Personal Preference- Listen to the Song Mera Bhai tu, meri Jaan hai while reading
Continue from the previous part-
Karan entered the Room and looked at Param
Param - "Ghoor kya raha hai? Itne saal baad mile hai, baat nahi karega?"
Karan - "Bhaiya🥺"
He went ahead and gave a Bear Hug to Param and Param returned it with a Elephant Hug. Param had also gone emotional, while they hugged, a lone tear escaped Param's eyes which he rubbed away immediately.
Param - "Shh. Shaant. Mera bhai ro raha hai? Suraj kidhar se nikla hai aaj?"
Karan laughed and Replied - "Bhaiya Suraj east se, aur Suraj Chacha apne ghar se"
Param - "Hain? Kya baat kar raha hai? Suraj Chacha ghar se nikal gaye?!"
Karan - "Ha Bhaiya, Dushyant le gaya Chacha ko"
Param - "Arre! Laddoo Khaye ki nahi?"
Karan nodded his head like a kid
Karan - "Aap ke bina khaane ki iccha hi nahi thi. Bas Baby ne Biryani nahi chootne di"
Param - "Bhagwan ji, mai Karan se hi mill raha hoon na? Chotte ne Khana chod diya?!"
Karan - "Bhaiya aapko nahi pata aapke jaane ke baad kya kya badal gaya"
Param - "Accha? Chal phir bata mujhe" saying so he sat on the Sofa and Karan sat infront of him
Karan - "Bhaiya, aapko pata hai jab aap waise nikal gaye mission pe, mujhe na lagta tha ki meri wajah se Bhabhi Vidhwa ban gayi aur Baby ne apne papa ko kho diya. Bada Gussa aata tha khudpe. Pata hai Baby na bhot brave hai. Woh royi nahi, woh boli 'Mere Papa ne iss country ke liye apni life de di, mai bhi apne papa ki tarah banungi'. Mujhe na, nightmares aate the, uss din ke, jis din aap meri aankhon ke samne Bomb Blast me Shaheed huye, actually nahi, Shaheed hone ka Dhong Rachaya. Arre mujhe to bata dete bhaiya! Upar se Batra sir aapke jaane ke 3 months baad hi mujhe Parakram me laga diya, mai mana toh kar nahi sakta tha. Lekin Parakram me aapke saath kitni yaade judi hai. Bhabhi ka na, mujhe samjh nahi aata, itna strong kaise reh liya unhone?! Mujhe raat ko nind nahi aati thi, pata hai, mai Roz woh sapne dekhta tha, aur phir poori raat pareshaan rehta tha. Mujhme itne changes huye na, Faizi aur Sanju hi notice kar paye. Pehle aapke saath kitna kuch karta tha, ab, Ruthless Trainer ban gaya. Ek baar to nightmare ke karan maine Monami ko Goli bhi maar di. Pehle se Guilt me ji raha tha, Uss case ke baad Guilt overload ho gaya. Faizi mujhe samjhane ki kitni koshish karta tha, lekin mai bhi manta tha nahi. Uss hospital me, phir Monami ke papa, Mr. Mahajan aaye. Siddharth na Monami ka Best Friend hai, Siddharth Ne aur Mr.Mahajan ne milke kitne natak kiye hospital me pata hai. Ki Monami ka dream tha country ke liye kuch karna, Mai Guilty prove huya toh Uske dreams pe uske papa tala laga denge. Drama me na dono ko first prize milna tha pata hai. Lekin, end me dono ne apna Drama ka The End kar diya. Monami ne academy chod di. Pata hai usne kya bola, boli 'Academy mere liye sirf ek timepass tha. Abhi jab Papa mujhe aur behtar options de rahe hai, toh mai unke saath jana pasand karungi. Waha AC me rahungi, Roz alag alag khane khaungi. Maza aayega'. Jaane se pehle ek baar Academy ko dekha aur phir chali gayi. Mujhe toh pehle se hi Rich Privileged Kids se nafrat hai, aap jab gaye na, tab local police me kitne reports dalwaye ki Aapki body dhoond de, lekin unhen to Un Rich Privileged Kids ke bikes dhundne the jo Un Namuno ki laparwahi ke karan chori ho gaye. RPK (Rich Privileged Kids) ke wajah se Mumma ki accident me death ho gayi. Mujhe parents ke naam pe to sirf aap mile. Usse bhi mujhse door karte gaye. Aur kitne saare RPKs party ke naam pe, Drug Dealers and all ko paise deke Financial support dete hai. Uske baad Phir academy me woh Monami Aa gayi. Jab Monami gayi na toh iss academy se jaise ek bojh chala gaya. Monami ke baad phir Siddharth bhi nikal gaya. Academy thodi thodi academy lagne lagi thi, pata hai. Lekin kya dhoond dhoond ke namune aaye the pata hai.
