تم سے رنجش بھی ہے اختلاف بھی
اور کچھ ع ش ق بھی••••••
Pakistan akar sab ki apni apni routine shuru hochuki thi , Liza bhi hospital join karchuki thi. Apni pooray din ki shift khatam karne ke baad , ab woh hospital ke exit gate par khari driver ka wait kar rahi thi ussi lamhay usska phone bajnay laga , screen par koyi unknown number show Horaha tha.
"Hello"
Liza ne phone kan se lagaya tha."Kya mein Mrs.Hadeed se baat kar raha hun?"
Awaz kaafi masnooyi lag rahi thi jaisay koyi voice converter ke zariyay baat kar raha ho."Aap kon?"
"Apke shohar kuch garay murday ukharnay ki koshish kar rahay hain , unhein apne lafzon mein samjha dijye ke mazeed khoj mein raheinge toh bohat kuch kho bethein ge"
Liza ke dil ki dharkan betahasha taiz hui thi , January ki sakht thand mein bhi uske mathay par paseenay ki boondein numaya honay lagi thi.
"Mein ne aap se phoocha aap kon?"
Liza ne iss bar thoray ghussay se kaha tha."Samajh lein apka khairkhwa hoon"
Aur line kaat di gayi thi.
Liza kuch dair phone ko dekhti rahi , usske hath Islamabad ki thandi hawaon ki waja se freeze honay lagay thay ussne phone apne overall ki pocket mein rakha aur gaari ki taraf chali gayi.
___________________
"Sultana jan! Mein aya karoongi na har roz"
Hooriya unka hath thamay unhein kuch samjhanay mein lagi hui thi."Nahi mein chahti hoon tum yahi raho na meray pas , bas kuch din keliye hi sahi , dekho hadeed bhi yahan hai , liza bhi , Aaryan bhi , meray saray dil ke tukray ek sath hain ek chat ke neechay"
Hooriya ne bebasi se unhein dekha.
Asiya begum bhi sofay par bethi thi aur un dono ko hi dekh rahi thi.
"Sultana jan keh rahi hain toh reh lo kuch din yahan , pehle bhi toh guzarti thi tum itnay din Liza kesath yahan"
Hooriya dil hi dil mein kashmakash mein thi ko woh in sab ko kaisay bataye ke woh kis se bhag rahi thi. Woh Aaryan ki nazron se bhaag rahi thi kiunke jab jab Aaryan usske samnay ata ussay aisa lagta tha jaisay woh uss se jawab mang raha ho , woh sawal jiska jawab usske pass nahi tha.
Raat ke khanay par sab sath table par bethay thay , Hadeed jo subah se kisi kam ke silsilay mein bahar tha woh bhi ab achuka tha aur sabko khanay par join karchuka tha.
Ussi lamhay Liza bhi agayi woh gum sum si seeriyan charh hi rahi thi jab Rehman Sahab ne usse pukara.
"Liza ao bachay khana kha lo , ham sab tumhara hi wait kar rahay thay."
"Aap log continue karein mein fresh hokar aati hun"
Hadeed usski awaz mein thakan mehsoos kar paya tha magar usse laga shayad thakan ke ilawa koyi aur pareshani bhi thi usse. Woh dono itne qareeb toh ahi chukay thay ke ek doosray ke chehray ke tasurat bakhoobi parh saktay thay.

ESTÁS LEYENDO
MALAL E YAR | ON HOLD
Romance"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat" _______________________________ "Agar mein kahun ke mein thak gaya hun apnon se bhagtay bhagtay toh?" "To...