Continuation...
Lakshya comes in his room after his and preeta's talk, he sits on the bed and start thinking about his and preeta's conversation...
Lakshya's pov
Preeta ji se humne joh bhi baat ki hai usse toh hume yahi pata chala hai ki vo vahi gupatchar hai jinko humara saath dene ke liye bheja gya hai, par hume fir bhi kuch toh chupa hua lag raha hai, varna preeta ji joh ki ek agent nahi hai, jinko thik se humare mission ke baare mein pata tak nahi hai unko maddam itne mushkil mission jaha saare gao wale khud hi khudke dushman bane hue hai unke bich kyu bhejti... balki vo toh kise aise agent ko yaha par bhejti joh iss pani jaise gao mein rang ki tarah khudko mila le aur kisi ko shak bhi naa hone paye... kahi aisa toh nahi ki preeta ji humse kuch chupa rahi hai hume ek baar firse unse baat karni padegi iss baare mein tabhi hum kisi nishkarsh par pahunch payege... par usse pehle hume urvashi ji ke saath unke ghar jana hai aaj aur thhakur sahab se milna hai aur apne mission par bhi apna dhayan kendrit karna hai, preeta ji ka sach pata lagane ke chakkar mein hum apne mission ko halke mein nahi le sakte hume uss par bhi dhayan pura dena hoga...
Next day...
Lakshya and preeta was sitting together on the cot and was enjoying their evening tea with some Bhojpuri snacks....
Lakshya (take a sip from his kular and asks from her) - toh preeta ji ab aage aapne kya socha hai....??
Preeta (confusingly asked and then take a sip from her kular) - kis baare mein??
Lakshya (casually said ) - iss vivah ko aage badhane ke baare mein...
Preeta starts coughing after listening this from him.... he extend his hand for her help but she stop him by showing her hand...she stands up from her place and put her kular wala cup down..
Preeta (yaha par konsa emotion/expression likhu samajh nahi aaya aap khud imagine karlo) - aap yeh kya...(calmly) nahi matlab humne suru mein hi yeh faisla liya tha na ki yeh shaadi bas ek natak hoga duniya ko dikhane ke liye aur kuch nahi aur abhi kal hi aapne bhi yahi kaha tha toh fir aaj aap apni baat se mukar kaise sakte hai...
Lakshya (trying to explaine her his actual meaning) - humara kehne ka tatparya vo nahi tha joh aap samajh rahi hai.... hum yeh keh rahe hai ki aapne iss vivah ke bandhan mein kab tak rehne ka socha hai ab hum pura jeevan toh iss dikhave ke vivah mein nahi reh sakte naa(preeta take a sign of relief and then again sat down on her place)
Preeta (said smilingly while rotating her hand) - oh toh aap aise aa rahe the....(Raising her cup again and taking a sip of tea from it she said..) dekhiye lakshya babu jab tak aap iss gao mein humare saath hai, hum dono chhuta chhada(divorce) lene ke baare mein toh soch bhi nahi sakte baki jab aap yaha se chale jayege tab hum iss baare mein baat karege
Lakshya (tauntingly) - humare yaha se chale jane ke baad fir aap kis se aur kya baat karegi, fir toh hum aise hi alag ho jayege naa ek dusre se
Preeta (smilingly) - arre wah aap toh humari baat ko ek hi baar mein samajh gye, chaliye ab aap apne haath ki bani hue chai ka maja lijiye hum chalte hai, hume chote thhakur se milne jana hai kisi kaam se(said and again stands up from her place)
Lakshya (hold her hand to stop her from going) - ek shan aap chote thhakur... humara matlab hai ki pradeep ji se milne ja rahi hai, agar kisi ne aapko jate hue dekh liya toh firse humara mission khatre mein naa aa jaye
Preeta (asked in fake confusing tone) - konsa misin? kaisa misin?... aur koi nahi dekhega hume aur dekh bhi liye toh hum sab sambhal lenge
Lakshya (tauntingly) - haa vaise hi jaise aapne pehle sambhala tha, haina... aur haa agar aap yaha par mission ke liye nahi aayi hai, toh fir aap hume ek baat bataiye ki aap kis liye baar baar pradeep ji se milne jati hai aur unko yaha par milne bhi bulati hai.... aapko maddam ne agar yaha par bheja hai toh yeh sab joh aap kar rahi hai yeh bhi samjhakar hi bheja hoga naa ki aapko mission mein humara saath kaise dena hai
YOU ARE READING
anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)
RandomSo story is about our beloved couple anuseena,this is my very first story so plz co- operate agar koi glti ho toh mein pehle se hi sorry kehti hu. So iss story mein kafi stories ka mixture milega aap sab ko ,so first of all mai bta du ki yeh story m...