Aas Lagi Hai Mann Me

70 6 3
                                    

Aas lagi hai mann me
Vrindavan dhaam jaane ki
Radhe Shyaam me mere
Ek roop ho jaane ki

Koi to chamatkar ho
Meri tapasya safal ho
Hey Radhakrishna mere
Iis samasya ka koi hal ho

Radha Rani baahe failaaye
Aalingan ka mujhe aadesh de
Kanha bajaaye murli apni
Main ho jaau unke vash me

Bhulu duniya ki reet rivaaj
Radha Krishna yahi naam yaad rahe
Jagg chhuthe mujhse door kahi
Bass Bhakti bhaav aabaad rahe

Kann kann me vrindavan ke
Radhakrishna ka abhaas ho
Unki yaad se bahe akhiyaa meri
Unke naam se hi har saas ho

Hawaaye jab chalne lage
Sang prem rang bikharti jaaye
Main gaau Prem geet radhe shyam ka
Aur bhakti meri nikharti jaaye

Main yamuna tat par baithi rahu
Radhakrishna khud darshan dene aaye
Paapo se mukti mil jaaye mujhe
Aatma parmaatma se mil jaaye

Phir kabhi na janam lu dhara par
Radhakrishna k charan kamal mera ghar ho
Aur lena pade agar janam phir bhi
To inki bhakti hi meri dagar ho jisse jeevan mera phirse safal ho

- Simran

RadhaKrishnaWhere stories live. Discover now