[VS sends the location to KS and when he turns back at them,...]
VS: (shocked) Arre! Kahaan chale gaye... Abhi toh yahin the..
(he goes inside and searches for them but didn't find them)
VS: Hey Bholenath! Yeh Kahaan fasaa dia aapne! Ab Patni Devi Hume Pakka Kamre se.. Ghar se.. Ilake se.. Bahaar nikal dengi... 😰[In car, HM and AS are sitting. AS is driving and HM is sitting next to him]
AS: aap thik hein?
HM: Ji! Hume kya hoga...
AS: Nhi woh party mein aise thoda ghabra rhi thin aap... Toh
HM: Woh toh..{Flashback :
[HM and AS were lost in each other's eyes. HM realises the moment and frees herself from his arms and hesitates a bit. AS too hesitates a bit. An awkward silence prevailed and AS tried to speak]AS: Aa.. Aap.. Yahaan? Kaise?
HM: Woh.. Woh hum Yahaan se bass guzar rhe the.. Aur just yahin par hamara gaadi kharap ho gaya aur humne tabhi aapko dekha toh..
AS: hume kaise?
HM: woh wahan se.. (pointing at the transparent glass wall)
AS: oh! Humne toh ghaur hi nhi kiya ki Yahaan par yeh kaanch ki deewar bhi hai..
HM: Umm... Waise.. (could not speak as the sound of DJ suddenly increased. She felt severe headache due to this)
AS: Haseena Ji! (loudly)
HM: (holding her head and shouting) Ji!
AS: Bahaar chalkar baat karte hein..
HM: (couldn't hear) Ji?
(this time AS didn't try to speak even. He just grabbed her wrist and pulled her out along with him. They went by passing VS but AS didn't see him as he was busy on phone and vice versa)(they reach near HM's car and AS realises that he holds HM's wrist. He hesitantly withdrew his hands)
AS: ab... Kshama kijiye gaa..
HM: koi baat nhi sir! Aur Waise bhi... Woh baat karne layak environment nhi thii
AS: Waise aap kuch keh rhi thin..
HM: Ab... Ji.. Ji.. (he interrupted)
AS: aapne mechanic ko bulaya hai?
HM: Ji bulaya toh hai par woh abhi tak aaya nhi... (checks her phone when she gets a notification) aur aayega bhi nhi..
AS: Kyun?
HM: Kyunki usse kaam hai toh woh filhaal Yahaan nhi aa sakta hai... Abhi abhi uska message aaya..
AS: toh Phir... Aaiye aap hamare saath chahiye... Hum aapko ghar chhod dete hein..
HM: Thank you for your concern sir.. Par aapko chintaa karne ki zaroorat nhi hai... Hum manage kar lenge kuch.. AS: Par itni raat ko aap..
HM: Sirf sade aath hi baje hein... Aur Waise bhi hum Ek police officer hein... Aap jaiye Apna party enjoy kariye.. 😊
AS: konsi party?
HM: yeh! (pointing) Shayaad aapke kisi dost ki bachelor party hai!
AS: bachelor party toh hai Yahaan kisi Vijay ka hai Shayaad par... Humara Mitra nhi hai woh... Aur hum keval Yahaan kisi karya hetu aaye the... Party mein enjoy karne nhi!
HM: party mein karya?
AS: ab... Haan woh.. Thaa kuch.. (nervously) Aap ek kaam kariye.. (changing the topic) Aap apni gaadi yahin chhod dijiye... Hum kisi constable ko kehte hein ki Isse thik Kara kar aapke ghar tak chhod de..
HM: hmm! Ab yahi Karna padega..
AS: toh aaiye aap hamare gaadi mein..
HM: Ji chahiye!
Flashback ends}HM: woh toh Hume loud music se irritation ho rhi thi... Isiliye..
AS: Waise aapki woh baat abhi bhi adhoori hai jo aap humse kehna chanti thin..
HM: woh hum aapko Thank you bolna chalte the...
