Trailer.

532 41 9
                                    

Narrator :" Kisi aam prem kahani  ki tarah ye kahani bhi hai..
Haan ye koi bollywood me dikhate hai waisi nhi hai
Hmare Hero aur Heroine ko to pata bhi nahi tha ki pyaar unhe is tarah milega ki na hi guitar bajega na hi Simran Mere khwabon me koi gaane gana gaate sapne dekh rhi hogi..
To bs shuru krte h aur le chalte h Nawabo ke seher Lucknow.

Ye rha hamare hero ka ghar
Kisi parichay ki koi jarurat hi nhi h
Kyuki unka parichay ye svyam h..

Anubhav singh is shown..
As:" Behena humein kahi bhi nahi jaana h
Hum yha  avkaash me aaye h  kisi anjaan ke ghar jaane nhi... "

Amma :" Ha to laptop pr baitha karega kya..
Karishma Tu chup chap ise le ja. Mai dekhti hu ye kaise nhi jaata ".

Narrator :" Maa ke aage to koi bhi sher dher ho jaata h 🤭"
To bs hmare hero ho gaye taiyar par unhe kya pata tha ki jaahan jaane se wo mana kr rhe h waha se laut kr aane ka bhi man nhi hoga.. "

Ab hum chalte h apni heroine  ke pass

HM:" Ammi hum jante h hmara nikaah h aur sab kuch thik h aap  bilkul bhi chinta na karein.
Aaj jo hona h wo ho kar rahega "..
Saying this she smirks and started getting ready..

Narrator:" Aa gya n chakkar koi baat nhi kahani h thoda to uljayegi... Thoda aage le chalte h.. "

Anubhav :" Waise kamal h aap koi soch bhi nahi sakta ki kisi apradhi ko saza aise apne shadi ke din kuch is tarah dengi aap".
HM :" Aap kaun? ".
Anubhav forward his hand
AS" Hum h Anubhav singh
Abhi ke liye aapke junior ke bhai h
Fir milenge to btayenge apne baare me"
HM :" Apko kyu lagta h ki hum aapse milenge? ".
AS :" Kyuki nhi milengi to jo hmara h wo hmein milega kaise.."
HM gave him a look..
AS :" Arey hmara rumal jo abhi apke baju   me laga  h ".
HM :" Ji shukriya ab hum chalte h "..

Narrator :"  Rumaal ke sath hmare hero ne apna dil bhi de dia tha pr jis ldki se wo dil lgaya tha wo kya sach me use milegi..

Janna h to pratiksha kijiye pehle episode ka"

Likes , comments are much appreciated..

I'll upload all my ff .
Is baar jarur hi hoga 🤭

Milan- The unexpected meeting Where stories live. Discover now