First Batch ke sabse kamal log the Premji, Sumanji, Bala, Chitra, Koel aur Monami aur Siddharth. Monami aur Siddharth ne toh pehle hi sar kha rakha tha. Woh log gaye to kami puri karne Ye log kaam pe lag gaye.
Premji na koi Actor tha, 'Maa ke Poot' naam ke Serial me kaam karta tha. Uske baad phir real life feel ke liye Parakram aa Gaya. Lekin Training lene ke baad woh kaafi accha Recruit bana
Chitra toh Hash Tag me baate karti thi. Kuch bhi bolo #ye ye woh woh. Usne toh Mujhe aur Monami ko bhi couple bana diya🙄
Sumanji khudko Suman nahi bol pati thi. Apne Pati ki kahaniya sunati rehti thi. Lekin maksad accha tha unka, unke Maa - Baauji Bomb Blast me maare gaye. Woh aise Bomb Blast karane wale logo ko sabak sikhana chahti thi. Training karti gayi aur kaafi acchi recruit bani lekin kamal ki baat ye hai ki inki Chapad Chapad ki aadat nahi gayi
Bala, Kehne ko 'Shaitan ka Sala'. Apne Maa Baba ke karan Pocket-Maar ban gaya. Usne mujhse kaafi binti ki, ki mujhe ek mauka de do. Toh mai usse SAF le aaya. Ab kaafi trained ban gaya hai aur Usne Army bhi join karli. Pehle ki huyi pocket maari ka repentance bhi kar diya usne Police ko.
Koel ki shaadi bohot kam umar me ho gayi thi. Lekin uska pati abusive tha. Uske bete ke paida hone ke baad uske liye apne husband ke saath rehna mushkil ho raha tha. Toh usne Legal Papers pe sign kara liye, divorce diya aur bhag gayi. Bhgate bhagte Academy me aa gayi. Bete ko apne bag me chupakar layi thi. Rehne ke kuch wakt baad uska beta pakda gaya. Academy rules ke kaaran Nikhil ko yaha rakh nahi sakte the. Toh Batra sir ne bola Nikhil ko Boarding School bhej dete hai. Waha usse proper education milegi, safe bhi rahega aur Maa ke nazron ke paas rahega. Koel aur Nikhil bhi maan gaye. Faizi aur Koel ko ek doosre par dhire dhire trust hone laga. Dhire dhire ek doosre se pyaar bhi. Toh dono ne shaadi kar li. Nikhil bhi Happy, Koel bhi aur Faizi Bhi.
Sabki life me happiness aa gayi, meri life ko chodkar. Meri life jeene ki wajah akele Baby thi. Shayad Bhabhi ki bhi. 2nd Batch me toh Namune bohot the lekin kuch khaas nahi.
Apko pata hai abhi kitne papad bel ke Chachaji, Tauji, sabko samjhana padega ki aap mare nahi the. Aur aap ko kisi ko to batana tha. Aapke zinda rehte aapka shradh man gaya. Aap ek baar na kal baby se milna, woh khushi ke maare pagal ho jayegi. Infact uske Winter Vacations bhi start hone hai, batra sir se baat karke usse lekar aana, uska chehra dekhne layak hoga. Woh toh Khushi ke maare Pagal ho jayegi.
Aapko Pata hai Sanju ki na Shaadi tay kardi thi uske baapu ne. Sagai bhi ho gayi thi. Woh bohot sad thi. Upar se uss siddharth ne *Saying so he says all kands of Sid and what happened next* Sanju ka naseeb accha tha ke uska mangetar ~Typical Indian Style me~ gaon me dhindora pitkar Apne ghar ke paas wali ladki ke saath bhag gaya. Kuch din baad Sanju ke parivaar Naxals ke pange me ulajh gaya. Lekin Sanju bhi Sanju hai, usne parivaar ko bhi chuda liya, aur unhen yaha sheher me shift kara diya. Ab uske Baapu bolte hai ki Sanju uss ladke se hi shaadi karegi jisse woh pasand kare. Sanju ki life bhi set ho gayi.
Humare ghar ke paas wale Akbar Chacha ne Zameen ko lekar pange kare pata hai. Baadme Shaant ho gaye. Kamla Taiji ka bhi Dehant ho gaya.....*Saying So he continues Complaining like a kid to his bhaiya for a long time and tells about everything that happened with him over the years* "
Param - "Hmm. Iska matlab mere bhai ne khush hokar zindagi bilkul nahi bitayi. Soch agar me sach me ma...."
