Aaj phir us admi ne mera dimag kharab kar diya hai. Kya chahta hai wo? Project wali harqat kam thi jo aaj usne mujhe phir tang karne ka soch liya. Jee chah raha tha sar phod doon uska. Yakeenan koi cheez hath mein hoti toh aaj toh main use nahi chorti. Aise hass raha tha jaise pata nahi kya haasil kar liya ho usne. Yeh meri zindagi ke maslon ko kuch zyada hi badha raha hai.
Use woh file chahiye hi nahi thi bas mujhe tang karne ke liye usne mang liya. Agar chahiye hoti toh woh usi waqt daftar se na nikal jata. Apne audhe ka bohot galat istamal kar raha hai ye. Jis din mere sabr ka baan tut gaya main iski aisi beizatti karungi ki yaad rakhega zindagi bhar kis se pala para tha. Woh shayad sochta hai main usse dar jaungi. Galat soch rakhta hai woh yeh sabit karungi main use.
Wasie kuch hadh tak sabit toh kar hi chuki hoon. Sach
hai Allah mauka aur saza dono deta hai. Sham ke waqt
use mauka mila jiska usne galat istemal kiya aur raat
hote hi use uski saza bhi mil gayi. Ek baar phir usne
apni achi khasi beizatti karai . Uski woh gusse se lal
ankhe abhi bhi meri ankho ke samne ghum rahi hai.
Magar kehte hai na jaise boge(sow) waise hi paoge.
Raat ke waqt jab main building se utri tab Koi bhi nahi
tha daftar mein security guards ke alawa. Utarte hi
maine dekha ki woh kuch asmanjas mein apni gadi ke
pas khada tha. Magar main agi badh gayi. maine dekha
woh meri gaadi ki odh araha hai tha,bina use tavajju
diye main baith gayi magar woh jald hi mere khidki ke
samne aa khada hua. Sheesha ko utar kar maine usse
pucha
"Ji apko abhi bhi kuch kaam hai?saare mahina bhar ka
kaam karana hai?"
Usne dheemi awaz mein jawab diya.
"Woh Ms.Kashaf actually meri gaadi kharab hogayi hai
aur ap toh janti hai yaha transport milna namumkin hai.
Main soch raha tha ap agar bas mujhe Taxi stand tak hi
chor deti."
"Mera nahi khayal magar. Dekhiye mujhe jaldi hai aur
Taxi stand mere liye ulta parega."
"Kashaf insaniyat ke naate hi kar dijiye. Main manta
hoon humare relations bohot ache nahi hai but..."
"Dekhiye main apko lift nahi de sakti mujhe jaldi hai
mera waqt na zaya kare."
"Kashaf please apka bas dus minute hi lagega."
"Dekhiye ap taxi stand chal kar bhi toh ja sakte hai.
Yahin kuch 10 kilometre door hoga. Ap yakeenan pohnh
jayenge.Driver gaadi age badhaiye."
Uske chehre par jo laachari thi use dekh mujhe itna
sukoon mila woh soch bhi nahi skata hai. Khair phir
maine taxi stand se ek taxi bhej wa di thi. Magar use
zalil karne mein jo khushi mili use main bayan nahi kar
sakti.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...