Do Gallan kariye pyaar diya

265 19 13
                                    

Bonus part ( 5676 words)

Continuation....

Anu&seena both were looking at the moon... there was silence all around... Sab log so chuke the, sara sehar ekdam shant tha, itna ki dur se aane wali awaaz ko bhi koi saaf sun paye...

Anubhav, karishma ke saath kya huya tha aur kya nahi, yeh haseena ko bata chuka tha aur usse apni baat khatam kiye bhi almost 10 minutes ho chuke the, par naa toh haseena ne sab sunne ke baad kuch bola aur naa hi anubhav ne, dono bas chand ko dekh rahe the, aur ek dusre ki khamoshi mein chupe alfaz sunne ki koshish kar rahe the... jab achanak se hm bolti hai...

Hm (looks at him) - toh issi liye aap aur maa, karishma ko apne saath yaha lucknow le aaye aur aapke chacha ji aur choti chachi, kareena ke saath mumbai shift ho gye....

As (turn towards her) - ji issi liye...(stop and suddenly asks) ek shan aapko kaise gayat ki chacha ji aur chachi ji ab mumbai mein rehte hai....(asked raising his brows)

Hm (she first become a little nervous at his sudden question but then said smilingly) - anubhav abhi abhi toh humne aapko bataya naa ki hum special force mein bhi hai toh ab hum agar special force mein hokar apne relatives ki hi jankari naa rakh paye, toh humara ek agent hone ka kya fir fayda

As (smirkingly) - oh apne relatives... arthar aapke apne rishtedaar.. kamal hai haseena ji aapne humare vivah ko abhi tak bhi sawikar (except) nahi kiya, par humare sabhi rishton ko aapne jarur apna liya hai... ab aap hi bataiye jab aap humare rishte ko lekar hi spast(clear) nahi hai toh aap humse jude saare rishton ko apnana kyu chahti hai....

Hm (said looking at the moon) - anubhav aap saaf saaf puchh lijiye naa joh aapko humse janana hai, aise baar baar apni negotiation ki azmaish humare upar karna chhodiye aur aaj puchh hi lijiye joh aap janana chahte hai....

As (he also said looking at the moon) - agar hum aapse kuch bhi spast puchhege toh kya aap hume uska uttar dengi...

Hm (she come back near swing and sits there ( 2nd last part mein yaha par ek swing bhi tha)) - hum koshish kar sakte hai ki aapke sawalon ka jawaab de sake... baki toh aapke sawalon par depend karta hai...

((next joh question hai vo do friends ke bich ho rahe hai isliye  iss mein anuseena ki shaadi ka zikar nahi hai vaise bhi vo marriage ek majboori thi(according to hm)))

As (turning to her and standing with his back against railing) - toh fir aap batayiye ki aapke vivah ke vishey mein kya vichaar hai...

Hm (sits comfortably) - nikah.... hunare liye nikah ek bandish hai.... ek aisi bandish joh hume humara farz nibhane se rok sakti hai....

As (again asks) - toh kya aap kabhi bhi apne sampuran jeevan mein vivah nahi karna chahti....

Hm - nahi....

As (also come and sits beside her) - lekin agar vivah aapke liye bandish naa hokar ek saath ban jaye fir... aap fir bhi vivah nahi karna chahegi...

Hm (with out any expressions) - nahi... hum tab bhi nikah nahi karna chahte.... aur rahi saath ki baat toh humari zindagi mein saath dene ke liye aaj tak joh koi bhi aaya hai vahi sabse pehle hume chhodkar bhi chala gaya hai.... koi humare saath lambe samein ke liye ruka hi nahi... chahe fir vo humare abbu ho, humari dadijaan ho ja humare sabse karibi dost...(last part she said little emotionally with teary eyes)

As - haseena ji aap abhi bol rahi thi ke aap ab ek kadak agent ban chuki hai aur aap SHO haseena malik ki tarah har samein jazbaati nahi rahti par ab aap aise bhavuk ho rahi hai...

Hm (said while controling her emotions) - haa par iss samein hum koi mission bhi toh discus nahi kar rahe naa, iss time hum sirf aur sirf haseena hai, joh apne unn apno ko yaad kar rahi hai, jinko ab hum shayad apni zindagi mein firse kabhi nahi dekh payege.... aur aap kya hume keh rahe hai aap khud emotional nahi hote jab aap apne past ko yaad karte ho... (taunting him)

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now