Shiva, Shankar, Bhole, Shambhu naath,
Anant naam hai jinka,
Kis naam se pukaru bhole,
Ye bhakta ke mann mai hai ek shanka.Mai kalpana kya karu unki jo, pare hai iss sansaar se!
Avinashi hai, kailashi hai, Virakt hai Sansaar se!
Grihasth hai, Anasakt hai, kya kuchh hai jo, shiv hai nhi?
Sabke hai jo, sab mei hai jo,
Sab kuchh hai aur kuch bhi nahi!
Devata karte pranam, maanav dharte nirantar dhyaan!
Asur kare tapasya jiski, wahi hai mere rudra bhagwaan!
Joh kankar mai viraje, Shankar hai wahi-
Pushpa bhi dhnya ho jayee jinke sparsh se, shiv hai wahi-
Abhishek kar, jal bhi dhanya hai!
Havan kar, agni bhi prasann hai!Mann ke bheetar hai chipaa vikaar hai vo!
Uss vikaar ko duur kare jo,sanskaar hai vo!
Ashru swayam gire vah bhav hai vo,
Jisko mai likh Raha vah vichaar hai vo,
Magna jismai mai ho jaau vah geet hai vo,
Ek belpatra mei sakshatkaar dila de, aise bholenaath hai vo!Kaal jisse kapkapaye vah mahakaal hai vo,
Mere taat, maat, bandhu, bhraat hai vo!
Mera sab kuchh, aur kuchh bhi nhi-
Bhavishya, bhoot aur vartmaan hai vo!
आप पढ़ रहे हैं
Shiva: The one who is everything and yet nothing.
PoetryShiva is someone to whom time even cannot bound then how can the words would. But it is said that bholenath is so "bholaa" that even a small leaf (belpatra) dedicated to him will make him happy. Therefore, through this poem the poet has tried to ex...