Zaroon 08 November

645 22 0
                                    

Aj office mein hi baith kar diary likh raha hoon. Aur intezar karne ki himmat nahi thi. Sochta hoon ki isse zyada maza kab aya tha mujhe akhiri bar?
Waise aaj kal to aise bohot saare kisse ho rahe hai. Jise , mano ya mano ,main kahi na kahi apni jeet samjhta hoon aur uski haar. Uska chehra dekhne layak tha jab maine kaha
"I think we need to change this entire project. Main bohot zyada khush nahi hoon isse."
"Change it? Par Mr.Junaid yeh apka hi plan tha."
Usne gusse me mujhse kaha. Gaur karne wali baat hai ki wo kabhi mujhe sir nahi bulati. Sochta hoon ek din tokun use is hawale se.
"Haan main manta hoon ki yeh mera hi plan tha magar ab mujhe ye pasand nahi aa raha."
"Main apni teen din ki mehnat aise zaya to nahi hone de sakti.Kal meeting hai. Chah kar bhi ye project dobara nahi ban sakta. Ye namumkin hai."
Usne chir kar kaha.
"Kashaf.."
"Ms.Kashaf."
"Ms.Kashaf Khair namumkin to nahi hai. Aur yaad kara doon apko to shayad apne hi kaha thi ki apke liye koi bhi chiz namumkin nahi hai."
"Ji haan bade ache se yaad hai. Magar baaz jagah par apko apna dimag bhi lagana chahiye.Ya ap apne dimag ka bhi deal kar aye?."
Itna guroor hai is ladki main. Yakeenan aise guroor ko todh nahi sakta main . Par iske zindagi ki mushkile to badha hi sakta hoon.
"Khair ab deal kiya hai ya nahi yeh apka masla nahi hai. Mujhe kal subah ye project ready chahiye. Ap dus minute ka break le lein phir hum plan discuss kar lenge."
Bina kuch kahe wo apne hath ke files patak ke chali gayi.
Sach kahun toh main uske project se bohot impressed tha aur plan bhi acha tha magar kuch maza nahi aa raha tha mujhe. Uski tareef jo karni parti mujhe. Khair agar wo waqt se pehle apna kaam na kar leti toh main uski mushkile nahi badha pata. Badi gaaliyan de rahi hogi mann hi mann mujhe. Khair aise kaam hi kar raha hoon main. Yakeenan wo ye kaam kal tak pura nahi kar payegi aur uska chehra phir dekhne layak hoga. Ek aur mauka miljayega mujhe.
Chalo agayi hai wo meri cabin me ab.
Kal baat hogi agar aur kuch mazedar nahi hua toh.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now