Happy Father's Day - Poetry

1 0 0
                                    

Happy Father's Day
.
Agar kabhi koshis to kari hoti. Ki apni har subah ki shuruat unke paon choone se karte. To unhe jarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Agar jaise apni khushiyon ko sabse pehle maa ke saath baant lete ho. Thik waise hi kabhi agar pita ke saath bhi baant lete. To unhe jarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Agar jaise tum apne dosto ko puch lete ho kya tumne ne khana kahya ya nahi. Thik waise hi kabhi lunch time mein agar pita ji se bhi puch lete. To unhe jarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Agar jaise apne achey ya bure parinaamo ka hal jaan kar sabse pehle maa se lipat kar hasne ya rone lagte ho. Thik waise hi kabhi agar pita ji se bhi gale lipat jate. To unhe jarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Agar kabhi pita ji ke rooth jane par unko manane ke liye. Raat ko sone se pehle agar kabhi unke thode se paon hi daba diye hote. To unhe jarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Agar hum bhool nahi jate maa ke itne dulaar mein maa ke itne pyaar mein aur iss sansar ke tamamon aisho araam mein. Joki pita ji ne hi to humein diye hai. To unhe zarur acha lagta.
.
Unhe jarur acha lagta. Ke unke prati humare bhi kuch farj hai humare bhi kuch kartavya hai. Jinka unhe besabri se intezaar hai. Ab agar ye intezaar bhi khatam ho jata. To unhe jarur acha lagta.
.
- Kabeer Gautam

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 04 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Happy Father's Day - Poetry Where stories live. Discover now