Continuation...
KS: hum toh... (in mind) Inhe kaise batain ki hum Yahaan kaise pahunche
{flashback:-
(KS was driving the jeep)
KS: (calling someone with Bluetooth on) Hello.. Santu?
SS: Jai Hind Madam!
KS: Jai Hind... Jai Hind... Achha suno...(interrupted by SS)
SS: Madam! (showing expression "how innocent" For KS) Aap bhi naa... (explaining voice) Voice call par Sirf sunn ki sakte hein...
KS: amma oh! Hamara matlab hai ki hum tumko kaam batane wale hein... Toh dhyan se sunno kyunki hum dohraige nhi...
SS: oh!
KS: hmm.. Toh fatafat laptop nikalo aur hume turant Anu Bhaiya ka location track karke Batao...
SS: aap DSP Sir par nazar rakhne wali hein madam? (Maasumiyat ka overflow)
KS: kon DSP Sir?
SS: DSP Anubhav Singh! Madam! aap.. (interrupted by KS)
KS: par Hume toh apne Anu Bhaiya ka location chahiye... DSP sir ka nhi...
SS: baat toh Ek hi hui naa madam!
KS: nhi baat ek nhi hai... DSP sir hamre senior hein aur hamara unka location trace Karna ghalat hai... Par Anu Bhaiya hamare Bhaiya hai... Toh hum unka location trace Karwa sakte hein... Aur ab agar tumhari bakaiti khatm nhi hui na... Toh kal se apne lie karne layak nayi naukri dhundh lo.. Aur kuch?
SS: (frightend) Nhi... Nhi... Abhi trace karti hoon...
KS: hmm... Hum hold par hein... Bolo(KS went wherever SS guided)
SS: Madam!
KS: (applying brakes) Kaa hua?
SS: DSP Sir ki location disconnect ho gayi... Jabki network bilkul high speed hai...
KS: (terrified) Hey Bholenath!... Santu... Tum hume unka last location send karo... Jaldi...
SS: Ji..After a while...
(KS reaches near the accident spot. She gets out of the jeep frightend)
KS: location toh yahi hai... Par... (notices AS's adhmara car)... Yeh gaadi toh... (frightend) Anu Bhaiya!... Nhi.. Hey Bholenath! Hamare Anu Bhaiya ki Raksha Karna... (to a man nearby) Bhaisahab!
Man: Ji?
KS: yeh... Yeh.. Gaadi mein jo the... Matlab... Yahaan kaise... (fumbled)
Man: aap shant ho jaiye madam... woh dono lagbhag theek hi the... Shayad koi chhoti moti chot lagi thii... Bass
KS: (sigh of relief) Hooo! Shukar hai Bholenath ka.. Ek minute! Dono?
Man: Ji! Jab... Gaadi uss taraf se aayi, toh (pointing to the opposite direction) usmein Ek madam thi aur gaadi jo chala rhe the... Woh sir the... Aur thodi der pehle hi dono hospital gaye hein...
KS: Madam thin? Kon Madam?
Man: woh toh bhi pata... Par woh kareeb 5.5 feet ki thin... Sundar thin... Aur unke hothon ke neeche Ek chhota sa til bhi thaa!
KS: Maddam Sir! Ab... Konse hospital gaye woh log?
Man: yahi... Paas wala... City Hospital!
KS: Ji.. Boht Boht Dhanyavaad... (she leaves in jeep)Flashback ki samapti }
(Just as KS was trying to speak, HM's went to washroom outside seeking excuse)
AS: aap? Kaise aayi Yahaan... KS?
KS: hum woh.. Kuch kaam se Yahaan aaye the toh...
AS: toh socha humse Milte chalen? (sarcastically)
KS: nhi... Nhi.. Hume toh (in mind) koi bahana sujh Kyun nhi raha hai...
AS: nhi sujhega...
KS: ji? (nervously)
AS: koi bhi bahana hamare saamne nhi sujhega... Pyari behna...
KS: (avoided eye contact)
AS: hmm... Toh nazarein naa charake.. Sach sach bataiye ki aap Yahaan kaise aayin...
KS: Anu Bhaiya... Woh.."Karishma!" voice from door
(all turned)
KS: Patidev? Aap Yahaan?
VS: tum thik toh ho naa? (without noticing AS) tum Yahaan hospital mein..?
KS: shaant ho jaiye Patidev! Hume kaa hoga.. Theek hein hum!
VS: toh tum Yahaan kya kar rhe rhi ho?
AS: Zara nazarein ghumakar dekhenge... Tab naa pata chalega... Shreemaan!
VS: (seeing AS) Saale Sahab! (excitedly)... (his expressions change to confused when he sees his wounds) Aap.. Yeh chot...
AS: chhota sa accident ho gaya thaa... Par hum theek hein..
KS: par aap Yahaan kaise aaye Patidev?
VS: woh Santosh ne hume phone karke bataya ki tum phone nhi uthaa rhi ho... Aur tumhari location trace karne par... Yahaan hospital ka dikha rha thaa... Toh Isiliye Hume chintaa ho gayi... Aur Amma ko ghar par chhodne ke Turant baad hum aagaye.. Bahar tumhari gaadi thi toh Hume yaheen ko gaya ki tum yaheen ho aur reception mein jab kisi lady police ke baare mein puchha toh unhone Yahaan bhej dia...
KS: achha..
AS: par tumne abhi tak yeh nhi bataya ki 'tum' Yahaan kaise aayi...
KS: (changing the topic) Maddam Sir... Abhi tak aayi nhi... Itna ka time lag rha hai...
AS: (this obviously diverted his attention) Hmm.. Abhi tak toh aajana chahiye thaa... Kahaan gayin?
YOU ARE READING
AnuSeena-Tum Meri Zindagi (on hold)
FanfictionTwo strangers DSP Anubhav Singh and SHO Haseena Malik cross path due to mere destiny... From Strangers to Collegues to Friends to Lovers to Soul Mates, they take every step of their beautiful journey together... But amidst their happiness lies the...