Man (who pointed the gun): Ready to killed? Anubhav Singh? (laughs sarcastically)
AS: (stands blankly and after two minutes of gazing) ho gaya? 😒
Man: Arre... Shit! Sara prank bekaar gaya (lowering the gun and opened his mask)
AS: kaam ki baat kar Lein... Shikhar Jairaj ji?
SJ: bilkul! Aaiye.. Baithiye..
(they had their seats)
SJ: tum toh aaj bhi utne hi shaatir ho..
AS: toh tumhe kya laga.. Hum.. (interrupted by SJ)
SJ: Arre nhi nhi.. Hum toh bass tumhara imtehaan le rhe the... Agent sahab! Waise sunna hai ki tum ab desk duty par ho.. as DSP..
AS: Ji... Sahi sunna hai tumne.. Ab inn bekaar ki Baaton ko chhodo.. (again interrupted)
SJ: bekaar ki baate? Arre academy ke baad inte saalon ke baad apne dost se do pal baat Kar lena tujhe bekaar lagta hai? (dramatically)
AS: 😒
SJ: Arre tuh bhi samjhega yeh Jazbaat.
AS: haan! Hein hum nirdayi... Par please... Shikhar... Thoda serious ho jao aur hamari baat sunn lo..
SJ: Aise party ke maahol mein bulakar... Tuh serious hone ki baat kar rha hai?
AS: ab jo hai yahi hai.. Isse safe jagah hum nhi dhundh paaye.. Aur Yahaan Hume koi bhi pehchaanega nhi.. Aur kuch?
SJ: kuch nhi... Thik hai... Kaam bataiye DSP sahab..
AS: (picks his phone out) Inke baare mein saari information nikalni hai..
SJ: (without seeing the pic) Yeh kaam toh tuh apne khabri network se bhi Kara sakta hai.. Mujhe Kyun bulaya hai?
AS: Kyunki khabri network Sirf professional kaam ke lie use Kie jaate hein... Vyatigat karyon ke lie nhi..
SJ: (having a look at the pic) Waise yeh ladki sundar toh boht lag rhi hai..
AS: (little louder) Shikhar!
SJ: kya hua? Aisa kya Kaha Maine.. Sach hi toh Kaha.. Ek minute! Personal kaam... Kahin yeh... Meri hone wali bhabi toh nhi? (excitedly)
AS: (blushes a lit) nhi... Nhi.. (nervously) aisa kuch bhi nhi hai..
SJ: toh Phir.. Bhabi ban chuki hai kya? AS: kya kuch bhi bole jaa rhe ho.. Aur hum iss vaqt tumhare kisi bhi prashnon ka Uttar Dena zaroori nhi samjhte hein... Isiliye.. Apne agent ke dimaag ko kaam par lagao.. Aur unki saari jaankariyan hume do.. Aur Smaran rahe... Yeh karya gopaniya rehna chahiye... SHO Haseena Malik hein Ye..
SJ: hmm.. Ho jaiga... Aur kuch DSP sahab?
AS: ji nhi.. Jayo aur hume kuch kaam hai toh hum chalte hein..
SJ: Thik hai! Jai Hind! 😊
AS: Jai Hind!
SJ: (leaving with wondering eyes) Mujhe aisa Kyun lagta hai ki Maine pehle inhe kahin dekha hai... Par Kahaan? (he exits)[HM in car, driving moderately]
HM: (flashbacks in mind)HM: (after calming herself down) Ammi..
Ammi: (cutting apples) Hmm?
HM: Ek baat bataiye... Ki hum Yahaan aaye kaise?
Ammi: Arre tuh toh mere peechhe bass behosh hokar gir gayi thi... Aur Phir.. Tumhare woh DSP Anubhav, tujhe dekhkar pareshan hogay aur Santosh ke kehne par tujhe apni Baahon mein uthakar Yahaan laakar leta dia..
