Jealous Preetakshya/Anuseena

484 23 8
                                    

Continue from previous part....

So anuseena car mein baith kar clinic ke liye jaa rahe hai... Anubhav is driving the car and haseena is sitting beside him on passenger seat... There is silence in the car...

As (he finally break the silence and spoke) - haseena ji... (She look at him) akhirkar aap humari patni ban hi gyi... (In teasing tone)

Hm (rolled her eyes) - jyada khush mat hoyiye sirf case ke liye hi hum pati patni bane hai...

As - tch... bhale hi iss vakhat aap case ke samathan ke liye humari patni bani ho... prantu hum toh aapke pati pehle se hi hai... (again tease her)

Hm - ho kya gya hai aapko... jab hum pehle pati patni ki tarah rehte the.. tab...(start looking other side) tab toh aapne kabhi aisi baate nahi ki balki tab toh aap... (he interrupte her)

As - tab hum iss rishte ko nahi mante the, yahi naa (he stopped his car on the side of the road, she looked at him) ha hum tab iss rishte ko sawikar nahi kar paye the.... kyuki tab humara dhayan kewal mission par kendrit tha... aur vaise bhi humne tab bhi aapko humare kisi bhi vivah bandhan mein naa bandhne ke karan bataye the... par ab hume samajh aa gya hai ki hum jin karanon se vivah rachane se bach rahe hai... unki vajah se hum apni maa ka dil baar - baar nahi dukha sakte, hum khud chahe uss dard ko aaj bhi bhul naa paye ho.... par humari maa unko hum uss karan se peeda nahi pahucha sakte... akhir unke bhi armaan hai, humare vivah ko lekar... aur humari chanda.. vo chahe hume, maa ki tarah yeh kehti naa ho... par unka bhi toh haridey chahta hoga hi ki unke bhaiya apne dukh ko bhul kar ek nayi suruyat kare unke liye bha... bhabhi laye (tear comes in his eyes and seeing him in this condition... hm kept her hand one hand on his hand) aap bhi unko achhi tarah se janti hai haseena ji... vo chahe jitni bhi majboot dikhti hai, bohot samajhdar banti hai... par hai vo ander se abhi bhi vohi masoom bachi... unhone bhi bachpan se bohot dukh jhela hai... apne bohot se rishton ko vo pehle hi pichhe chhod chuki hai aur kuchh ko hamesa ke liye kho chuki hai... Par ab joh rishtey hum unko de sakte hai, vo hum unse nahi chhinana chahte (hold her hand tightly) haseena ji ab chahe vo jitni bhi kathhor ban gyi ho par bachpan mein humne chanda ko kitni baar rote huye dekha hai, aur maa... maa ko bhi baba ke jane ke baad... kitni baar humne unki tasweer se baate karte aur rote huye dekha hai... par ab hum unse unki khushi ki koi vajah dur nahi karna chahte... hum unko har khushi dena chahte hai... haa hum apna dard kabhi bhul nahi sakte par hum fir bhi ek nayi suruyat karna chahte hai... Pehle hi bohot saal bita diye humne aise hi... par ab aur nahi...(while listening him tears come in her eyes also, but she turn her face to other side and quickly wipes them away)

Hm - dekhiye anubhav hum aapka, maa ka aur karishma ka dard achhe se samajh sakte hai... humne bhi apno ko khoya hai... apno ko khone ka dukh kya hota hai yeh hum bhi jante hai .... Par kya aap ab ek zabardasti ke nikah ko asli ke nikah mein badalna chahte hai.... (he silently start looking into her eyes, When she didn't get any answer from him, she pulled her hand away from his grip...) nahi... aap chahe iske liye tyaar ho gye hai... par hum nahi humara abhi bhi vahi faisla hai jo nikah ke pehle din tha... aur rahi baat maa aur kashi ki toh...(turn her face to other side) ....toh aapko humne tab bhi kaha tha aur ab bhi keh rahe hai ki... ki aap jab chahe jisse chahe nikah kar sakte hai... apni ek nayi zindgi ki suruyat kar sakte hai... hum toh hamesha dost hi bankar reh sakte hai pehle ki tarah...

As (hold her hand again, so she again start looking at him) - par hum kisi aur se vivah nahi kar sakte... aap mane ja naa mane par hum iss rishtey ko do saal pehle hi sawikar kar chuke hai aur humare liye bas aap hi ab humari parni hai (listening him she again try to remove her hand from his grip but he hold it little tightly and said further looking into her eyes) ...aap hi voh mahila hai, jiske sath hum apna sukh dukh bant sakte hai... aur jiski pidha hum khud par khushi khushi le sakte hai... joh hume purantah samajhti bhi hai... aur sahi galat samjhati bhi hai... aur jinko hum samajhna chahte hai.... aap kabhi humare desh prem ke madhya nahi aayegi, yeh bhi hume gyaat hai aur naa hum aapke kisi kareya ke madhya aana chahte hai... joh unn 6 mah mein.. humare sath rehkar ek ajnabi se humari zindgi ki ek aisi saksh ban gyi... jinhe hum apni sakhi se kuchh adhik manne lage hai... aur yeh baat hume tab samajh aayi, jab aap humare paas nahi thi... humne aapko inn do saalo mein kitna dhudhne ka preyatan kiya par vifal rahe...

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now