To, Vidhi
Tere Samne....
Shabd Barf se jam jaate hai, Waqt pani sa behta hai,
Tere Samne....
Kitna Socha hai, Kya kya Kehna hai, Kaise Karna hai,
Izhaar is mohabbat ka,
Tere Samne....
bas....
bas.... in rukte, atakte, tukdo se Shabdo ka asra hai,
ke jo Waqt hai... wo to rukta nahi, kisi ke liye bhi thehrta nahi,
par..
tu bhi kya khub hai... par tu bhi kya khub hai,
Waqt ki khicha tani me, Ehsaaso ki aana kani me,
mere kahe - ankahe, rukte - atakte, tute tamam Shabdo ko,
kaise samjhti hai tu, jaise bas mere liye hi jiti hai tu,
kyu...
kyu...itni pyari hai tu, kaha se lati itni himmat hai tu,
kaash,
kaash le pata us himmat ka ek katra bhar...
bas ek katra bhar tujhse,
aur kaash... main bhi ek baar... ek baar hi sahi...
kaash....
Main bhi kabhi....
Waqt ko thoda sa rok pau, Shabdo ko thoda samet pau,
aur bana du ek Ashiyana Meri Mohabbat ka.
Bas Tere Samne !!!
From, Dev