Himmat

79 6 0
                                    

A VashmAy short story!

"Oye Vashma, main chhat par baitha hua tha aur maine peeche waale jungle mein...", isse pehle ki Uday aage kuch bol paata usne dekha ki uski Vashma, uski jaan aankhon mein aasuon ke saath pichle chaar saalon mein Kabir ke har janamdin par uske liye khareede hue taufon ko dekh rahi thi.

Ek pal aisa nahi jaata tha jab wo Kabir ko yaad nahi karti thi, aur har baar khud ko use kho dene ke liye kosti thi. Uday use samjhata, wo kuch samay ke liye khush ho jaati par phir jaise hi akele baithti Kabir ki yaadein uske man mein umad padti. Yun toh Vashma Baig Sahani bohot himmatwaali thi, sab mein himmat bhar deti thi, par apne andar rehne waali Maa ko nahi samjha paa rahi thi.

"Oye jhalliye..!!" kehte hue Uday Vashma ke paas gya aur use gale se laga liya. "Oye tu kyun apna man udaas karti hai haan, humne humare sher puttar ko khoj hi lena hai. Taqdeer bhi hame usse jyada der tak door nahi rakh paaegi, lad jaana hai hume taqdeer se oye, hai ki nahi?"

"Apne bacche ke liye toh main allah se bhi lad jaaungi Uday, lekin chaar saal hogaye hain, us din ke baad se Kabir ko nahi dekha, man bohot ghabrata hai, dar lagta hai ki..."

"Oye meri sherni kab se darne lagi haan, chal mere saath." Uday ne Vashma ke aasu poche uska haath pakda aur use chat par le gya. "Saamne dekh.....jaaanti hai na yeh kya hai, aur kyun mashoor hai?"

"Jugnu, yeh apni khoobsoorti ke liye mashoor hai. Inke aaspaas hone se mahol mein jaado cha jaata hai, nazara manmohak ho jaata hai"

"Yeh jugnu sirf apni khoobsoorti ke liye nahi kisi aur baat ke liye bhi jaane jaate hain, yeh hume batate hain ki hum apne andar ki chamak aur himmat se jo chahein wo paa sakte hai. Humne bhi apni andar ki himmat aur bharose ke saath apne Kabir ko khoj lena hai. Aur vaise bhi Shrimati Vashma Uday Kishore Sahani Ji se jyaada himmatwaala hai koi is duniya mein??"

Vashma ne Uday ko ek halki muskaan di aur Uday ke dil ko sukoon mil gya. Agli ek peher un dono ne sheetal hawaon , mahmohak jugnuon ke nazare, dil mein ummeed aur ek doose ke saath bitai.

.................

THE END!

HOPE YOU ENJOYED READING, REVIEWS WOULD MEAN A LOT!!

HimmatWhere stories live. Discover now