Arora house
Preeta rushed downstairs in her night dress only....
Preeta : mom dad... (vinod sakshi starles choking on tea) aree woh log aaj aane wale hn mujhe dekhne... Aur mere paas kuch nhi h.....aree first impression bnane mein fail ho gyi... Aur karan ne mujhe reject kr diya toh... Aur aap dono ko pta h... Mai rejection handle nhi kr sakti... Aap log ghur kyu rhe hn... Btaiye na mai kya pehnun... Ki jhatt se mujhe pasand kr lein woh log....
Sakshi : preeta... Tu kb yeh express train ki tarah hadbadana bnd kregi... Dara diya tha tune hume... Aur woh log shaam ko aane wale hn.... Itni shopping toh krti rehti h tu... Unme se kuch pehn liyo...
Preeta : dad... Aapki biwi sach mein old school hn...
Vinod : woh galat nhi keh rhi beta.... Woh log dekhne hi aa rhe hn... Aur humari bitiya itni khubsurat h ki... (cups her face) koi usee reject hi nhi kr sakti.... Tu zarura reject kr sakti h karan ko... But woh log nhi kr sakte...
Preeta (grins) : woh toh mai hun... But karan bhi kam nhi... Aur uske bde bhaiya... Woh bhi kitne handsome hn... Uski bhabhi ko nhi dekha aapne dad mom... She is soo beautiful...
Sakshi : tune kb dekha un sab ko...
Preeta : mom... The magical social media..... Chutkiyon mein nikal liya karan ki profile....
Sakshi : tune agar aise bartaav krna h.....bs ho gyi toh karan ki... Chl mai madad krun... Kya pehnna h tujhe... Vinod aap baki ki tayari dekh lena...
Vinod : thik h... Woh log bhi samay ke pkke hn... Jld se jld saari tayaari krte hn... Preeta.... Behave haan...
Preeta : ohoo mom dad... Dont worry... Mai achi hone wali bahu ki tarah hi behave krungi... Prinncess preeta jaise nhi...
Vinod /sakshi : thank uh...
Preeta : hawww....(both chuckles... Preeta hug them) woh mujhe pasand krega na mom dad...
Sakshi : bilkul... Humari beti ko... Koi napasand nhi kr sakta... Tujhe sach me karan baht pasand aa gya na...
Preeta : baht mom dad... Baht jyada.... (both smiles at her)
Luthra house
Jyoti brings ironed clothes of karan to his room.... Nd look at him looking towards his musical instruments locked in cabinet...
Jyoti : karan bhaiya.... Aapke kpde... Tayaar ho jaiye... Maa papa ji niklne ki baat kr rhe hn...
Karan : bhabhi.... (jyoti looked at him) mai usse kya khunga.... Kya baat krunga....
Jyoti (smiles) : jo aapke dil mein hn... Usee sachchai ke saath khiyega... Jo bhi dil mein chl rha h.. Woh sab usse keh dijiyega.... Usee acha lgega....
Karan: kya bhaiya ne bhi aapse... Yeh sab kaha tha...
Jyoti : haan... Unhone mujhe sab sach btaya tha... Aur yhi baat mujhe unme pasand aayi thi... (picked up shirt nd hand it over to Karan) pr mai mana nhi kr sakti thi unhe.... Kyunki..
Karan : mom dad ke karze mein aapke maa papa the tb.... (jyoti nods softly)
Jyoti : pr woh saare karze... Inhone utaar diya shaadi ke baad... Inhone mujhe yeh kbhi feel nhi hone diya ki inke dil mein koi aur h.....kyunki jo kaha tha tb... Aur ab bhi jo kehte hn woh dil se kehte hn... Dimaag jhuth bulwa sakta h.. Ya jhuth ko smartly sach ke dhaage mein piro sakta h.. Pr dil... Dil nhi....
Karan : aapko bura nhi lgta bhabhi... Yeh jaan kr bhaiya kisi aur se pyaar krte hn.. Aaj bhi koi aur h unke dil mein...
Jyoti : thoda sa... Pr jo woh ijjat mujhe dete hn.. Respect dete hn... Mere saath khde hote hn... Toh baht acha lgta h... Khud ko lucky mehsus krti hun mai... Aapko pyaar ke saath... Preeta ko.. Ijjat... Bhi deni hogi bhaiya.. Vishwas dena hoga apna.... Samjh rhe hn na aap...