HM: (her cheeks turned pink which was unnoticed by Ammi) Baahon mein! 😳
Ammi: haan! Bade achhe insaan lage woh mujhe... Warna aaj ke zamane mein kon senior bhala apni junior ki itni parwaah karta hai!
HM: unhone kuch Kaha kya?
Ammi: ab... Nhi toh! Woh toh Yahaan tere pass baithe bhi the par jab tuh Aise bechain hokar hosh mein aayi toh woh baahar chale gaye..
HM: (takes a glass of water to have) unhone... (interrupted by KS)
KS: kya hum ander aa sakte hein, MS?(flashback ends)
HM: (sighs) Pata nhi DSP Sir kya soch rhe honge... Humne aise react Kyun Kia... Ek baar unse milkar thank you Bol dete hein... Filhaal apni 'Me Time' aur long drive enjoy karte hein...(suddenly her car stops and she gets out of it. She checks the tyres and then opens the bonnet)
HM: nhi nhi... Please... (closed the bonnet and beat her forehead) Isse bhi abhi hi kharap hona thaa... Ab kya karein... Mechanic ko phone kar lete hein... (calling the mechanic) haan hello! Ji hum bol rhe hein... Aap ek kaam kariye.. Turant hum abhi jo location bhej rhe hein... Uspar aajaiye... Thik hai.. Ji... Ji.. (cuts the call)
Ab... tab tak kya karein? (she notices a party going on a away from where she stands. She notices a known face) Anubhav Sir!... Haan.. Wahi hein.. Woh Yahaan par... (she heads towards him. She reaches there and moves towards him. Till AS hasn't noticed her yet.)[A man riding a bike, comes in front of the gate where the party is going on. His face is not visible due to darkness]
Man: Arre yaar! Yeh kaise dost bana rakhe hein humne... Ek toh zabardasti kasam dekar party mein bula lia.. Upar se phone bhi nhi uthaa rhe hein... (calling someone) Kahaan mar gye.. Inke chakkar mein boss aur biwi dono se jhooth bolna pada Hume... Boss ka toh Phir bhi theek hai par agar patni Devi ko pata chala ki hum kaam ke bahane Yahaan party mein aaye hain.. Toh Hume toh naya ghar dhundhne ki zaroorat padh jaaye ki... Upar se unka bhokal... Woh alag.. 😰 (moves a bit forward towards inside and noticed AS) Arre! Yeh.. Toh.. Yeh Yahaan Lucknow Mein! Kamaal hai Hume toh Kisine bataya hi nhi...[Here HM gets closer to AS and he finally turns back and sees her]
AS: (sees HM with suspicious eyes) Hume Haseena Ji Yahaan bhi dikhne lag gyin! (beats his forehead blushingly) Kya mahashay! Aap bhi naa! 😅
HM: (till now, she was waving but now she called him) Anubhav Sir!
AS: (popping his eyes) Ab toh sunai bhi dene lag gayin..
HM: (shouts a bit louder because of the sound the DJ) Anubhav Sir!
AS: (brushes his eyes with palms and opens again) Haseena Ji! Yeh toh vastav mein yahaan hain.. Aur.. Hamari hi taraf aa rhi hein.. (shouts by waving) Haseena Ji!Man (standing at the gate): Jaakar mil hi lete hein Inse... In nikkame doston ka kuch Ata pata nhi hein.. (heads towards AS)
[Here, AS and HM get closer and suddenly, many party poppers blast and due to this, HM gets spooked and she tightly chinges to AS's Shirts]
{AnuSeena bgm 🙈}
HM: Ammi! 😣
(cold shivers run throughout AS's body. A pleasant current flows in his entire body. His heartbeat increased and he got goosebumps. Still not able to process anything, he blushes. HM moves her head up and sees AS's romantic eyes and gets lost in them)(the man notices HM but didn't see her face properly and gets a shock seeing their eyelock)
Man: (popping his eyes) Ab yeh toh hadd ho gayi! Patni Devi ji ko phone toh Karna hi padega.. (he dials the number)[KS and PS in police jeep]
PS: aah! Aaj toh Boht kaam Karlia.. (massaging her arms)
KS: aapko keh the na hum ki aap chhuti le lijiye... Ghar jaiye aur aaram kariye... Par aap hein ki..
