I Promise I'll make you smile

1.7K 140 49
                                    

"Jazbaat hota hai Ja...z....baa....t samajh mein aaya aapko ? "Santu tried explaining Urmila how to pronounce Jazbaat correctly

Urmila- Ha aya na samajh mereko ye zazbaat vazbat sab samajh mein aaya

KS- ama aise nahi bolte hai itna bhi nahi aata ka tumhe

U- ha to tu hi kaun sa sahi se bolti hai Chatak Chandni Tera bhi apni hi tarah kaam tamaam hai Urdu mein

All tried to supress their smile while KS just rolled her eyes but there was no sign of smile on her face

SS- Achha aap ek kaam kariye aap ye boliye

Tajurba kehta hai humaara
Bohot logon ko zindagi se mohobbat hoti hai
lekin humaari to zindagi hi aap sabki muhobbat se hai

(She said crossing her hands behind her back with a smile but by the end tears formed in her and other MPT member's eyes )

U- arre ye to bahut simple hai re sun
Majha Anubhav Sangto
Ki ......

PS (to Santu ) ye kya boli?

Ss- Tajurba kehta hai humaara

PS(shocked ) tumko Marathi aati hai ?

Ss- nahi andaza lagaya agar unhe tajurba kehta hai humaara bolne ko kaha tha to vahi boli hongi na

PS- ooh

U- ha to mai kya keh rhi thi ki Majha Anubhav Sangto .....

Urmila was going to speak further but Ks cut her dialogue in middle

KS- Ama Anubhav nahi Tajurba ,aur kitni baar kahein tumse Hindi mein batiyao Hindi mein (she said being irritated)

U- ha to kya fark padta hai chaahe Tarbuja bolo chaahe Anubhav dono ekiche

KS- Tarbuja nahi tajurba aur ye dono ek nahi hai, antar hai dono mein aur MS ke liye to dono ek hi bilkul bhi nahi the,Unke liye ye do shabd kya mayne rakhte the ye tum nahi jaanti to jitna tumse kaha ja raha hai utna karo samjhi (she warned and turned away leaving the room )

U- (While putting her elbow on PS's shoulder) kya re Maushi ye teri sun kya atrangi hai re poore time muh phula ke baithi rehti hai kabhi Muskuraati nahi hai kya ...

(Removing her elbow from pushpa's shoulder and joining her hands in prayer and looking up )Vithhala Vitthala kya defective piece banaya tune dekh ke lagta hai kabhi zindagi mein ishmile (smile) hi nahi ki hai

PS(with tears in her eyes) Muskuraati hi nahi khul ke hasti bhi thi ye ,bas kya hai na kuch zakhm dil pe itna gehra asar kar dete hai ki kisi insaan ko puri tarah badal ke rakh dete hai ....jis insaan ko apni jaan se jyada pyaar karti thi use khoya hai inhone ...aur jis din vo insaan humein chhod ke gayin na humne apni dono betiyon ko kho diya ....ek jo dur hoke bhi paas to hai par chaah ke bhi hum unke kareeb nahi ja sakte aur ek jo humaare paas to hai par fir bhi humse bahut door hai ......jis din MS humein chhod ke gayi thi na us din ke baad humne Karishma ko ek baar bhi muskuraate hue nahi dekha ....apni Margdarshika,guru ,Sarthi aur sabse achhi dost ko khone ke dard ne ,apni Haseena Madam ko na bacha paane ke apraadhbodh ne unhe Aisa bana diya ....vo kabhi batati nahi hai par andar se puri tarah Tut chuki hai aur vo ek insaan jis se vo apne dil ki har baat bina kisi jhijhak ke keh sakti thi na vo bhi unke saath nahi hai to apne dard ko dabane ki koshish karne mein.... apne aasuon ko chupaane ke chakkar mein unke chehre ki hasi hi gayab ho gayi humesha ke liye ....(she quickly wiped her tears trying not to break down )

SS,Cc And Billu's eyes were wet till now ....

U(quickly wiping the lone tear from the corner of her eyes )Lagta hai teri sun apni Maidam sir se bahut pyaar karti thi (PS nodded while trying to control her tears ) arre Maushi tu chinta nakko Karo mai hai na mai usko vaapas ekdum mast hasna sikhayegi

Just a Smile -Kareena/Urishma Friendship TSWhere stories live. Discover now