PART #10

804 85 14
                                    

AS: haseena haseena Kahan ho Yar mere new shirt Kahan rakhi hai tum nay nahi mil rhi hai.

A maid come his come and said.

Maid: chotay sahab ap mujhe bataein mei dhond dayti hun apko kiyà chaheay.

AS: tumhain kiyà pata meri cheezon ka ja k haseena ko bulao.

Maid: woh toh ab nahi hain.

AS: oh mei toh bhool hi gaya tha.

Maid: mei dhoond dun ?

AS: nahi tum jao mei khud dhoond lunga.

He throws out all his clothes in anger and frustration. And himself sits on heap of clothes and crying 😭.

AS: haseena I need you Yar wapis aa jaun na, itnay din ho gay hain tumhain gay huay, par mei phir bhi tumhain khud say alag nahi kar paa rha hun. Agar tumhari sirf aadat hoti toh shaid ab tak khatam ho jati par tum toh meri fitrat ban chuki ho meray andar khud ka wajood chor gae ho. Chahay tum nay jitna bhi naraz ho jaun par mei tum say nafrat nahi kar paa rha tumhain bhool nahi paa rha, jitna bhoolna chahta hun utni hi shiddat say tum yad aati ho mujhe. Kyun haseena mei kiyà karun tum hi koi wajah do k mei tumhain bhool sakun, tumhara wajood apnay andar say mita sakun. Please

He stood up and move to the balcony and see outside. Someone puts hand on his shoulder. Haseena is only word he says at that moment , a smile spread on his lips and turn to hug her but the smile vanished when he found Rakesh there.

AS: baba sa ap yahan?

RS: kiyà hua Anu tum roo rhy ho? Tumhari awazain sunni toh mei yahan aa gaya.

AS: nahi baba sa mei kab say ronay laga. Mei theek hun.

RS: jhoot mat bolo Anu. Mei sab janta hun..  haseena hai na wajah

After hearing her name his eyes becomes moist once again, the tears which he holds infront of his father automatically comes out. He can't bear that pain, he wants to share his pain with someone and he finds his father, he simply hugs him and crying his heart out. He holds him like a small child who demanding something with his father.

AS: baba sa mujhe uski buhat yad aati hai , ap usay lay k aaey thy toh usay kyun janay diya phir. Sab kuch usi ki wajah say hai baba sa. Woh sab jantay huay bhi mujhe chor k chali gae, apko pata hai na usay dekhay us say laray bina mera din nahi guzarta hai. Phir bhi us nay aaisa kiyà ap k pyar ka yeh Sila diya us nay. Sach mei haseena selfish hai baba sa. Usay na apka khayal hai na hi kisi aur ka. Baba sa ap usay kahen na wapis aa jaey woh meri baat toh taal sakti hai par apki baat woh mana nahi karay gi. Bolain na usay baba sa mujhe woh chaheay. Ap kahen na us say.

RS: Anu haseena ko mei nay Kaha tha yahan say janay ko. Uski koi ghalti nahi hai beta. Tumhari maa or Jo tum us k sath salook kartay thy mujh say dekha nahi Jata tha. Mana k uski majboori thi yahan rehna par iska matlab yeh toh nahi tha na k us k sath janwar say bhi battar salook kiyà jaey. Mei nay usay apni beti mana tha bhala koi pita apni beti ko aaisay nargh mei jaltay kaisay deekh sakta tha. Woh khush hai wahan buhat.

AS: baba sa is mei mera kiyà qasoor. Mujhe kis jurm ki saza mili hai.

RS: Anu tera yeh qasoor hai beta tu nay hamesha mena ka Sath diya hai tu janta hai hassu ko phir bhi tu nay uski niyat par shak kiyà, haseena kabhi nahi chahti thi k woh tum dono k hissay mei hissaydar banay, par meri khawahish thi k haseena ko tum dono k barabar ka haq milay.

AS: baba sa apko pata hai mei kabhi bhi sooch samjh k kuch nahi karta, yunhi jazbat mei bol gaya maa k kehnay par. Uski itni bari saza milay gi mujhe kyun.

RS: beta isliay kehtay hain hamesha sooch samjh k bolo. Ab kuch nahi ho sakta, ha par tum jab chaho haseena k pass ja saktay ho.

AS: baba sa abhi nahi, mujhe pehlay khud ko sambhalna hai warna aaisa na ho k mei phir us k samnay kamzoor par jaun.

TERA SATHWhere stories live. Discover now