paye , kuch dair keliye unhein laga jaisay unka bhichra dost Azam Khan wahin pur waqar muskan chehray par liye unki taraf barh raha ho. Hadeed apne baap ka chalta phirta aks tha.

MALAL E YAR | ON HOLDOnde histórias criam vida. Descubra agora