It was morning time. Pallavi woke up and check her phone. Still no message or call from raghav. She feels upset. She got up and got fresh and left for kitchen. Pallavi was making breakfast when aayi entered in kitchen
Aayi : arre pallu tu kyu bana rahi hain. Jaa tu aaram kar
Pallavi : aayi banane dijiye na kitne time ke baad moka mila hain
Aayi : theek hain bana le waise kya bana rahi hain?
Pallavi : idli sambhar jo amma ne apni style me shikhaya tha aur jo Raghav ka favourite hain
After talking about raghav she agains feel bad.
Aayi : kya hua pallavi?
Pallavi : kuch nahi aayi woh raghav ko pata nahi kya hua hain ab tak phone nahi kiya hain
By the time Nikhil said there is call from Raghav
Pallavi : aayi main abhi aayi and she ran from there
On phone
Raghav : hi Pallavi kaisa hain tum (No response) hello hello lagta phone kat gaya hain
Pallavi cough to make her presence
Raghav : main kab se hello hello kar raha hain tum kuch bol kyu nahi raha hain?
Pallavi : kyunki main tumse naraz hoon
Raghav : theek hain to main baad me call karta hain bye
Pallavi : arre main naraz hoon to mujhe manao
Raghav : pehle yeh batao naraz kyu hain?
Raghav knows why is she upset with him but he wants to talk to her more and want to listen her voice
Pallavi : waah waah woh bhi main batau. Jab pata chale tab phone karna bye
Raghav : ruko ruko main to mazak kar raha tha. Pallavi madam I am really sorry aapka maine kal phone nahi uthaya. Kal bahut urgent meeting tha to time hi nahi mila. Please mujhe maaf kar do
Pallavi : nahi karugi
Raghav : kyu lekin? Maafi to maang li
Pallavi : pehle promise karo ke next time se kitna bhi busy kyu na ho ek baar to baat karege
Raghav : are you sure? Tumhare baba ko accha nahi lagega
Pallavi : I am very much sure. Raghav tum mere bahut acche dost ho aur main tumhe khona nahi chahti. Mujhe nahi accha laga jab tumne kal baat nahi ki. Rahi baat baba ki sabse pehle I am really sorry ke unhone kal aise baat ki aur main unko samja dugi ke tumhari aise insult na kare tum woh deserve nahi karti aur kal chup rehne ke liye bhi sorry. To promise karo ke main aur bhi naraz ho jau?
Raghav : nahi meri maa bilkul naraz mat ho. Main kuch bhi ho jaye tumse baat karega bhale sirf good morning aur good night hi kyu na bole
Pallavi : good. Waise aur ek promise chahiye. Amma ne bataya kal tumne firse lunch skip kiya. To tum khana skip nahi karoge.
Raghav : nahi mera galti nahi hain usme Farahd ka galti hain usne mujhe yaad nahi dilaya
Pallavi : bichare Farahd ko blame mat karo. Usne bola hoga tumne hi apni badi badi aankhe dikha kar usko chup karaya hoga. Itna to maine janti hoon tumhe
Raghav to himself agar itna janti ho to yeh kyu nahi samja ke tumhara jana mujhe accha nahi laga
Pallavi : kuch kaha tumne
Raghav : nahi to tumhare kaan baj rahe hain
Pallavi : jyada mat bolo . suno aaj koi meeting hain tumhari?
Raghav : nahi to
Pallavi : theek hain fir aaj milte hain. Kal jaldi me nikal gaye to tumse theek se mil nahi payi to aaj lunch party meri taraf se. Abhi main phone rakhti hoon breakfast banane ja rahi hoon tumhare favourite idli sambhar amma ke style ka
Raghav : arre waah mere liye bhi lekar aana
Pallavi : nahi lekar aaugi. Waise bhi bachege nahi. Chalo bye late ho raha hain
Raghav : you are very bad
In kitchen
Pallavi was happy after talking to raghav and she started to make breakfast. Aayi notice change in her behaviour. She packed idli sambhar
Aayi : yeh kiske liye hain?
Pallavi : Raghav ke liye. Uske favourite hain na
There is some different kind of glow on her face whenever she talked about Raghav. Is she in love with Raghav? she thought but brush off.
On breakfast table all were having fun and discussion. Whatever discussion was going on Pallavi talk about Rao family which was not liked by baba so he tried to divert the topic. Aayi thought Pallavi became close to Rao family more than they know.
Pallavi : baba main aaj sari shop ja rahi hoon
Baba : arre beta kyu jana hain. Thode din ghar par aaram karo
Pallavi : main ghar par bore ho jaogi waise bhi
Aayi : jane dijiye na agar uska mann hain to. Pallavi beta lunch main kya banau?
Pallavi : aayi aaj main aur Raghav lunch ke liye bahar jayege to lunch ki zarurat nahi hain
Baba : usse milne ki kya zarurat hain?
Pallavi : baba main janti hoon aap Raghav ko pasand nahi karte hain aur main aapko jabardarsti bhi nahi karugi. Lekin please aap uski insult bhi mat kiya karo. Woh utna bhi bura nahi hain jitna aap log samaj rahe ho. Main rahi hoon uske saath mujhe pata hain woh kitna accha hain. To please mere liye raghav ke saath aap apna behaviour change kariye. Mujhe nahi accha lagega agar aap baar baar uski insult karege. Woh mere liye seh leta hain jaise kal bhi kiya lekin agli baar agar woh kuch bola to main bhi usko chup nahi kara paugi. Please samajiye. Jaise woh koshish kar raha hain aap bhi kijiye. Karege na?
Baba : agar teri khushi isi me hain to koshish karuga lekin usne kuch ulta seedha kiya to main chup nahi rahuga
Pallavi : aap koshish kar rahe hain woh bhi bahut hain mere liye. Thank you baba. Ab main chalti hoon

YOU ARE READING
Ankahee baatein - RaghVi SS
Любовные романыRaghVi This story is after Raghav mend things between Pallavi and Deshmukh