Zaroon 26 November

541 20 3
                                    

Aaj phir office main baith kar hi diary likh raha hoon.Us din toh main kuch kar nahi paya magar aaj maine us din ka badla le liya shayad. Haaye kitni i di hogi mujhe. Pehli baar kisi koi mujhe gaaliyan de raha hoga yeh soch ke maza aa raha hai. Us din toh na jaane kitne plans banaye the maine. Magar usne woh project pura kar lia jaise koi jaadu ki chari ghumai aur hogaya aur woh bhi itne behtareen tareeke se. Sach pucho toh main khud woh kaam nahi kar pata. Kuch baat toh hai is ladki main. Agar itne drame(drama) na kare toh itni buri bhi nahi hai. Kabil hai magar main apne harqato se baaz nahi ane wale. Sach kahun toh ab badle se zada maza ane laga hai. Yeh ek chuhe billi ka khel ban gaya hai ab. Woh khud kuch himakat toh nahi karti magar meri har ek chaal ka muh tod jawab deti hai.
Aj office time khatam hone se theek dus minute pehle jab woh apni jaane ki tayari kar rahi thi maine use apne cabin me bulawaya.
"Apne mujhe bulwaya?"
"Ji tabhi toh aap yaha ayi hai."
"Mudde par ayiye"
"Khair mujhe bhi koi shauk nahi apke saath phisool baatein karne ka."
"Par ap apni adat se toh majbur hai.Kyu bulwaya apne mujhe?"
"Woh tumne Hossain sahab ki file puri kar li?"
"Hossain sahab ki file? Woh toh kal deni thi maine apko."
"Par mujhe abhi uski zarurat hai."
"Par woh file abhi complete nahi hai.Ap kal subah le lijiyega."
"Ms.Kashaf main chahta hoon  ap office mein baith kar woh file complete karein."
"Par yeh toh mere jaane ka waqt hai."
"Yeh toh apko pehle sochna chahiye tha."
"Yakeenan ap yeh jaan bujh kar hi kar rahe hai. Masla kya hai apke saath?"
"Tum ho masla."
Yeh sunte hi uske chehre par gussa chadhta hua dikha mujhe. Mano waha saare rakhe huye chizon se woh mera sar padhna chahti ho. Magar main hass raha tha kyun ki mujhe flight ka waqya yaad agaya. Kuch aise hi beizatti ki thi usne mere. Chalo ek aur hisab barabar hua. Bina kuch kahe woh waha se chali gayi aur main muskurata raha.
Use kareeban teen ghante hogaye hai abhi tak file complete nahi hui. Aaj ghar jaane ki koi jaldi nahi hai mujhe main chahta hoon jitna zada waqt lage utna acha hoga.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now