Ammi ke mauth ke bad bohot badlav aya hai mujhme. Zindagi ko aur kareeb se dekhne laga hoon main. Ammi ko cancer tha jo unhone mujhe, apne antim ghadi tak ,batana zaruri nahi samjha.Unhone mujhe Islamabad bulwaya tha. Waha jane par unki halat ko dekh meri rooh kap gayi. Maine bohot koshishein ki shayad minatte bhi ki doctors ki magar kuch kaam nahi aya. Mere parivar ke naam pe bas Ammi hi toh thi. Khuda ne unhe bhi cheen liya.
Ammi hamesha mujhe Islamabad transfer karane ko kehti thi taki woh mere saath waqt guzar sake. Par main hi hamesha talta raha. Sochta hoon agar pehle main unhe samajh paya hota to yeh naubat nahi ati. Ammi ki mauth ek bada dhakka toh thi hi mere liye magar jane se pehle ammi ne jo baatein mujhe batayi woh shayad mujhe me baaz chizon Ko lekar bohot sari tabdiliyan la rahi hai. Ab shayad main wahi Zaroon nahi raha.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
Hayran KurguHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...