About Karu

919 79 24
                                    

Chaliye bina time waste kiye shuru karte haii

Enjoyy Readingggg ❤️

#Episode 3

AS: par aapko toh pata hai ki hum toh thehre special agent, aur hume kabhi bhi mission pe jaana padhta tha... Toh hum Karu ko gharpe akele thodi chodh sakte the... Uski jaan ko bhi khatra rehta... Aur hum kisi house help pe bhi itna bharosa nahi kar sakte the ki humari Jaan se bhi pyaari Karu ko hum unke bharose chodhke missions pe jaaye isliye...

HM: isliye aapne uska dakhila (admission) hostel mein kara diya

AS: jii

HM: par aapne use yaha Lucknow mein kyu nahi rakha? Kanpur mein kyu?

AS: vo kyuki... Mid session admission chahiye tha toh humara ek Mitra ki vaha jaan pehchan thi, isliye... Aur ek baat thi ki Lucknow mein agar use rakte... Toh vo ziddi hostel mein rukti hi nahi... Vo Ghar aa jaati baar baar...

HM: acha ji... Par hume ek baat samajh nahi aayi

AS: kya?

HM: ki hume usse kya problem hogi?

AS: vo baat ye hai ki vo shaadi mein aayegi

HM: obviously, toh?

AS: toh baat aisi hai ki uska nature...

HM (keeping her hand on AS's hand): khulke boliye Anu, hum sun rhe hai, aur aapke saath hai...

AS: vo... Kya hai na... Hum Karu ko bohot choti Umar mein....jab vo kariban 10-11 saal ki thi, tab hi sheher le aaye the... Humne use saari khushiya dene ki puri koshish ki... Use vo sab ache manners sikhane ke koshish kiye... Par hostel mein choti Umar se rehne ki vajah se vo bohot bigad gyi hai...  Hum bhi unhe sahi se samay nahi de paate kyuki busy rehte hai... Hume lagta hai ki vo Ek maa ki kami hai jis vajah se hume unhe sudhar nahi paa rhe... Jo ek maa hi puri kar sakti hai, par humari Amma toh...

HM: bigad gayi hai matlab?

AS: matlab hume aisa aabhas hota hai, kuch samay se uske teachers complain kar rahe hai bohot, tests mein marks ache nahi aa rahe, logo se ladai karti rehti hai... Bohot shaitan hai, sabko tang karti hai... Hume toh is baat ka tanav (tension) hai ki ab vo class 10 mein chali hai... Unka boards hai, kaise karengi vo ye sab manage khudse...

HM: par insab se.... Hume aapki Karu se pareshani kyu hogi Anu?

AS: Kyuki Haseena Ji... aap toh thehri trainee... Aap vaise hi bacho ke in mamlo mein strict hai... Toh aapko pasand nahi aata na ye sab harkate... Ab Karu yaha shaadi mein aayengi... Toh pakka vo koi kaand karegi... Isliye pehle se cheta (warn) rahe hai aapko...

(Now, an addition to Haseena Malik's (HM's) character sketch: She was a trainer who used to train students who aspired to join police force, but now she is the head of the trainer's so she only visits academy once in a while, to check and keep a note)

HM (thinking something): hmm🤔

AS: vaise....utni bhi tension vali baat nahi hai kyuki vo sirf kuch hi dino ke liye aayegi shaadi mein... Fir chali jayegi...

HM (serious): ye aap kya keh rahe hai Anu?

AS: kya hua? Dekhiye hume shaadi mein toh unhe bulana hoga na...

HM: aap pagal vagal hai kya... Behen hai aapki vo... Kabse akele reh Rahi hai... Aur aap hai ki...

AS: hum kuch samjhe nahi...

HM: samjhenge bhi nahi... Buddhu kahi ke

AS: areh, bataiye na Haseena Ji, kya bol rahi thi aap?

HM: toh suniye... Pehle aap akele rehte the... Par ab toh hum saath hai na?

AS: jii.... Toh?

HM: toh ab vapas le aaiye na Karu ko... Hum hai toh dhyan rakhne ke liye uska...

AS: par priye... Vo bohot shaitan hai... Nahi sambhlegi aapse....

HM: Humse nahi, toh kisse sambhlegi?

AS: par hum aapko koi taqleef nahi dena chahte...

HM: uff... Isme taqleef kaisi, humari apni behen ke future ka sawal hai... Hum unhe pyaar bhi karenge, unke saath khelenge, unko khush rakhenge, unhe padhayenge, unhe manners aur achi chize sikhayenge, zarurat padhne pe strict bhi rahenge... Aur daat bhi lagayenge aur punish bhi karenge... Hum uski maa ki kami puri karne ki puri koshish karenge...

AS: Haseena Ji aap sachme humare liye itna kuch karengi?

HM: aapke liye nahi, humari behen ke liye...

AS smiles

HM: chaliye ab use le bhi aaiye na yaha... Hum bohot bechain hai unse milne ke liye... Photo dikha dijiye tab tak atleast...

AS: nahi nahi, ab toh hum directly aapko unse milwayenge...

HM: kab?

AS: aap bataiye kab chalna hai...

HM: kal hi chaliye na...

AS: aapne toh hume kaam pe laga diya...

HM: kyu?😂

AS: jaane se pehle hume sab documents lene padhenge, udhar se transfer ke liye, uske same school ki ek branch Lucknow mein hai, toh udhar unka transfer karva denge

HM: hum aapki madat kar dete hai documents nikalne mein

AS: baat documents ki nahi hai Haseena Ji...

HM: toh?

AS: umm vo...

HM: chupaiye mat na baat Anu, bataiye na

AS: vo gifts bhi lene padhenge bohot saare...

HM: kyu? Birthday hai Karu ka?

AS: nahi.. vo humne waada toda na

HM: kaisa wada?

AS: humne Karu ko wada kiya tha ki week mein ek baar ya minimum 2 weeks mein ekbaar usse Milne jaya karenge... Par...

HM: kabse nahi gaye aap?

AS: vo mission ke vajah se, aur fir desk duty lene ke baat...

HM (interrupted): sidhe sawal ka jawab dijiye na, kabse nahi mile aap usse?

AS: 3 mm... monthsss😐🥲

HM: kaise aap aise kar sakte hai Anu... Ab toh hum bhi madat nahi karenge aapki, aise kon karta hai choti bachi ke saath

Aajke liye bas itna hi...

Ab Kaisa hoga Karu aur HM ka bond? Kya ban payenge vo Kareena?

Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Kuch Rishte Aise Bhi❤️ (Kareena And Anuseena)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें