Koi iskadar behis hosakta hai,mujhe andaza nahi tha. Magar aj is shakas se mil kar yakeen hogaya ki aise log bhi hote hai. Allah aise logo ko banata hi kyu hai? Dusro ko tang karne ke liye shayad. Aj yakeenan meri zindagi ka sabse kharab din tha. Kos rahi hoon us pal ko jab wo shaks mere pas akar baitha. Uski ek jhalak ne hi mujhe uske bare me kafi kuch bata diya tha. Jis tarah se mujhe dekh uske chehre pe muskurahat ayi mujhe andaza hogaya tha ki wo kaisa shaks hai. Beharhal maine use ignore karne ki puri koshish ki magar wo chup rehne walo me se nahi tha. Aise mard flirt karne ke siwa aur kuch kar hi nahi sakte. Taras to mujhe us bechari Air hostess par aa raha tha jo humare pas chai ko puchne ke liye ayi.
"Sir would like to have some tea?"
"Of course. I surely can't say a no to a girl who is as beautiful as you."
Ye lafz jab uski zubaan se nikle to na chahte huye bhi hairangi se main uske taraf dekhne lagi. Par phir maine apni narzrein us par se hata li.
"Sir how would you like the tea,with or without sugar and milk."
"Ah..umm..what do you prefer?"
"With Sugar and milk sir."
"Alright make it exactly the way you would like to have."
Main pehle to use bechari samjh rahi thi magar jab maine uske chehre par nazar dhali to dekha wo phule nahi sama rahi thi.Uske bad main todhi beparwah hogyi kyu ki aise hi ladkiyon ke karan us jaise mard ko badhawa milta hai. Aise shaks ko Sir bulana meri liye kisi tauheen se kam nahi hoti.
Chai peene ke kuch lamhe ke bad jab maine apni book kholi to maine mehsus kiya ki kisi ki nazrein meri taraf dekh rahi hai. Mujhe yakeen tha ki yeh wahi shaks hai magar maine use tavaju dena zaruri nahi samjha. Magar todhi hi dair bad usne mujhe toka
"Ye Ap Khaled Hosseini ki kite runner padh rahi hai?"
Maine uske taraf is tarah dekha ki usne apni nazrein jukha li. Hairangi hui mujhe ki us jaisa shaks apni ankhein bhi jhuka sakta tha.
Maine uski baat ka koi jawab nahi diya. Wo todha samay asmanjas me baitha raha aur phir apne laptop me masroof hogaya. Maine thandi sans li.
Lekin kuch lamhe ke bad wo meri taraf mura aur usne kaha
"Ap movies dekhti hai?"
Uski ye koshish ne mujhe phir hairan kar diya maine socha tha ki ab woh meri taraf aur tavajju nahi dega.
"Ji ap se matlab?"
Maine berukhi se usse pucha. Ek lamhe ke liye to woh zarur hichkichaya magar uske bad usne muskurakar jawab diya
"Woh maine bas socha ki hum ekhatte ja rahe hai to todhi jan pehchan bhi ho jaye. Waqt zada asani se kat jayega."
"Lekin mera aisa koi khayal nahi hai."
Maine bina uske taraf dekhte huye kaha.
"Apko baat karne se parhez hai?"
Usne kuch sochne ke bad mujhse pucha.
"Yehi samjh lijiye."
Yeh kehte huye maine apni kitab bandh ki aur dusri aur dekhne lagi. Uski besharmi ne mujhe tang kar diya tha. Itni berukhi se shayad hi maine kabhi kisi se baat ki ho lekin wo shaks kuch ajeeb hi tha ki chup hone ka naam hi nahi le raha tha.
"Apko nahi lagta apke saath kuch masla hai?"
Uske is sawal ne mujhe itna gussa chadha diya ki main uski aur mudhi aur kaha
"Ji haan aur wo masla ap hai."
Ye keh kar maine call bell bajaiye aur apni seat change kar wali kyun ki us shaks ko aur bardasht karne ki himmat nahi thi mujhme. Mere khayal se ye kaam mujhe pehle hi karawa leni chahiye thi.
Ye din ko main bhula dena chahti hoon aur Allah se yehi dua hai ki meri is shaks se wo aur mulakat na karwaye.
Kal mera office me pehla din hai transfer ke bad. Islamabad me to sab theek tha ab Karachi ka pata nahi. Agar abba ke sehat ka masla nahi hota to main kabhi apna transfer na karati. Ab so jati hoon kal ek aur thakwat bhara din hone wala hai. Good night Diary.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...