1. 𝑻𝒉𝒂𝒂𝒍𝒊 𝑬𝒌 𝑯𝒂𝒂𝒕𝒉 𝑺𝒆 𝑵𝒂𝒉𝒊 𝑩𝒂𝒋𝒕𝒊

462 42 15
                                    

❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎❣︎

Shweta apna sara sach Pandyas ko chikh chikh kr baat deti hain sabki acchii class bhi lagati hain.... Uske baad ghar se nikal di jati hai... Dhara ghar ke andar aa jati hain... Pr raavi nhi aati... Aur rent wale ghar pe chali jati hain...and here we gooo.....  

At midnight 

Shiva puri tarah se guilt me tha..... bohut pareshan tha... Us se subah tak ka intezaar nhi hua... Aur vo aadhi raat ko hi raavi ke ghar aaya... Usne darwaza khatkhataya... Ek baar do baar.... Andar raavi ki just neend lahi hi thi... Aur usse darwaza khatkhatane ki aawaz aayi.... Itni raat gaye darwaza pr kisi ka hona aur ghar me raavi ka akela hona... Usse dar laga... Usne darwaza nhi khola... Pr dar ke sath sath tabhi raavi ko kuch mehesoos bhi hua... Usne dheere se darwaza khola... Aur dekha Waha Shiva tha... Raavi darwaza band karne lagi...  Pr shiva andar aa gya.... Aur usne darwaza band kar diya....

Raavi: Shiva ye kya battmeezi hain....me to dar hi gyi thi... Itni raat gaye tu yaha kya kr raha hain.... Kuch bolega... ( Shouting )

Shiva: R...raa..ra..avi... ( Words were not coming from his mouth and tears were started coming from his eyes.... Raavi feels hurt seeing his tears  but...🥺

Shiva: r...raavi Pls meri baat sun...me....

Raavi: nhi shiva.... Mujhe kuch nhi sun na.... Tu pls jaa... Aur tera is waqt yaha aane ka kya logic hain....kisi ne dekh liya hota to.... ( Still shouting )

Listening her, shiva gets angry he pulled her closer by shoulder and looking in her eyes.

Shiva: to....? Dekh liya hota to? Kya?? Tera pati hu... Pura haq hain mera tere sath kahi bhi kabhi bhi rehna ka..... Phir chahe din ho Yaa raaat....

Raavi pushes shiva.

R: Nhiii.... Tu galat hai shiva... Tu mera pati hain iska matlab ye nhi tu Jab man chahe jo man chahe vo karega.... Tu jaa yaha se shiva....

Sh: nhi jaunga.....jab tak Tu meri baat nhi sunegi me nhi jaunga.... ( Pause ) actually na Mujhe shuru me hi ye kr dena chahiye tha... Agar shuruwaat me hi me tujhse jabarzasti baat kr li hoti... Teri na suni hoti to ye nobat hi nhi aati...

R: tera matlab kya hain... ye jo kuch bhi hua ye meri galati hain.... Meri?

Sh: ( he realised what he said ) nhi.... dekh raavi mera vo matlab--

R: to kya matlab tha.... Is sab me meri kya galati hain? Ye galati ki shweta ko apna mana.... Uska sath diya..... Tujhse pyaar kiya.... tujhse expect kiya ki tu mujhpe trust karega.... Ye galati hain?

Sh: trust.... ( He laughs slightly ) trust, vishwas, bharosa, ye sab kuch tab hota na jab tu mujhe Krna ka mauka deti.... Tune har baar yesi yesi chize kr di jis se mera vishwas, trust, bharosa sab tujhe se uth gya.... Maanta hu galati hain meri.... Puri tarah se galati hain... Me apne aap ko sahi nhi kehe raha hu.. lekin...--

R: lekin....? Abhi bhi tera lekin hi chal raha hain.... Tu ye kehna chahta hain ki is sab me galati meri bhi hain...

Sh: haaa.... Nhi kehna chata tha me raavi... Aur na kehta lekin... Ab mujhse bardasht nhi ho raha... Ye dard bardasht nhi ho raha... Hamesha bachpan se le kr aaj tak me chup raha... Mene kabhi apne dil ki baate kisi se nhi kahi hain... Koi tha hi nhi sun ne wala.... Aur yahi soch kr kisi se kehne ke bare me socha tak nhi mene... Socha tha apni jeevansathi, apni biwi se jarur apni dil ki baatein karunga.... Lekin... Lekin vo bhi meri nhi sunti....

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 28, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

𝙏𝙖𝙖𝙡𝙞 𝙀𝙠 𝙃𝙖𝙖𝙩𝙝 𝙎𝙚 𝙉𝙖𝙝𝙞 𝘽𝙖𝙟𝙩𝙞 [Completed]Where stories live. Discover now