PART 46

881 67 9
                                    

In karan's residency

Karan was handing over all documents to faizi.

Faizi- karan tumne kuch kaha kyo nahi

Karan- kya kehta yaar...tujhe pata hai hamare desh me sabse badi problem kya hai...yaha ilzaam lagane ke liye koi saboot ki zaroorat nahi hoti hai lekin begunaah saabit karne ke liye saboot chahiye...aur aaj bhi vahi hua...aneesh ne mujh par ilzaam laga diye aur mere paas khud ko begunaah saabit karne ke liye koi saboot nahi tha...main aur monami hamari shadi me kitne khush hai...ye main janta hu...mujhe mehsoos hota hai lekin ye feeling main un logo ko nahi mehsoos karwa sakta...unhe explain nahi kar sakta...its just not possible

Faizi- par ham aise haath pe haath rakh kar bhi toh nahi baith sakte naa...kuch toh karna hi hoga

Karan- kuch samajh nahi aa raha mujhe faizi...kuch bhi nahi...yaha academy se weapons chori huye hai...monami ko kisi ne zeher de diya aur main in dono matters ko investigate nahi kar sakta

Faizi supports him.

In dispensary

Sanjana and barkha were with monami. Sanjana informed barkha about karan's suspension. Barkha was caressing monami's hair when monami gets conscious.

Monami moans in pain- karan

Barkha- monami...monami aankhein kholo

Monami opens her eyes and looks around.

Barkha- monami thik lag raha hai tumhe

Monami nods- bhabhi...karan kaha hai

Barkha looks at sanjana and then at monami.

Barkha- vo aa jayega monami...tum apna dhyaan rakho...aaram karo...tumhe aaram ki bohot zaroorat hai...pura bed rest karna hai

Monami- aap mujhse kuch chupa rahe ho na bhabhi...please bataiye kya hua hai...karan kaha hai...bataiye na...sanjana tum toh bolo please

Monami tries getting up. Barkha and sanjana hold her.

Barkha- monami...kya kar rahi ho

Monami- bhabhi please karan ko bulaiye na

Sanjana- monami...karan sir ji yaha naa aa sako hai

Monami- par kyo

Sanjana sighs and tells her everything.

In drills area

Karan comes with his uniform and gives it to param who takes it teary eyed. Both of them weren't looking at each other just performing their duties quietly. Faizi was angry yet emotional. All cadets were also sad while aneesh was the happiest. Batra sir was also feeling bad.

Monami comes there with support of barkha and sanjana and sees the scene.

Monami crying- karan

All look at monami and were shocked seeing her there.

Karan frowns- monami

Karan comes in front of monami. Before he could talk to her aneesh comes in between.

Aneesh holds monami- monami tum yaha kya kar rahi ho...u need complete bed rest...chalo tum mere sath dispensary.....

Aneesh stops as monami jerks his hands and steps forward. She stumbles due to weakness and karan holds her. Monami hugs karan who hugs her back.

Karan breaks the hug- monami...tum yaha kya kar rahi ho...bhabhi aap kyo laye ise yaha

Monami crying- bhabhi se kyo keh rahe ho...mujhse baat karo...itni badi baat ho gayi aur tum ab bhi mere baare me soch rahe ho

Karan sighs- monami...tumhari health se bad kar kuch nahi hai....

Monami raises her voice- hai...meri health se bhi bad kar tumhare liye tumhari duty hai...ye desh hai...karan main janti hu tumhare liye desh aur tumhari duty ke kya maayne hai...main kabhi bhi tumhari duty le beech nahi aana chahti thi par aaj aa gayi...i am sorry meri vajah se tumhe aaj...(cries)

Karan holds her- monami tumhari vajah se kuch nahi hua hai...just relax...desh ki raksha karne ke liye mujhe kisi uniform ki zaroorat nahi hai Monami...main bina kisi title ke bhi apne desh ki raksha kar sakta hu...samjhi tum...aur ab please tum bhabhi ke sath jao...rest karo...main aakar tumse baat karta hu