Karan - "Bhaiya aisa nahi Bolte"
Param - "oye typical Indian Serial ki Lugayi ki tarah behave karna band kar. Aur mai ye bol raha tha ki ek ke jaane se zindagi ruk jaati hai kya? Zindagi ko khush hokar jeena sikh, samjha."
Karan was about to cut him off but Param Continued
Param - "Mai ye nahi bol raha ki 'Mai hota to kya tujhe apni zindagi na jeete huye dekh khush hota kya?' mujhe pata hai Monami aur Sid ko chodkar sabne tujhe ye hi kaha hai itne saalo me. Tu apni Zindagi Ko jeena seekh samjha. Life na ek Bus hai, bus me kitne log chadhte hai, phir utarte hai, lekin Bus thodi na chalna chod degi? Apni life ko bhi aise hi jine ka. Aur tera bhai hamesha tere saath hai, kahi nahi jayega. Mujhe khudko Tau bante dekhna hai! Aur maine kyun nahi bataya? Jaise tu Batra sir ke orders ko mana nahi kar sakta tha, waise mai bhi nahi mana kar sakta tha. Aur iss mission ke kaabil hone par toh kitna bhala huya hai. Ha aur mana ki maximum RPKs Terrorists ko Financial Support de dete hai lekin har aadmi same nahi hota na. Monami aur Siddharth ki zindagi kaafi alag hai Karan. Ek baar janne ki koshish kar. Aur jaha tak mujhe lagta hai tujhe na ab Premji ke episodes Binge watch karne chahiye agar itni yaad aa rahi hai. Sanju ki zindagi set ho gayi ye toh bohot acchi baat hai. Aur Karan maine suna hai ki mere jaane ke baad tu bohot judgemental ban gaya tha? Agar haa, toh change your habit, samjha. Har baat ko apne Judgment ke nazariye se dekhna sahi nahi hota. Doosro ke Point of View se bhi toh dekh. Ya phir meri sikhayi huyi ye baat bhi bhool gaya? Aur baat aayi, Chachaji Aur Tauji ki, toh unse baat to saal me ek baar hoti hai humari.Samjha denge unhe. Baby ko dekhne ke liye to mai bhi Excited hoon. Kitni badi ho gayi hogi na? Nikhil se bhi milunga. Aur Chote, tu khana shuru kar. Tu khata hai toh Dilbagh ji me jaan aati hai samjha? *Saying so Param continued Talking*"
Karan - "Thik hai Bhaiya. Aur Aapko kaise pata ki Siddharth aur Monami ko chodkar sabne mujhe ye hi kaha hai ki 'Param hota to kya mujhe aise zindagi jeete dekh khush hota?'. Aur baat ayi khane ki toh aap agaye na, khana bhi shuru, filhaal toh Suraj Chacha ke Laddoo khane hai!" Karan said the last sentence in a happy tone
Param - "Betum Ji tera Bhai hoon Samjha, sab pata hota hai mujhe. Chal ab Dilbagh ji ko purane Shergill brothers se milwate hai aur Mess me Jaan daalte hai"
Karan - "Dil di Gal das Ditta tussi Veerji"
Param - "Chal Phir!"
Karan and Param sneak into the Mess and eat Laddoo secretively when Dilbagh Ji notice them.
Dilbagh Ji - "Faizi Sahb, Zara mere Chashme ki checking kara dijiye na. Mai ye kya dekh raha hoon?!"
Faizi and Sid come there running listening to Dilbagh Ji. There, they see that Karan is eating Laddoos and Param was looking at the Trio
Faizi - "Ya Allah! Siddharth, jald se jald MT aur Nursing Assistant ko phone lagao. Hume Psychatrist Aur Aankhon ke doctor ke paas jana padega. Abhi ke abhi" (In Utter Shock)
Dilbagh - "Mujhe Bhi" (In Utter Shock)
Siddharth - "Sirji Mujhe Bhi" (In Utter Shock)
Faizi and Karan - "Hain? Tumhe kyun?"
Siddharth - "Sir ek minute" Sid pulled out his phone and clicked a photo of the duo and immediately sent it to Monami.
Karan and Param - "Ye photo kise bheja?"
Siddharth - "Sirji Monu ko"
Before any of them could say anything Sid recieved a Call from Monami. Karan asked Sid to put his phone on speaker
IN THE INOVA, LADIES RETURNING FROM BWWA MEET
आप पढ़ रहे हैं
Roses Can't Heal My Everlasting Wounds
Fiksi PenggemarThis is a story about Ziddi Dil Manne Na Show. pairs and characters to remain same. However what will change is the flaws in the show. The Daily Soap Opera shows the recruits coming into parties wearing Short Dresses and Boys with the Chest button o...