Meri zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi.
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi.
Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi
Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile,wo kahin mile,wo kabi Sahi, wo kahin Sahi
Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon,wo Mere nahi to nahi Sahi
Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi
Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'NASEER' dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi .
Woh abbi b waheen bhathee thi. Barish ki awaz wesy hi a rae thi jesy aj sy 50 saal phly. Lakin kuch b wesa nae tha. Zindgi asi b ho gi? USS ny kb socha tha. Apni zindgi k in 70 saal ki taweel hayaat mai uss ny kitny lamhaat ussy socha. Sayaed yh wo khud b nae jante thi. Or naw hi kbi jaan pae.