Anubhav realises his feelings?

581 53 10
                                    

AS: Woh hum aapse kuch kehna chaahte the..
KS: (with suspicious eyes) Maddam Sir se?
[Then, KS gets a call and she begs excuse and goes]

HM: Aapko humse kya kehna hai?
AS: Woh darasal.. Kya aap hamare saath..
HM: aapke saath..? (being little nervous)
AS: Coffee pene chalengi?  (in one go)
HM: Ohh.. (leaving a sigh) toh aap coffee ke lie puchh rahe hein... Hume toh laga ki..
AS: Ki...
HM: kuch nhi... Kuch nhi laga Hume..
AS: Pakka? (flirteously)
HM: J..ji..ji.. (avoiding eye contact)
AS: Toh aap chalengi?
HM: par aap Hume yun coffee ke lie Kyun puchh rhe hein? I mean na hum dost hai... In fact hamari toh koyi jaan-pehchan bhi nhi hai..
AS: Ek avashyak karya hai Haseena hai.. Isiliye..
HM: kaisa avashyak karya?
AS: wohi batane ke lie tod aapko bulaya hai...
HM: Umm.. Achha thik hai.. Bataiye kab aur Kahaan milna hai?
AS: yahi kuch shaam ke 6 baje.. Aage ki market ke pass wale café par..
HM: thik hai phir... Hum pahaunch jainge.. 😊
AS: milte hein Phir..

[AS leaves and KS arrives]
KS: Anu Bhaiya..
HM: Ji woh bas abhi abhi Yahaan se gaye hein...
KS: achha.. Waise unhe aapse kya kehna thaa maddam Sir?
HM: ab.. Zyada kuch nhi.. Aur aap pichhle Ek mahine ke saare case files aur FIR register ke saath hamare cabin Mein aaiye..
KS: Ji maddam sir!
HM: aur baaki sabko bhi.. Hamare cabin mein aane ke lie kahiye..

[all of them enter the cabin. First KS then behind her PS then SS and then CC]
HM: hmm.. Aaiye.. Aaiye aap sab..
Toh pehla impression... Khair.. Apna Ek Ek karke introduction digiye.. Aapse shuru karte hein (to KS)
KS: (saluting) Jai Hind Maddam Sir! SI Karishma Singh reporting!
PS: (avoiding eye contact and saluting) Jai Hind Maddam Sir! Head Constable cum counseling head Pushpa Singh reporting!
SS: (salutingb by avoiding eye contact) Jai Hind Maddam Sir! Junior Constable cum Cyber Crime in charge Santosh Sharma reporting!
CC: (avoided eye contact and saluted) Jai Hind Maddam Sir! Constable cum Women Psychology specialist Cheetah Chaturvedi reporting Maddam Sir!

HM: (smiling) OK! Toh abhi.. (noticing that all of them have lowered their head) Aap log abhi apna sar utha sakte hein..
[they rise their head faintly]

PS: Hume maaf kar dijiye Maddam Sir... Hum sach mein apne kie par Boht hi Zyada sharminda hain..
SS: Sorry Maddam Sir... Mujhe bhi duty ke waqt iss tarah ka indiscipline kaam nhi karna chahiye tha..
CC: Ji Maddam Sir... Jabse aapki baatein sunne ke baad achhe se soch kar Dekhe naa.. Tab samajh mein aaya ki hum kitne bewakoof the.. Maaf kar dijiye please..

HM: (smiles) Tajurba Kehte Hai humara ki ghalati ka ehsaas ho... Toh saza ki kabhi zaroorat nhi hoti.. Aur Hume aap logon ki Baaton mein Sachchayi Nazar aa rhi hai.. Isiliye humne aap sab ko maaf Kia..
[all smile]
HM: hum police hein... Hamara kaam hai sajaag rehkar logon ki Seva Karna...aur agar police hi indiscipline rahe toh log humse kya hi ummeed kar painge.. Hai naa? 
[they nod]

HM: Thik hai phir... Ab muskuraiye aur Hume case files aur FIR register dijiye aur vistaar se bataiye... Ek aur baat humne aapko maaf Kia hai Iska Matlab yeh nhi hai ki aap bilkul hi linient ho jaaye.. Yaad rakhiga ki maryaadayon ka ulanghan bilkul bhi bardast nhi kia jaiga.. Is that clear?
All: (happily) Yes Maddam Sir!

{MPT Bgm}

[At AS's House]
[he was standing at his wardrobe looking at his clothes ]
AS: Kuch bhi achha nhi hai hamare pass pehenne ke lie.. Kya pehne.. Kya pehne..
[His matashri, Janki Singh comes and sees him talking to himself and she enters without AS's notice]
AS: kuch samajh mein hi nhi aa rha hai ki kya pehne.. Aise hi kuch bhi toh pehen kar nhi jaa sakte naa.. Kya Sochengi woh hamare baare mein..
JS/Maa: (in mind) kiski baat kar rha hai yeh!
AS: Aaj Pehli baar hum Haseena Ji saath hum bahar jaa rhe hein.. Utsukta ki toh seema hi nhi hai.. (happily murmurring)
Maa: Haseena!

