PRECIOUS FAMILY

507 47 11
                                    

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*_*_*

Days were passing,
AnuSeena's bond was growing stronger and stronger. CheeTosh, KR and KS knew about their relationship. The group of these six members loved to spend their time with each other. One day, they decided to meet in a restaurant. It was noontime. All were sitting at the dining table and chit-chatting. 

KS: Waise hume ek khushkhabri deni thi aap sab ko.

SS: Kaise khushkhabri bhabhi?

KS: Santu, tumhe humne kitni baar kaha ki hume abhi se bhabhi mat kaha karo. 

HM: Oh ho, dekho toh yeh baat kaun keh raha hain? Woh jo humare hazar baar mana karke baad bhi hume bhabhi hi kehkar bulaya karti hain.

CM: Ab isme galat bhi kya hain Aapa? Ab Santu aur Karishma aapa jo bhi keh rahi hain woh sach toh hoga hi naa! Bhale hi aaj nahi toh kal. 

KR: I agree with you Cheetah. Ek din toh yeh hona hi hain.

AS: Yeh sab jab hona hoga tab hoga. Parantu iss tarah se hum baat karne lage naa toh behna jo khushkhabri batane wali hain woh baat toh ho hi nahi paayegi. 

HM: Are haan, Karu, aap kaunsi khushkhabri batane wali thi? Batayiye naa! I am dying to hear the good news.

KS: Shukar hain bhagwan ka ki humari train sahi patri par toh aayi thi.

SS: Waise bhabhi, iss train ko patri se bhi aap hi ne utara tha!

HM: Offo... bas, bahut hua. Karu, aap jaldi se khushkhabari bata dijiye.

AS: Hum batate hain. 

KS: Thik hain, aap hi bata dijiye.

AS: Woh baat yeh hain ki behna ab bahut ji jald ab apne swapn ko purn karne jaa rahi hain. Agle saptah hi behna ko police prashikshan ke liye Hyderabad jaana hain. 

ALL: (apart from AnuShma) Kya?

KS: (smilingly) Haan. Agle hafte Hyderabad phir 6 mahine baad hum ek police officer bankar aapke saamne aayege.

SS: Wow! Main toh marre jaa rahi hoon aapko police uniform mein dekhne ke liye. Congratulation Karu bhabhi.

CM: Humari tarah se aapko bahut bahut mubarak baat aapa.

KS: Thank you Cheete, thank you Santu.

HM: Sach mein Karu, aapne toh dil khush kar diya. Huge congratulations to you and all the very best for training.

KS: Thank you so much bhabhi.

KR was silent. KS asked to him,

KS: Aap kuch nahi bolenge Karan? Kya aapko khushi nahi hui iss baat se?

KR: Are kaisi baatein kar rahi hain aap Karu!? Hum bahut bahut khush hain. Aakhirkaar aap apna sapna pura karne jaa rahi hain. Aur hume pata ki hum jab apne sapne ko saakar karne ki kagar par hote hain toh hume kitna achchha lagta hain! Par hum bas yeh baat soch ke thoda sa upset ho gaye ki ab aapki aur hume 6 mahino ke liye door rehna hoga.

YOU ARE MY STRENGTH MY LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें