Let's be Friends

26 4 2
                                    

English ka period khatam hone ke baad, Maths ka period aur phir Science ka period aaya.

3 periods ke baad long recess hoti thi. Baki sare students canteen ki taraf chale gaye.
Main bhi jaane hi wala tha ki mujhse kisi ne poocha, "Tum kya soch rahe the?? "

"Karishma?" Maine dekha ki wo mere peeche wali bench par baithi thi.

"Batao na, tum thode khoye se lag rahe the. "
"Nahi, main to bas aise hi hamesha sochte rehta hoon" Maine baat ko taalne ki koshish ki.

"Pata hai, main bhi kabhi kabhi issi tarah se apne khyalo mein kho jati hoon!" Usne apni pyari si aawaz mein kaha.
"Tum bhi??"
"Haan mujhe is tarah se gehri soch mein doobna achha lagta hai 😊"
"Wow! Tum bhi mere jaisi ho??" Maine khush hokar pucha.
"Haan! " Usne jawab diya.

Phir hum dono ek sath canteen mein gaye. Waise to main roz apne dosto ke saath lunch karne baithta hoon lekin aaj ke din Karishma ko company dene ke liye main uske saath hi baitha tha.

Hum dono issi tarah se roz saath baithte rahe aur humari dosti aur gehri hoti rahi.

Hum dono ek dusre ke bare mein jitna ho sake utna janne ki koshish karte. Hum dono ke ke likes, dislikes, hobbies, fav items, music taste, etc. ye sab bahut alag alag hote!
Jaise use purane zamane ke classical songs pasand hote toh mujhe bhari aawaz wale heavy metal songs,
Use agar badminton pasand hota to mujhe football.
Rarely, hum dono mein kuch common nikalta.

Jab school ka summer vacation aaya to usse baat karne ke liye maine uska number le liya. Humari zyadatar baatein school mein hi hoti, Isliye chat karna mujhe utna zyada pasand nahi tha. Lekin main phir bhi koshish karta tha ki jitna ho sake utna achhi tarah baat kar saku.

Usne ek baar mujhe paas wale Gandhi Park mein milne bulaya. Main shaam 6 baje taiyar hokar usse milne chal pada.

Stupid Girl KarishmaWhere stories live. Discover now