Who can forget King Khan's 3 and a half minute cameo in 2016 musical hit Ae Dil Hai Mushkil.
Shah Rukh Khan as Tahir Taliyar Khan (Saba's ex husband) was the ultimate romantic who was still in love with his ex wife. The way he delivered his lines, the pauses, the expressions, the love shining in his eyes, the pain of lost love, everything looked so real. No wonder he is the king of romance.
Enjoy the scene and the power of one sided love.SCENE
Tahir: Haay... kamaal hai, Facebook se khabar mili, do cheeze badal chuki hai, tumhari deewaron ka rang aur tumhaare dil ka pataa.
Saba: Ayaan.. Tahir
Ayaan: Fantastic work Sir!
Tahir: Sir... Really, sir?
Izzat bhi de rahe ho aur umar bhi yaad dila rahe ho.
By the way, ye tumhe ma'am to nahi bulata na..Saba: You think!!
Tahir: I don't know. Toh tum ho, jisne inki raaton ki neend uda di
Ayaan: haan, main inhe sone nahi deta.
Tahir: Aisa to mat karo yaar, thoda to sone do, warna main inke khwabon mein kaise aa paunga
Ayaan: Ab to bilkul sone nahi dunga
Tahir: aah, I can't see that
Saba: Change of topic, hmm?
Tahir: yes
Saba: Waise tumhare khwaab to kaamil ho chuke hain, your new work is very interesting.
Tahir: Actually Fantastic
Mehbooba ki baahon se chhutti kya mili, haathon ko kaam aa gaya.
Ayaan: I'm sorry, lekin, aap ye lines ratt ke aate ho
Tahir: nahi naturally.. andar se.. andar se nikalti hain
Ayaan: Accha, naturally
Tahir: Dare hue log aksar alfaazon ke peeche chhupte hain (winks). Hamari kahani badal gayi, khauf nahi badla.
Ayaan: Kahani kyun badli, if I may ask?
Tahir: You must, unhi se pucho jinhe tum raaton ko sone nahi dete.
Saba: rishton ki geeli zameen par log aksar phisal jaate hain
Tahir: yeahh... tum sambhal bhi to sakti thi
Saba: Jo giraaye wohi sambhale
Tahir: Nafrat karta hoon mai
tumse ..itni.. actually a lot.Ayaan: Itni nafrat itni jaldi, Sir thoda waqt to dijiye..
Tahir: Nahi nahi.. isi waqt yaar, aur tumse nafrat karna jayaz bhi hai kyonki aaj bhi mai saba se beintehaa mohabbat karta hoon.
Saba: Maine tumhari mohabbat dekh li ab tum bhi meri dosti aazma ke dekh lo.
Aayan: Aasan hai kya?
Tahir: Kya?
Aayan: Aisi mohabbat karna jiske badle mai mohabbat na mile
Tahir: It's the most beautiful feeling in the world
Aayan: kamzori nahi lagti aapko
Tahir: Bilkul nahi.
Ek tarfa pyar ki taqat hi kuch aur hoti hai. aur rishton ki tarah yeh do logon mein nahi batti ... sirf mera haq hai ispe..sirf mera.
Mujhe Saba se beintaha mohabbat karne ke liye Saba ki hi jarurat nahi hai. Ho sakta hai isse koi behtar rishta?
"Agar baazi ishq ki baazi hai toh joh chahe laga lo, dar kaisa... agar jeet gaye toh kya kehna, agar haare bhi toh baazi maat nahi.."
YOU ARE READING
Bollywood
No FicciónKnow about all Bollywood films. (Indian films). This will help you in deciding which films should be seen and which ones should be avoided.