AS: Dhanyabad kisliye?[KS and PS arrive at the party venue ]
VS: (indulged in his own world) Gomti Nagar mein ghar Kaafi menhenge aate hein... Purana Lucknow office se Kaafi durr hai... Aadarsh Nagar mein bijli ki Boht dikkat hai... Ab jayen toh Kahaan jayee... Yeh nikkame dost bhi naa... Naa Hum inka phone uthate... Na yeh Hume Karu ki kasam dete... Aur naa hi hume Boss aur Patni Devi dono se jhooth bolna padta... Hamare toh bhaag hi phoot gye! 😩
(KS and PS were listening to his mummers)
PS: bechara hamara ghareeb masoom lalla! Kitna khauf hai aapka
KS: haan toh aapke Lalla ne bhi koi jhande gaard ne wale kaam nhi kiya hein... Jhooth bola hai unhone humse.
PS: haan toh bola bhi toh kisliye.. Kyunki aapki kasam jo di thi uske doston ne... Aur.. Uske dost sab ander aain... Mast mazaa kar rhe hein aur woh bechara dekho... Kaise bahaar apni bike par baitha hai... Akele...
KS: (notices his sadness)
PS: Arre nhi pasand hai hamare lalla ko bhi yeh sab cheezein... Par Sirf aapki kasam ke lie woh Yahaan aaya hai..
KS: aap sahi keh rhi hein Pushpa Ji!.. Ab aur Kitna emotional blackmail karengi Hume... Chahiye ab.. (laughs)
PS: (smiles) Chaliye..KS: (holding his shoulder) Patidev?
VS: (coming out of his world) Patni Devi! Hume maaf kar dijiye... Hume maaf kar dijiye please... (Overacting.. PJ ka khoon jo hai! 😂) hum tumhare saamne haath jodte hein!
KS: dono amma lalla ek Jaise hi hein!
(PS frowned)
KS: yeh kaa kar rhe hein aap Patidev! Hum nhi hai Gussa aapse!
VS: Hume maaf kar dijiye... Ek minute! Tum nhi Gussa ho humpar?
KS: haan... Haan nhi hein..
VS: Amma! Hum koi sapna toh nhi dekh rhe hein naa? (excitedly) Hey Bholenath! Kahin hum koi sapna toh nhi dekh rahe hein naa!!
(KS stared)
PS: abhi toh nhi dekh rhe ho... Par agar doosri baar aisa hua naa... Toh Shayad tum naa Bach payo.. (chuckled)
(the trio laughed)
KS: yeh sab chhodiye aur yeh bataiye.. Ki apne uss ladki ka chehra dekha?
VS: woh toh achhe se nhi dekh paaye... Unke Baalon ki wajah se...
PS: toh ander jaakar hi dekh lete hein aapki hone wali bhabi ko.. (laughs)
KS: (glared) Kuch Zyada nhi ho rha hai? Pushpa Ji?
PS: Ab.. Chahiye... Chahiye.. Ander (nervously)
VS: Koi fayda nhi hai Amma!
KS: Matlab?
VS: Matlab ki woh ladki aur saale sahab... Hum jab phone rakhe toh Yahaan par nhi the... Woh log jaa chuke hein..
KS: (shocked) Kaa!
(lag gyi... Bgm for Lalla)
KS: aap.. (frustrated)
VS: Sorry!
PS: Ab sorry bolne ka kya fayda.. Jab chidiya chubh gayi khet
KS: ab kaise pata chalega ki DSP Sir Kiske saath the
VS: Patni Devi, baat saale sahab ki Chal rhi hai... Aapke DSP Sir ka nhi..
KS: Haan hum bhi Bhaiya ka hi baat kar rhe hein... Anu Bhaiya hi hamare naye DSP Sir hein..
VS: (again shocked) Kyaa!
PS: haan abhi kya hi Kar sakte hai.. Sach hai 😞
(KS angrily glares at PS. And she avoids eye contact and hesitates)
VS: (complaining like a little child) Yeh cheating hai! Tumne Hume yeh nhi bataya ki Saale Sahab Lucknow Mein hein... Hume yeh nhi bataya ki woh tumhare naye DSP Sir bhi hein... Aur bhabi waali baat bhi chhupayi..
KS: Arre nhi hai woh hamari bhabi! (frustrated)
KS: chahiye... (sighs) Ghar jaiye aap Patidev... Aur Amma ko bhi le jaiye..
