Bhadaas ~ MoRan OS

2.7K 112 16
                                    

Heyy everyone I'm back,
Was not feeling sleepy so thought of writing a part and updating.

Hope you'll like it.....

Please note :

~ Flashbacks will be underlined

- P.O.V (Point of View) will be in Italics

→Authors notes/comments will be in bold

> (Things said in mind will be in brackets)

- *Reactions will be in between stars *sighs*→like this*

-----------------------------------------------------------

This scene is after Karan makes Sid fight Sanjana, Sid gets a place in the academy and after Karan makes Monami do the rope climbing task in which she was not successful and accidently sprained her hand

*Monami prancing around her room like she is eagerly waiting for someone while applying a cold pack onto her injured hand*

Monami's P.O.V

{How dare they, in dono ko samajhne mein mujhe shayad 100 zindagiyon ki zarurat padegi, par first of all mujhe ye toh samajh aagaya ki Sid yahan apne uss "miss tattoo" urf Sanjana ke liye waapas aaya hain.
Usne mujhse promise kiya tha ki woh yahaan se hamesha ke liye chalaa jayegaa, par nahin usko toh sirf aur sirf apna manmani hi karna hai. Aur dekho manmani karke mil gaya na usse yaha rukne ki wajah, aur saath hi saath almost near death experience. Ugh.....

Aur woh Khadoos Shergill a.k.a Mr. Karan ki himmat kaise huyi Sid ko Sanjana se pitwaane ki matlab gusse ke bhi hadh hote hain, aise nahin ki jab man chhahe kissi ka, gusse mein aake murder karlo aur upar se uska yeh line *imitates karan* inn ameerzaadon ko pata chalna chahiye ki mehnat se kaam karna aasan nahin hota. Aur jab maine itna request kiya ki Sid ko fight mat karne dijiye usne toh matlab hadh kar di yeh bolke ki ye Siddharth ki responsibility hain mera nahin. I mean how insensitive is he...........}

End of Monami's P.O.V
______________________________________

[Just then Monami hears Ustad ji calling for dinner]

[Sanjana walks in and sees her prancing around]

Sanjana: Ib hath kaise hain tera
Monami: *comes out of her anger mode and says* huh, ab thik hai, dard thoda kam hai...
Sanjana: Waise hame pata hai tu abhi sirji je baare mein anaab shanaab bak rahi hai lekin woh utne Khadoos na hai jitna Tum boronte unhe samajhte ho, woh kataiye kisi ka bura na chhah paye
Monami: (really itna sab kuch hone ke baad bhi Sanjana uss Khadoos ka side le rahi hein) *loudly* ha ho sakta hain lekin ye toh tab pata chalega na jab wo care aur concern dikhayenge, itna sakht ban ke bhi unhe kya milta hain yeh mujhe shayad marne tak samajh nahin aayega
Sanjana: Pato hain woh jitna sakhti dikhate hain usse kahin zyaada pyaar aur fikr darshate hain, waise ek baat tune sach kahiyo ki unhe samjhna sirf kuch hi insaan ko aato hain, Mein toh sirf yeh keh saku ke unko samajhne waale sirf kuch log hain aur agar tu milgayi unmeh toh tu unke liye kaafi special hego, shayad karibi dost, parivar aisa hi kuch
Monami: hmmmm, (matlab inhe samjhne ke liye logon ko unke liye special banna padega, wow yeh kaisa logic hain)
[They both leave to go to the mess for dinner]

*In the mess*
[Monami sits at her usual seat and eats very little. Karan notices her that she is ignoring him and rolls his eyes but internally he feels bad and doesn't understand why.....
Monami finishes her food and gets up and walks out first, Suman ji, Chitra and Koel try to stop her but she just walks off.]

*At Karan's table*
Sanjana: Mausam kaafi buro hoge hain sirji
Faizi: Are Sanju tum inse kyu kuch bol rahin ho inko toh koi fark nahin padta usse kuch ho ya na ho. Hain na?
Karan: tum dono ka hogaya ho toh chale kyunki ki hame hi kal sab ka training lead karna hai. Yaad toh hain na tum dono ko?
Sanjana: ji sirji
Faizi: Yes karan yaad hain *goes near his ear and whispers* aaj sach me thoda nahin bahut zyaada hogaya.

Bhadaas ~ MoRan OS[COMPLETED]✓Where stories live. Discover now