Kya bolu mein...kya bolu...mujhe nahi lagta ki mein phirse 10:30 ko dekh paungi...kya chahta hain taqdeer...kyun juda kar raha hain usse sabse...mujhe rona shuru se araha tha kyun kyunki anubhav haseena ki jo coversation thi woh dekhkar...aur jyaada rona aya tab jab anubhav ne haseena ko kaha "AUR HAAN JEEVIT RAHIYEGA...BAHUT KUCH HAIN JO KEHNA HAIN AAPSE"...aur uske baad jab mira ne haseena ko goli maari tab uski chekhne ki awaaz...aisa lag raha tha koi dil mein chaku khop raha hain...phir uske baad karishma ka rona aur haseena ko pain mein dekhkar mera apne aapar se control chutt gaya...maine apne teddy ko hug kiya aur bahut royi...bahut royi...phir jab haseena ne kaishma ko dhakka dekhkar jo khud khaii mein gir gayi tab aise laga nahi mein aur nahi seh sakti...kya gunah kiya tha uss bichari ladki ne jo aaj uske janamdin par usse ye saza mil rahi hain...phir ye dekhkar mere mann mein sawaal aya...kya humesha bhagwaan ache logo ke saath ye behave karta hain...phir mpt waalon ka vishwaas ki unki maddam sir jinda hain that shattered me...mujhe toh dar lag raha hain ki agar karishma ne ye react kiya hain toh anubhav aur ammi kaise kya react karenge...anubhav toh haseena ke maut ka zimmedar khudko therayega...aur bewkoof tin ka dabba...usne teen goliyaan kyun maari woh dekhke toh I was heartbroken...woh khoon se sani huyi dekhke khudka sar patakne ka mann karta hain...aise officers ko mera ek salute toh banta hain..."JAI HIND"....ye likhte waqt bhi mera haath kaamp raha hain...mein ro rahi hun...par mujhe pura bharosa hain ki haseena ayegi jaroor ayegi apni ammi keliye, apne anubhav aur karishma keliye, apne pariwaar keliye...apne desh keliye...woh ayegi...
SHO HASEENA MALLIK YOU ARE JUST BRILLIANT ACTRESS...LOVE YOU AS WELL AS ALL MADDAM SIR TEAM...
Guys mein 2-3 dino keliye kuch nahi likhungi because of this current track...sorry hope you will understand...
YOU ARE READING
No one is Mine...(Season 1) ✔
Mystery / ThrillerWhen no one trust you, believe on yourself... When nobody admires you, motivate yourself... When nobody listens to you, speak to yourself... When everybody takes you for granted, value yourself... How long will you carry this burden of anticipations...