Wo samjh sakta tha uski taqleef kehna shayd galat tha samjh koi nahi sakta siway uske jo seh raha ho magar wo usse yeh ehsas dila sakta tha ek wo uske sath hai or wo yeh dila raha tha..
Gari ghar ke bahar park kar ke wo dono andhar gay the.. door bell bajane ke kuch hi pal bad mulazima ne darwaza khola tha salam kar ke unhe ghar mai ane ki jaga di thi..
Andhar ate hi samne usse niche ata zayan nazar aya tha joke unhe dekhe muskurata unke pas aya tha.. zaigham se gale mil kar usne zubia ko halsa hug kia tha..
" zubiiiiiiii "
Kitchen se bhagti zubi ki taraf ati zohra chiki thi or usse zor se gale lagaya tha..
" Ma Shaa Allah bohot pyaari lag rahi ho "
Zohra boli thi..
" baki sab kaha hai "
Waha koi nazar na ane par zubia ne poucha tha..
" dadi apne room mai hai na jana awai kuch bol de gi or mamma baba study room mai hai "
Zohra ne bataya tha..
" mai ai "
Keh kar wo waha se aghe bhari thi zohra samjh gai thi wo kaha gai hai is liye lamba saans leti wo kitchen mai gai thi mulazima ke hath bahar zaigham ke liye juice ka glass bheja tha or kuch apni sweet dish ko final touching kar ne lag gai thi..
" kon "
Darwze ko knock kia tha zubia ne jab andhar se uski dadi ki awaz ai thi.. lamba saans le kar wo andhar gai thi.. usse waha dekh kar uski dadi heran hoi thi magar boli kuch nahi thi..
" Assalamulaikum "
Unse kuch fasle pe khari ho kar usne salam kia tha jiska jawab unho ne usse bina dekhe dia tha..
" ap niche nahi ay gi? "
Zubia ne poucha tha..
" nahi jab chali jao gi tu ajao gi "
Unke jawab pe wo kuch bol nahi pai kuch dair unhe dekhti rahi thi kuch bol ne lagi tji magar bina bol le muri thi jab unki awaz pe wo wapis unki taraf muri thi..
" mar jana magar talaaq na lena kiyu ke is ghar mai tumhari koi jaga nahi hai tumhari maa ki tarha "
Unke yun kehne pe zubia ka dil dokha tha wo unhe is pe sawal kar na chahti thi ke uski maa ne aisa kar kia dia jisse sari nafrat bas unke hisse ay magar kaise pouchti jab jawab janti thi..
Shayd kuch rishte aise hote hai jin mai waqt ke sath talkhi kam hone ki bajay bhar jati hai shayd wohi rishta un dono ka tha.
Waha se nikalti wo study room ki taraf gai thi.. dil mai dar araha tha kahi unki wo bhi kuch aisa na keh de jo wo bardasht na kar pay or uske yaha ane ka har darwaza band ho jay..
Knock kar ke wo andgar gai thi.. kamre mai dim lights on thi sam ne sofa pe wo dono baithe baat kar rahe the ya shayd lar rahe the behtar wohi jante the..
Salam karti wo unke pas gai thi hashim sahab ne khare ho kar uske sar pe hath rakha tha jo ke heran kar thi zubia ke liye..
" ap dono baithe mai dinner ki preparation dekh kar ai.. "
Kehti wo waha se gai thi.. take un dono ko baat karne ka akele mai moka mile..
" zubia "
Kuch pal baad bole the wo wo unke samne wali sofa pe baithi hoi thi..
" ji "
" maria ka cousin ka dost tha joke lawyer hai jisse maine divorce paper tyaar kar way hai "
Unke batane pe zubia dari thi divorce paper kis liye?. Kai waswasy a rahe the us ke dimag mai..
" wo kis liye baba "
Himmat karke zubia ne poucha tha..
" tumhare or zaigham ke "
Zubia ke pairo tale zameen or sar ke uper se asman nikla tha.. usse apna sar bhari hota mehsos ho raha tha magar himmat kar ke wo baithi rahi thi..
" or wo kiyu "
Zubia ne toti awaz mai poucha tha.. ankho se ansu nikle the jinko usne saaf karne ki zehmat nahi ki thi..
" kia matlb kiyu mujhe uspe yaqeen nahi wo tumhe khush rakhe ga bhi ke nahi "
Zubia dang reh gai thi apne baba ki baat pe kiya unhe wo khush nazar nahi arahi thi?
" is liye jaise hi wo ay ge unhe sign kar dena or ab uske sath wapis jane ki zaroorat nahi hai "
Wo wapis bole the..
" baba kal mera walima tha yaad hai apko? "
Zubia ne poucha tha..
" koi farq nahi parta mere liye tumhari khushi sab se pehle ati hai joke uske sath nahi hai "
Itne saal bad unhe uski khushi ki fiqr hoi thi wo bhi tab jab wo waqai khush thi tu wo khushi ke naam pe usse ek bad phir uski khishiya chin ne chale the? Kia uska chehra unke liye parhna itna mushkil tha? Agar han yu kiyu? Kiyu aisa tha.
Kuch pal wo apne baba ko be yaqeeni se dekhti rahi thi..
" Allah ka shukar hai jitna Allah ka shukar ada karo utna kam hai Allah ne mujh pe bohot ehsaan kia hai baba warna mujh jaisi gunah gaar jo ek haram maut marne lagi thi uske naseeb mai itna acha insan kaise agaya.. najane meri aisi konsi neki thi jis ke badle mujhe zaigham mile.. mai zindagi mai pehli baar itna khush ho mamma ki bad.. mai roz kal se zada muskurati ho kal se zAda mutmain or pursakoon hoti ho.. "
Wo roki thi bolte hoe heran he gay the aoni beti se yeh alfad sun ke..
" ab bhi kia apko kia chahiye jo aoko yeh sabit kar de ke mai khush ho "
Wo unhe umeed se dekh rahi thi shayd unhe uski baat samjh ajay..
" magar.... "
" baba mai zaigham ko nahi choro gi.. wo meri khushi hai or mai ab apni khushiyo ke sath koi samjhota nahi karna chahti "
Wo bolne hi lage the jab usne unki baat kati thi or boli thi keh kar wo uthi thi jane ke liye..
" zaigham ke samne humari aj hoi baat na ay mai nahi chahti mere shohar ke dil mai apki izzat kam ho "
keh kar wo waha se nikli thi niche jane ki bajay wo apne porane kamre mai gai thi darwaza band karke khud ko sambhal ne ki koshish ki thi kafi dair tak wo apne behte ansu ko rokne ki koshish karti rahi thi akhir mai apna muh dho kar wo niche gai thi..
YOU ARE READING
viraan
FanfictionASSALAMULAIKUM... HOW ARE YOU ALL.. HOPE YOU ALL ARE DOING WELL.. SO HERE I AM BACK WITH ANOTHER ROLERCOSTER " VIRAAN " It's a story of Zaigham and Zubia.. Be part of their rolercoster... What will happen when two right people meet at the wrong time...