Bonus part (5900 + wards)
Kitne dino se likh rahi thi yeh part finally ab jakar complete hua hai... Vaise toh mai pehle The Billionaire Bodyguard ka update dene wali thi but uska flow nahi ban paya likhte time toh isliye iska update pehle de diya but mai uska bhi jaldi dene ka try karugi... tab tak enjoy this story...
--------------------------------------------------------------------------------------
Continue.....
At Singh Niwas.. (at 9:00 pm)
Anubhav returned home from Mpt in the evening... and now he is in maa's room... maa was sitting on the bed and he is sitting beside her...
As - maa aap yeh dawai le lijiye sone se pehle... (giving her medicine)
Maa - ek toh yeh dawaiyan bhi naa pichha nahi chhodti iss umar mein...(said irritatedly while gulping down the meds)
As - ab jab aap vishram nahi karti prata se lekar ratri tak bas kareyon mein lagi rehti hai toh inki avashakta toh padegi hi naa...(taking the glass from her and put it on side table)
Maa - ha toh ab tum toh mujhe bahu lakar dene se rahe toh ghar ka sara kaam toh mujhe akeli ko hi karna padega naa fir... (tauntingly)
As - aap punah aarabh ho gayi.... humne aapko anek baar kaha hai ki hum shaadi abhi nahi kar sakte toh fir aap kyu baar baar ek hi baat karti hai... (lil irritated with this topic)
Maa - haa pata hai mujhe ki tu abhi shaadi nahi karna chahta... par mujhe yeh bhi pata hai ki tera yeh abhi, kabhi khatam nahi hone wala... issi liye mujhe tujhe baar baar yehi bolna padta hai...
As - maa... (interrupted)
Maa (furiously) - koi maa nai... ab tera ek bhi aur bahana mai sunne wali nahi hun... kabhi tujhe samein chahiye hota hai, toh kabhi teri duty ko.. kabhi tu kisi mission par hota hai toh kabhi kisi aur jaruri kaam mein... jab dekho bas bahane deta rehta hai tu mujhe.... arre sikh kuchh apni behen se usne school mein hi damad ji ko chun liya tha aur duty join karne ke do saal baad shaadi bhi kar li thi... (according to this storyline) aur ek tu hai ki tujhe shaadi karne ke liye mujhe baar baar bolna padta hai... par tere kaanon mein toh fir bhi ju tak nahi regti...
As - haa toh kya chahti hai ab aap iss vakhat, ki hum abhi jaye aur kisi bhi kaneya se vivah karke usse aapke samaksh lakar khada karde...(annoyingly)
Maa (calmly) - nahi mai yeh nahi chahti ki tu abhi ke abhi shaadi kare, ja iss samein ladki dhudhne jaye, mai bas yeh chahti hu ki tu apne atit ko bhul kar ab aage badh, jaise kashi badhi hai.. tu bhi apni ruki huyi zindgi ko dubara se suru hone kaa ek moka de... kisi ko apne dil mein aane de taki vo tere har dard, har zakham ko apne pyaar se thik kar sake... anu tu bhi ab apne dil ke darwaje kisi ke liye khol, taki koi iss pe apne pyaar ke saath dastak se sake... agar tu aisa karega naa toh tujhe apne liye kisi ko dhundhne ki jarurat nahi padegi, balki ladki khud ba khud chalke tere paas aayegi...(smilingly)
As - maa jeevan mein kuch chize aisi hoti hai joh humare bas mein nahi hoti.. bas ho jati hai, aur humare saath toh aise kai baar ho chuka hai ki ab toh hume samajh bhi nahi aata ki aakhir kismat humse chahti kya hai... kabhi koi aisa insaan humari zindgi mein bhejti hai jiski hume chahat nahi hoti, fir jab dheere dheere vo insaan humare liye jaruri ho jata hai toh yeh fir achanak se usse humse dur bhi kar deti hai.. aur iss baar toh kismat ne hume aur bhi uljha diya hai apne jaal mein, ki hum naa toh usse kaat kar uss se nikal sakte hai aur naa hi usmein reh paa rahe hai... (thinking about hm and their forced marriage jise anu ab apna chuka hai)
Maa - kya matlab... ab aisa kya huya hai... (Confused)
As - maa aap bas itna samajh lijiye ki vivah se hume ab koi aapati nahi hai par hume kuch samein chahiye sab kuch sahi karne ke liye... (calmly)
YOU ARE READING
anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)
RandomSo story is about our beloved couple anuseena,this is my very first story so plz co- operate agar koi glti ho toh mein pehle se hi sorry kehti hu. So iss story mein kafi stories ka mixture milega aap sab ko ,so first of all mai bta du ki yeh story m...