Monami holds karan's hand- nahi...mujhe abhi baat karni hai aur sabse karni hai (looks at batra sir) sir aapne karan ko isliye suspend kiya na kyoki aapko lagta hai karan ke paas mujhe poison dene ki ek strong vajah hai...aur vo vajah bhi yahi hai na ki karan aur main hamari shadi me khush nahi hai...we don't like each other...hamne ye shadi majboori me ki...sir agar yahi baatein aap do mahine pehle kehte toh shayad main bhi yakeen kar leti lekin in do mahino me bohot kuch badla hai...hamara rishta badla hai...jo maine kabhi nahi socha tha vo mere sath ho gaya...i fell in love...i fell in love with karan...aur karan...sir agar galat hua hai toh karan ke sath hua hai...shaheed mere mumma papa huye the...jaan meri khatre me thi...meri shadi ho ye aakhiri iccha bhi mere mumma papa ki thi...in sab me karan toh kahi tha hi nahi...lekin karan ne apne bhaiya ke khaatir mujhse shadi kar li...vo chahta toh mana kar sakta tha...use hak tha pura...vo meri life ki problems me khud ko kyo daale...but he did...haa shuru me ham ek dusre ko dekhna tak nahi chahte the...karan ko accha nahi laga tha jab maine academy join ki...lekin ye bhi sach hai ki karan hi vo pehla insaan tha jisne mujhse kaha tha ki agar main chahu toh army doctor ban sakti hu...i am capable of it...he motivated me...ham dono me behes hui hai...jhagde bhi huye hai...misunderstandings bhi hui hai lekin ye toh har rishte me hoti hai...aur ham ek dusre ko jante hi kitna the...karan ke liye main uski juhi mam ki beti aur mere liye vo meri mumma ka junior...bas yahi intro tha hamara...par ab ham ek dusre ko jaan ne lage hai...samajhne lage hai...pyaar karne lage hai...aur ye main khud keh rahi hu...karan mujhe takleef dene ke baare me kabhi nahi soch sakta...isliye karan par jo bhi ilzaam lage hai vo jhoothe hai...main apna statement dene ko tayyar hu

Karan sighs- monami...stop please

Monami looks at him- nahi...tumne sabka statement liya na...tumhara bhi liya gaya...toh mera toh sabse pehle lena chahiye tha na...after all victim toh main hi hu na...mujhe poison diya gaya hai so sabse pehle toh mujhe question karna chahiye...aur main ye yakeen ke sath keh sakti hu ki karan ne mujhe poison nahi diya hai...uski koi galti nahi hai

Aneesh- monami tum daro mat...ham sab tumhare sath hai...main tumhare sath hu...tum sach bolo...karan ko mat bachao....

Monami raises her voice- are mujhe nahi chahiye kisi ka sath...karan hai na aur main kyo sach chupaungi...and tum kaun hote ho mere aur mere husband ke matter ke beech bolne wale...who are u...tum sirf mere college friend the aur agar tum academy join nahi karte toh mujhe shayad tum kabhi yaad aate bhi nahi...and please for God's sake stop interfering in my life...dost ho...dost ban kar raho ya fir dosti bhi khatam kar do...i really don't care kyoki tum mere liye important nahi ho karan hai...aur mera husband mera dhyaan kaise rakhega ye decide karne wale tum hote kaun ho...just stay away ok

Karan holds monami knowing she is weak- monami ab bas karo please...academy ke kuch rules hai jo ham sabko follow karne hote hai...yaha par sab vahi kar rahe hai

Monami looks at him- lekin agar aneesh tumhe blame nahi karta toh aisa kuch nahi hota

Karan sighs- aisa kuch nahi hai Monami...tum please shaant ho jao...u are not well...u need to rest (looks at barkha) bhabhi please lekar jaiye ise

Barkha nods- monami chalo

Monami nods in no- nahi...mujhe nahi jana...batra sir aap kahiye na...main khud keh rahi hu ki karan ne mujhe zeher nahi diya uske baad bhi aap use suspend karenge

Batra sir- monami...u are absolutely right...agar tum khud statement de rahi ho toh karan ke khilaaf enquiry kyo hogi

Monami cries in relief. Param and karan also sigh.

Barkha- monami tum jo chahti thi vo ho gaya na...ab chalo...tum bohot kamzor ho...tumhe aaram ki bohot zyada zaroorat hai...chalo

Batra sir- barkha is right...karan tum monami ko lekar jao...is waqt vo sirf tumhari baat maanegi

Karan nods and takes monami to the dispensary.

ZDMN FF:- JOURNEY TO LOVEWhere stories live. Discover now