PS: par hum!
KS: That's an order Pushpa Ji! (says and leaves in the jeep)[AnuSeena in car]
HM: woh.. Aaj subah ke lie (avoiding eye contact)
AS: (understood her) uski koi bhi aavashakta nhi hai Haseena Ji! Hamare alava koi aur hota.. Toh woh bhi Shayad yahi karta! 😊
HM: par Phir bhi... Thank you! Aaj ke time par Jahaan khoon ka rishta bhi kisi maine nhi rehta, aapne senior hokar hamare lie jitni concern dikhayi... Uske lie..
AS: (sadly mummers) Sirf junior aur senior? 😞
HM: Ji?
AS: kuch nhi... Haseena Ji!
HM: Sir, aap bura naa mane toh hum aapse Ek sawal puchhein?
AS: Ji.. Ji.. Puchhiye naa..
HM: aapke parivaar mein kon kon hein?
AS: Waise toh hamare lie hamari mata ji hi hamara samast sansaar hai
HM: Aapke ghar mein Sirf aapki maa hein?
AS: haan.. Aur chacha ji.. Chachi ji bhi hein.. Par woh Kanpur mein rehte hein.. Aur hamari behen... Yaani ki Karishma Singh.. Hamare chacha chachi ki beti... Bass.. Yehi hai hamara chhota sa parivar..
HM: bass?
AS: aur waise toh durr ke risteydaar bhi hein.. Par unhe Kyun parivaar mein shaamil Karna..
HM: hmm (weakly) ... (in mind) Sir ne apne Abbu ke baare mein toh kuch bataya hi nhi..
AS: hamare Baba iss duniya mein bhi hein Haseena Ji!
HM: (pops her eyes out and keeps staring it) Aap..
AS: Aap yahi soch rhi thi naa ki humne hamare baba ke baare mein kuch Kyun nhi bataya... Hai naa?
HM: Ji... Magar aap... Kaise? (fumbling)
AS: (gets a little close to her) humne deemaag padh lia aapka! Bass! (flirteously)
HM: (hesitates listening to him and gets goosebumps)
AS: (sitting normally) Ab... Humne toh bata dia... Ab aapki baari... Bataiye..
HM: kya?
AS: apne parivaar ke baare mein..
HM: hamare parivaar mein bhi Sirf hamari Ammi hi hein.. Jinse aap subah subah hi mile the... Aur Abbu ke jaane ke baad Hamare Chacha ji.. Mahipal Singh... Jinhone Hume pita ke Kami kabhi mehsoos nhi hone di... Aur unki patni... Hamari Sheetal Chachi ji aur unki beti... Mansi... Bass itne hi log hein... Jo hamari zindagi mein maayine rakhte hein..
AS: aapke chacha ji.. Mahipal Singh ji... Kahaan rehte hein?
HM: Bhuj Mein.. Abbu ke jaane ke baad hum aur Ammi hamare Maamu Mumani ke ghar Bhuj gaye the.. Aur wahin par rehkar apni rozi roti kamate the.. Aur tabhi hamari mulakat Chacha Ji se hui thi..
AS: oh.. Arre! Baaton Baaton mein toh hum aapse puchhna hi bhool gaye...
HM: kya?
AS: yahi ki aap aaj achanak se behosh kaise ho gayin thin?
HM: Ji woh Zyada kuch nhi bass subah naashta nhi karne ki wajah se..
AS: aapko dhyan rakhna chahiye naa Haseena Ji..
HM: hum... (before she could speak anything, the car became imbalanced and AS lost control over it. Now, driving steadily, the car went wildly and collided with a tree)To be continued...
Anth tak padhne ke lie aap sabhi ka Boht Boht Shukriya... Shayad yeh part thoda boring thaa but hum har sambhav prayas karenge ki agla part boring naa gaye...
Aapki Priyatam
Neeyat
YOU ARE READING
AnuSeena-Tum Meri Zindagi (on hold)
Fiksi PenggemarTwo strangers DSP Anubhav Singh and SHO Haseena Malik cross path due to mere destiny... From Strangers to Collegues to Friends to Lovers to Soul Mates, they take every step of their beautiful journey together... But amidst their happiness lies the...