PART#12

1K 118 40
                                    

Next morning 🌄

Anubhav's is first who wakes up , he turns to her side and accidentally his hand hits her head. But lightly he totally forget not he has to share his room and his bed with his wife. He pecks on her forehead where his hand hit. After feeling some movements she opens her eyes and found him too close. She looks in his eyes directly he becomes nervous and step back and say sorry to her.

AS: maaf kijeay ga humari wajah say apki neend kharab ho gae. Woh ghalti say humara hath ap ko lag gaya tha, woh aadat hai na bed par akelay sonay ki toh bhool gay thy hum k ap bhi humaray Sath hain.

HM: koi baat nahi aadat ho jaey gi apko sharing ki.

AS: subha ho gae hai hum bath lay k aatay hain ap thori dyar aur aaram kar lyn.

HM: nahi hum bhi jag gay hain ap pehlay ho k aa jaen tab tak hum ap k or apnay kapray nikal daytay hain.

AS: ji shukriya hum aatay hain...

After taking bath.

AS: haseena ji hum neechay jatay hain ap bhi tyar ho k aa jaeay ga. Or ha agar ap saree pehnain gi toh humain acha lagay ga.

HM: hum jantay hain isi liey yeh saree hi nikali thi. Hum bus thori dyar mei aatay hain.

AS: ji...

Maa: Anu haseena tyar ho gae?

AS: nahi maa woh tyar ho rhi hain..

Maa: theek hai beta... Teri mausi or Bua ji bhi uthnay wali hun gi toh hum chahtay hain k un k jagnay say pehlay haseena Kuch meetha bana lay. Waisay nae nae bahu hai usay hum pehlay hi din kitchen mei bheej toh nahi saktay or humaray hathon ka swad Didi janti hain toh kyun na tu Kuch meetha bana day ta k unhain lagay k bahu nay banaya hai.. aaj ki baat hai beta phir dono apnay apnay ghar Chali jaen gi.

AS: ji maa hum bana daytay hain.

HM: aray ap kyun banain gay hum hain na. Acha hum samjh gay Ammi nay ap logon ko bata diya hai k humain kuch khana banana nahi aata? Par don't worry pichlay ek saal mei hum nay cooking seekh li hai.

Maa: nahi beta baat woh nahi hai hum nahi chahtay k tu pehlay hi din kitchen mei jaey or Kam karay. Abhi toh tere hathon ki mehindi bhi pheeki nahi pari hai.

HM: aunty ji Kiya hua ap nay hi toh Kaha tha Kal k ab yeh ghar humara bhi hai toh hum apnay ghar mei Kuch bana bhi nahi saktay. Hum jaldi say sab k liay breakfast or meetha bana daytay hain phir tyar ho jaen gay.

Maa: lekin.

HM: aunty ji lekin weikin kuch nahi.. ya phir ap humain apnay parivar ka sadasiya nahi manti?

Maa: theek hai ... Tum itna keh rhi ho maan jatay hain par shaid tum nay humain apna nahi samjha hai jabhi toh humain maa ki jagha aunty ji keh rhi ho.

HM: sorry aunty ji.

Maa: phir?

HM: sorry maa.

Maa: ab theek hai.

After making breakfast and sweet dish, she goes to her room...

Maa: Anu ja deekh na haseena tyar hui hai ya nahi ? Didi teen bar pooch chuki hain.

AS: ji maa hum deekhtay hain.

When he enters in room he surprised to see his wife who is fully covered herself with saree's pallu.

AS: haseena ji ap abhi tak ready nahi hui hain?

HM: hum tyar hain.

AS: toh neechay chalen.

HM: ha chalen.

DHAI AKSHAR PREM KAY:Where stories live. Discover now