Kisi ki muskurahaton pe ho nisar
Kisi ka dard mil sake to le udhaar
Kisi ke waaste ho tere dil mein pyaar...
Jeena isi ka naam haiکسی کی مسکراہٹوں پہ ہو نثار
کسی کا درد مل سکے تو لے ادھار
کسی کہ واسطے ہو تیرے دل میں پیار
جینا اسی کا نام ہے۔۔۔۔۔ 🌸💖°°°°°°°°°°°°°°
"Hadi bhai kya hai yeh sab?"
Aaryan taiz qadmon se Hadeed ke kamray ke andar aya tha jabkay Hadeed sheeshay ke samnay khara apni tie ko sahi kar raha tha."Kya sab?"
Ussne baray hi calm aur composed lehjay mein phoocha."Court order? Shehwar phupho aur phupha kay murder ka case? Investigation? Ho kya raha hai yeh?"
Hadeed apne collar ko ek akhri dafa sahi kartay huay ab Aaryan ki janib mura tha aur usske hath mein woh envelope dekh kar hi samajh gaya tha.
"Toh parh liya tumne?"
"Aap explain karna pasand kareinge?"
"Jo sach hai tumharay samnay hai Aaryan , mujhay khud Istanbul mein pata chala tha ke woh hadsa nahi murder tha , meray pas gawah bhi hain aur suboot bhi , bas ek cheez nahi hai toh woh hai mujrim ki shanakht , aur woh bhi bohat jald pata lag jayega , mein ne legal procedure shuru kar liya hai"
Aaryan apna matha masaltay huay hadeed ke qareeb aya tha , usske chehray par uljhan aur pareshani saaf zahir thi.
"Liza aur baba ko pata hai yeh sab?"
"Liza janti hai aur mamoo ka nahi pata mujhay ke woh kitna jantay hain , kiunke kam az kam mein ne toh unhein nahi bataya"
"Sultana Jan ko pata nahi lagna chahiye , aap jantay hain na doctor ne har qisam ke stress se unhein door rakhnay ko kaha hai"
Hadeed ne Aaryan ke khanday par hath rakhtay huay kaha.
"Mein janta hun issliye unhein iss sab ke baray mein kuch pata nahi lagega jab tak mein qatil ko dhoond na lun"Aaryan bas ghuar se Hadeed ko dekhta raha , jaisay iss bat ko hazam karnay ki koshish kar raha ho. Jis nagawar waqyay ko woh sab hadsa samajhtay rahay woh asal mein murder tha?
Matlab do logon ki jan kisi ki hawas ki waja se gayi thi? Matlab qatil abhi tak baghair saza ke ghoom raha tha.
Kuch raaz waqayi kitne jan laiva hotay hain , aur unse parda uthnay par zindagiyan barbad hojati hai magar yeh sab Hadeed ko kon batata ke woh kitni bari ghalti karnay jaraha tha ya phir jo ghalat tha usse sahi karnay jaraha tha._______________________
"Hadeed ! Meray sher ! Kitnay salon bad dekh raha hun mein tumhein"
Sher Khan ne apni taraf atay huay Hadeed ko dekhtay hi kaha tha.
Hadeed bhi muskurata hua unke galay lag gaya tha.
"Taya ki yad nahi ati thi tumhein , akelay akelay hi itna sab kuch manage karliya , itna bara business shuru karliya Istanbul mein"
Unhon ne ek purkashish si muskurahat kesath kaha."Asal mein toh taya ko yad ani chahiye thi apne ek lotay bhateejay ki"
Rehman Malik ne pheechay se atay huay kaha aur baray hi casual andaz mein sofay par beth gaye aur Hadeed ko bhetnay ka ishara kiya."Aap bhi beth jayein Sher Khan Sahab"
Sher khan bhi masnooyi si muskurahat lekar sofay par beth chuka tha.

ESTÁS LEYENDO
MALAL E YAR | ON HOLD
Romance"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat" _______________________________ "Agar mein kahun ke mein thak gaya hun apnon se bhagtay bhagtay toh?" "To...