Aakhir Kyun??

691 65 10
                                    

Anubhav's mother was sitting on the couch holding his photo with constant tears dropping from her eyes..

Haseena and Karishma were about to enter in Anubhav's house after his demise when they heard a stern cracking voice!!

Maa- ruko.. wahi ruk jao.. iss ghar mein kadam bhi nhi rakhogi tum donon..

Ks- chachiji.. kaa bol rhi hain aap..

Maa- bilkul sahi bol rhi hun mein.. tum donon ne mere bete.. mere Anu ka katl kiya hai.. maar diya tum donon ne use..

And she falls back on the couch..
Both hurriedly enter the house to support her..

Hm- maa.. anubhav ek deshdrohi tha.. aur..
Maa- nahi tha.. Nahi tha Mera Anu Deshdrohi.. Deshbhakt tha Mera beta.. Nirdosh tha.. usne kabhi kisi ka bura nhi chaha.. sabse prem karta tha woh.. par use badle mein sirf zillat naseeb hui.. jis Anubhav Singh ko puraskar milna chahiye tha..use tumne goli maar di.. sirf tumne nhi.. iss karishma ne bhi..
Kaise Maan liya tum donon ne ki Mera beta ek deshdrohi hain.. kyu.. aakhir kyun?

Hm- am..ammi ka apharan kiya tha unhone.. unhe humare saamne behosh kiya tha.. unhe bachane..

Maa- unhe bachane ke liye.. apni ammi ko bachane ke liye tum donon ne mujhse meri aulad chhin li.. kyu?? Kya kami reh gyi thi mere Anubhav k pyaar mein? Yeh ki 6 mahine tak woh ham sab se door rha apne desh k liye.. ya yeh ki usne har mod par tumhari jaan bachayi hai haseena.. tumhari maut ki khabar sunkar buri tarah toot gaya tha woh haseena..

Ks- chachiji.. unhone khud kaha ki woh chachaji ki maut ka badla lene k liye sab kiya..

Maa- tum toh behen thi na Anu ki.. itna hi samajh payi usko.. Agar use badla hi lena hota toh itne saalon mein kyu nhi liya..
Bachpan se jaanti thi use.. usi k saath badi hui ho.. usi se deshprem seekha tumne.. use vishwas tha tumpar.. uske sahare aur uske nakshekadam par chlne ke karan hi police officer bani na tum.. usi ne protsahit kiya tumhe.. toh tum use deshdrohi kaise maan sakti ho?? Tum sab kuchh kar sakti ho.. tum kamzor nhi ho.. yeh yakeen bhi usne tumhe dilaya...Sagai waale din bhi tumne uss par bandook taan di.. socha tumne ki use kaisa laga hoga uss wakt.. aur iss baar toh goli hi chala di.. iska Matlab toh yeh hua ki tumhe apne bhai se zyada apni maddamsir ki phikr thi..
Haseena se toh itna pyaar karta tha.. Agar use maarna hi hota toh uski jaan bachata hi kyun.. bhul gyi tum haseena.. kitni baar tumhari jaan bachayi usne.. tumhe lagne wala chaku usne khud par liya tha.. tumhari jaan bachane k liye bandook ke samne khada ho gya tha..tumhe ek kharoch bhi aati thi toh bhaukla jaata tha..toh woh deshdrohi kaise ban gya.. sach toh yeh Hai ki tum donon kabhi use samajh hi nhi payi..
Ek baat batao haseena.. uss din tumne uske kandhe par khoon dekhkar yakeen ho gya ki Anubhav ek deshdrohi hai.. tumne insaaniyatk naate poochha tak nhi usse uss chot k baare mein..seedha nateeje par pahunch gyi.. Agar uss din mere bete ki jagah Karishma hoti toh bhi kya yahi pratikriya deti tum.. ek baar usse poochhti bhi nahi ki yeh sab kaise hua.. kaha the itne din..

But both stay silent holding the guilt.. they knew that she was right..

Maa- jisne 6 mahine baad bhi tumse milne se pehle uss tirange ko girne se bachaya use tumne deshdrohi bana diya.. uss hard disk mein uski bhi tasveer thi na.. dekha tha na tum donon ne.. toh woh khud ko hi kyu maarna chahega.. jab usne unn do gundon ko maara tab woh unka boss se baat kr rhe the.. to iss sab ke peechhe anubhav kaise ho sakta hai.. usne phone karke kaha tha tumse ki tumhari jaan ko khatra hai.. use tumhe maarna hi hota toh tumse yeh kehta hi kyu.. tumne apni ammi ko bachane ke liye humse humari aankhon ka Tara chheen liya haseena.. kyu?? Kya galati thi uski..

By now all of them were crying.. both Karishma and Haseena understood that they never truly trusted him and were stepping in the pool of guilt..

Hm- humein maaf kr dijie Maa.. humari galti hai.. humne goli chalayi thi.. humein uss vakt sochna chahiye tha.. humse bahut badi galti ho gyi..

Ks- hn chachiji.. hum bhi bahut sharminda hain.. hum bhul gye the ki Anu bhaiya ne humare liye kitne baildan diye hain..woh desh ke saath gaddari nhi kar sakte..

Maa- tumhe maaf karne se Mera kohinoor Mera Anu waapis aa jaayega kya..
Kiske liye jiyoon ab mein.. aur kiske sahare jiyoon.. pehle Anu ke baba aur ab Anu bhi.. donon mujhe chhod kr chle gye.. kya krungi ab mein jeeke..

Hm- nhi Maa.. aapko jeena hai.. Taki aap apne bete ko insaaf milta hua dekh sakein..hum aur karishma singh waada karte hain aapse.. hum poore case ko reopen karenge.. sahi mujrim ko saza bhi hogi aur iss baar Anubhav ko insaaf bhi milega..

Maa- mere bache ki hasi, uski khushi, uska natkhatpan, woh haseen duniya.. sab chhin gya..baaton mein ghuma jaata tha woh mujhe.. humesha athhkheli karta rehta tha.. ghar ke aangan mein chhip jaata tha aur hum use dhoondhte rehte the.. phir jab use pakadte the toh kehta tha ki jab mein bada ho jaaunga aur aapke saath yeh Luka chhupi nhi khelunga toh aankhe taras jaayengi humari.. sach hi kehta tha.. kaash aaj bhi woh humare saath Luka chhupi hi khel rha hota..kaash humein yeh pata hota ki ant mein use mere hi anchal mein aake chhupna hai.. meri hi God mein sona hai.. kaash uska kaan kheenchkar hum use ghar waapis laa sakte.. kaashh..

The End!!

So this was an Os after Anubhav's demise!! Hope you all liked it!!

Also posted on Insatagram.. ID- anubhav_glitter

Aakhir Kyun?? (OS)Where stories live. Discover now