Samajh nahi aa raha aj sukun zyada hai ya thakavat. Kal poori raat nahi so payi thi us Zaroon Junaid ke karan.Usne mujhe tang karne ke liye apna plan change kiya hoga yeh main dawe se keh sakti hoon. Bohot dino baad uske chehre ko safed parta dekha hai aj maine aur us safed parte chehre ko dekh kar meri sari thakawat door hogayi thi.
Jab maine uske samne us project ko rakha aisa laga jaise uske muskurate huye chehre se kisi ne hasi chura li ho. Yakeenan uska khoon kholl raha tha. Use umeed nahi hogi ki main yeh kaam kar paungi. Usne toh lamba chaura plan banaya hoga ki kis tarah se woh meri beizatti kare project na mukammal kar pane par. Saare arman toot gaye bechare ke. Mann hi mann aj mujhe jung jeetne wali khushi ho rahi thi aur is bar main use zahir karne mein bhi nahi chuki. Meri hasi ne uske gusse ko aur chadha diya. Par wo kuch keh na saka. Tareef ki umeed toh main kar bhi nahi rahi thi. Chota ho jata wo agar meri tareef kar deta.Uske soch ko bohot ache se jaan chuki hoon main. Usne poori koshish ki mere project me galti nikalne magar woh phir ek bar asafal reh gaya. Bohot dino bad khushi ka ehsas hua hai warna usne toh meri zindagi azab hi bana di hai. Har roz woh kuch naye karname ko anjam deta hai. Par main bhi hamesha use muh tod jawab dene se nahi chukti. Par kuch lehaz karna parta hai. Unche odhe ke log lekin lehaz jaisi cheez ko mano mante hi nahi hai. Aj badi achi neend ane wali hai. Roz roz yeh mauka nahi ata hai. Good night.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...