[AS turns was surprised to see maa]
AS: maa.. Aap Yahaan?.. (avoiding eye contact) aap kab aayi hamare kaksh Mein.. 😳
Maa: tabhi jab tuh apne inn kapdon ke saath baatein kar rha tha
AS: ab.. Aap... Aapko kuch karya tha? (fumbling)
Maa: Chal.. Karya ke bachche.. Ab Bata.. Kaun hai yeh Haseena? (teasingly)
AS: kaun Haseena Malik? Kiski baat kar rhi hein aap?  (still avoiding eye contact)
Maa: Maine toh Sirf Haseena Kaha thaa... Achha toh uska pura naam Haseena Malik hai... Mat Bata tuh.. Main pata karva lungi Karishma se.. Main bhi toh jaanu Aakhir hai kaun woh jisne tere Aise hosh uda kar rakhe hein..
AS: nhi (loudly)
Maa: (being spooked) kya hua?
AS: aap Karishma ko Haseena Ji ke baare mein mat puchhiega.. Please..
Maa: toh Phir tuh Bata.. Kaun hai yeh Haseena?... Ek minute.. Kahin tujhe usse woh.. Kya hota hai.. Woh.. Love at first sight toh nhi ho gaya!!!
AS: Maa.. (turns to other side) 😳.. Aisa kuch bhi nhi hai... Aap (she interrupted)
Maa: achha!  Aisa kuch nhi hai toh tuh iss tarah se sharma Kyun rha hai?
AS: woh toh.. Bass
Maa: maa hoon main teri.. Sab jaanti hoon tere baare mein.. Chahe tuh kuch bole Yaa nhi..
AS: (still blushing)
Maa: ab bataiga bhi... Ki kaun hai yeh?

[After a while]
Maa: wah kya love story hai.. Jhumke.. Phir direct Baahon Mein... Phir behen ki senior ban jaana... Phir ab date.. Hayee main toh Khushi ke maare kahin mar hi naa jaun... Ab mere iss nalayak bete ko Ek samajhdaar saathi Milegi aur mujhe Ek sundar si bahu... Aur Phir kuch waqt mein chhote chhote pota poti bhi..
AS: Maa.. Yeh aap Kahaan... Kya... Kya bole jaa rhi hein.. Aisa kuch bhi nhi hai.. Aur yeh pyaar.. Aisa kuch nhi hai
[Maa thinks for a while and stands beside him]
Maa: meri nhi.. Toh apne dil ki toh sunn.. Agar aisa kuch nhi hota toh Haseena ka naam sunkar tere chehre par Aise raunak nhi aati.. Aise laal laal tere gaal nhi ho jaate Aut aur aise bechain tera haal nhi ho jaata..
AS: (keeps listening)
Maa: Chal jaa ab.. Taiyyar ho jaa aur.. Maine jo Kaha usse Ek baar shant deemaag Mein sochna zaroor... Par thodi jaldi kar de.. Kahin der naa ho jaaye..

[Maa leaves and AS keeps thinking ]

[AS in car]
AS: (in mind)  kya maa ne joh Kaha woh sach hai?.. Kya Hume sach mein..... (leaving a sigh) PYAAR ho gaya hai?.

[he was too confused to think so, he turned on the music]
RJ: toh aaj ka gaana hai Shillong se Mantyata Rana ki taraf se apne pati Shubh Rana ke lie apni 1st anniversary ke khushe par..


"Pehli Nazar mein kaisa jaadu kar dia... Tera ban batha hai mera jia... Jaane kya hoga... Kya hoga kya pata... Iss pal ko milke aa jeele zara.. "

[This makes him think about Haseena even more. So,  he immediately turned it off ]

[He reaches the café and goes to his table and waits for HM]
[After sometime, she arrives.. She is wearing a peach colour shirt along with black pants with open hair.. Seeing her aa usual AS's heartbeat increases.. He keeping gazing her till she reaches him]
HM: Anubhav Ji.. (moving her hand in front of his eyes) Anubhav Ji..
AS: (coming out of his dream land) J.. Ji.. Ji.. Haseena Ji.. Aaiye baithiye..

[he pulls the chair for her and gestures her to sit]
HM: aap thik toh hein naa?
AS: ji.. Ji Hune kya hua..
HM: toh Phir Kahaan khoye hue the aap?
AS: aap Mein (in flow flow)
HM: (popping her eyes) Ji?
AS: hamare kehne ka arth yeh hai ki aapke intezaar mein.. Thodi der kar di aapne..
HM: haan woh thoda traffic tha naa..
AS: aap order de dijiye phir hum baat karte hein
[she placed the order and soon their coffee and snacks arrives]

HM: hmm.. Toh baithiye.. Kya baat karni thi aapko? (sipping her coffee)
AS: haan woh hum aapko kuch Dena chalte the...

To be continued...

Thank you so much for reading till the end... Thank you for all your support and agar achha laga toh please do leave a comment.. Sorry for errors and all your suggestions are welcome...

~Neeyat_Naaz 😊

AnuSeena-Tum Meri Zindagi (on hold) Where stories live. Discover now