PS: haan toh inn chhote mote Dard ke lie duty bhi naa karein hum!
KS: kisne mana Kia hai duty karne se par... Sharir ko bhi naa aaram ka zaroorat hota hai naa.. Thoda aaram kar leti toh... Ekdum fresh ho jaati naa..
PS: yeh department wale bhi naa... Jab bhaag daud aaj ki hai toh chhuti Kal deni chahiye thi naa... Abhi Parso dekar kya fayda..
KS: ab Pushpaji.. Abhi aaj hi toh naye DSP Sir appoint hue hein.. Toh Kal ke Kal kaise chhutti de dete aap hi sochiye..
PS: aap toh Boht khush hongi naa.. Aakhir aapke pyare Annu Bhaiya jo naye DSP ban gaye hein..
KS: hum khush se Zyada ashcharya hai... Pushpaji
PS: haan! Woh toh hum bhi hein... Achanak se aakar ekdum jhatka de dia usne.. Waise Shaadi kab kar rha hai woh? Irada bhi hai ki nhi? Yaa Phir pehle se hi koi pata rakhi hai?
KS: kaa keh rhi hein aap Pushpa Ji.. Aapko lagta hai ki Annu Bhaiya Jaise Gaaye type insaan aisa harkat kar sakte hein...! Koi ladki wadki ke chakkar mein nhi pade hein woh aur naa hi padenge...
PS: Hmm! Sab hamare Lalla ko tarah thode hi naa hote hein! 😔
KS: (angrily glares) Kuch Kaha aapne Pj?
PS: (scared) nhi.. Nhi.. (interrupted as KS's phone rang) haash!
(KS picks the phone and connects to Bluetooth of the jeep)
KS: hmm.. Kahiye patidev
Caller: mana... Mana mana ki hamre beech kuch dinon se thode khatte meethhe Chal rhe hein.. Par Iska Matlab yeh thodi ni hai ki tum ab humse baat bhi chhupaogi..
PS: Ab konsi baat chhupayi aapne hamare lalla se?
KS: Arre Arre shaant... Ka hua?..
Patidev: Tumne Hume Kyun nhi bataya ki saale sahab Yahaan Lucknow mein hein..(yes! The man was none other than PJ ka lalla!)
KS: hn.. Woh hum.. Batane hi wale the.. Lekin..
Patidev: kaa Lekin.. Tumne yeh bhi nhi bataya ki Saale Sahab ne tumhari Bhabi bhi chun li hai?
KS&PS: Kaa!
KS: kaa keh the hein aap Vyom ji!
Vyom Singh (VS) : Sach! Humne apni aakhon se dekha hai unhe Ek dusre ki aakhon mein doobe hue.. Baahon mein baahein daalkar chipak kar khade hue..
PS: (sarcastically) dekha apne Gaaye bhai ko!
KS: Ek minute! Aapne unhe office ke bahaar dekha?
VS: Nhi yaar! Party mein dekha... Abhi hamare aakhon ke saamne abhi bhi ussi halat mein khade hein.. (in flow flow)
KS: party mein!
VS: haan woh Vijay ki party mein.. (again in flow flow)
KS: (sarcastically) dekha apne bhole bechare masoom Lalla ko!
KS: aapse toh hum baad mein niptheinge...
(VS realises what he did)
KS: Hume Apna location send kariye... VS: hmm! (weakly) 😥To be continued....
Hey readers!
Hope you enjoyed this part!
Lots of love back and thank you so much for reading!
~Neeyat Naaz
YOU ARE READING
AnuSeena-Tum Meri Zindagi (on hold)
Fiksi PenggemarTwo strangers DSP Anubhav Singh and SHO Haseena Malik cross path due to mere destiny... From Strangers to Collegues to Friends to Lovers to Soul Mates, they take every step of their beautiful journey together... But amidst their happiness lies the...