Hello readers,
I hope you all love this story,
Thank you for your love and support ❣️❣️ENJOY READING❤❤
Teju was crying at TD's outburst. Karan and others were upset to see her cry. Karan thought to interfere and solve this problem but changed his mind, thinking it might worsen the situation..
Kd : shaant hoja Sunil.. Aisa chilana thik nhi hai.. Voh bhi kya karegi.. Voh try karti hai time spend karne ki.. Par kaam ki vajase nhi ho para hai..
Td : vahi toh bolra hun.. Kaam ki vajase.. Ye sab kuch uski kaam ke vajase hora hai.. Uski kaam uske appa se badkar hai kya?.. Paisa kamane me itna shauk hai ki appa ko hi bhul jao..
Tm : Sunil.. Abh syada hora hai.. Amaithiya irunga (chup ho jao)
Td : naan yen amaithiya irukanum ( mai kyun chup rahun).. I can't be here anymore.. I'm going to Chennai..
Teja wiped her tears and snatched the bag from TD..
Teja : bass.. Bohot hogaya.. Main sun rahi hun iska matlab ye nhi ki aap kuch bhi bologe..
Td : Mere upar chillayegi?... Tumhare selfish reasons ko point out karunga toh mujhpe chillayegi..
Teja : Mai selfish nahi hun... Never ever call me that... Haan, mai chillaoongi... Aap aisa bol rahe hain jaise mai paiso ki laalach mein zyada kaam kar rahi hun... Mai jo bhi kar rahi hun, sirf aapke liye kar rahi hun... Kya lagta hai aapko haan?... Mai meri shauk pure karne ke liye nahi, humari zaruraton ko pura karne ke liye kaam kar rahi hun
Karan : Laddoo, stop, baba. Don't speak to Appa like this..
Teja : No, Sunny... Aaj mujhe bolne do... Kya problem hai aapki, haan? Haan, maine aapke saath time spend nahi kar paya... Par aapko uska reason pata hai? Kuch dinon se meri life mein kya-kya ho raha hai, uske baare mein aap jaante ho? Nahi... Kuch nahi jaante ho... Aapko sirf aapki fikar hai... Thik hai, zyada kaam karne ki wajah se main aapse baat nahi kar pa rahi hoon, mil nahi pa rahi hoon... Par kabhi aapne khud phone karke pucha ki Teju kahan pe hai tu, khana khaya, kab aake appa ke saath time spend karegi... Aise kabhi pucha aapne? Nahi... Aapne kabhi mere professional life ke bare mein pucha? Kya kar rahi hoon, kaunsa project kar rahi hoon, meri manager kaun hai... Kuch bhi jaanne ki koshish kiya aapne? Nahi... Aapne bade aasaani se bol diya ki main apna shauk ke liye kaam kar rahi hoon... Wah... Aapko yahi lagta hai na... Itna hi jaan paaye ho na... I didn't expect this from you, appa... Poocho bhai se, Sunny se... Agar main chahti thi to bahar inke saath khana khakar aati... Par nahi....I thought of having dinner with my family.. Ungaloda, amma oda, Elarodayum sernthu sapadalam nu nenachan (aapke saath, amma ke saath, sabke saath milke khana khane ka soch rahi thi)..Sunny se baat kar rahi thi, aapko ghar jaake manana hai... Aap mere pe gusse ho, thoda manaungi toh thik ho jayenge, par nahi... Aaj aapki wajah se maine Sunny se bhi rudely baat kiya... Usne mere saath ladaai bhi nahi ki... Par aap... Aapne mere love and care ko galat bola... Mere intentions ko galat bola..
Tm : Teju.. Calm down.. Andhar jaa.. Appa ko mai handle karlungi..you go inside.. Karan, beta usko andhar leke jao
Karan kept his hand on her shoulder.. But she looked at him to stop his action..
Teja : I am talking to him.
Karan : kar na.. Par abh nhi Baad mei.. Now, you're not in your senses..
Teja : not in my senses matlab.. Mai paagal hun kya?..
Karan : mera aaisa matlab nhi hai laddoo.. The situation is not right.. Phele thande ho jao.. Phir baat karte hein.. Appa, aap bhi andhar jayiye.. Please..
YOU ARE READING
Dil Se Bandhi Ek Dor💗💗
FanfictionHello TejRan fam❤, Dive into the heartwarming saga of "Dil Se Bandhi Ek Dor", where the captivating tale of Tejasswi Prakash, a radiant South Indian actress, entwines with the charismatic MTV heartthrob, Karan Kundrra. Amidst the hues of Tamil and...