In hospital
Siddhant barge inside sharda's room...sharda looked at him with a smile..
Sharda : kaisa laga tumhe surprise....(siddhant clench his fist) swara ko chot pahuncha kr acha toh nhi laga ..pr darana zaruri h...tbhi toh woh shaadi se backout kregi...
Siddhant : aapki himmat bhi kaise hui swara ki jaan lene ki koshish krne ki..
Sharda : veer....ab yeh mt kehna ki tumhe usse sach mein pyar h...uh know...preeta ko apni life mein haasil krne ke liye kuch ko toh chorna hoga peeche....
Siddhant : kisi ko haasil krne ki chaah kabhi veer mein thi nhi...na hi kabhi hogi sharda ji....agar aapko preeta ko meri zindagi mein laana h...toh apne bete karan ko maariye jaan se...
Sharda (stood up angrily) : veer....
Siddhant : ohh toh aap isme bhi naatak kr rhi hn....how did uh trick Dr rakesh...unhone khud reports prepare ki jn..
Sharda : is hospital mein aaj bhi kuch log hn jinhe paise jyada chahiye hote hn...
Siddhant : really...thik h ma'am...fir mai aapko dikhata hun...swara ko chot pahunchane ka anjaam kya hota h...
Sharda : tumhe preeta chahiye....aur mujhe woh ladki mere bete ki life se bahar ...maine jo kiya...woh sahi tha...
Siddhant : mai karan maar deta hun tb bhi mujhe preeta mil jayegi..kyun....shaadi ke function ke bich kuch na kuch haadse hote ho hn...boliye maar dun...
Sharda : khbrdaar.....khbrdaar tumne mere bete ke saath kuch bhi kiya ...
Siddhant : toh aap ko bhi mai warn krta hun...aapne agar mere doston ya swara ko chot tk pahunchai...toh woh aakhri din hoga karan ka....
Sharda (stood close to him) : tum veer nhi ho sakte....tumhari aankhon mein veer ke aankhon ki chamak nhi...
Siddhant : jab apne hi pyaar ko kisi aur ki bahon mein dekho na...toh chamak gayab ho jaati h...sharda ma'am.... don't uh dare try to hurt anyone....or else ur precious son will not be alive....
Siddhant walks away from there in anger
Sharda : tum mujhe jaante nhi veer....tum asal mein mera hi kaam kroge.....(smirks) i dont care ...if my so called son lives or dies.....
Scene shifts
Swara's room
Swara sits infront of mirror....she looked at bruising around her neck.....
Muskan : swara...yeh mami ji ne dudh bhijwaya...(she stopped looking at bruising around her neck) swara...yeh...yeh kya hua haan....
Muskan sit on floor and looked at it...
Swara : kuch...kuch nhi bhabhi...woh shayad necklace ki wajah se allergy ho gyi...
Muskan : yeh allergy ka nishaan nhi h swara...kya hua h bol...
Swara : kuch nhi...
Muskan : swara....mai aaryan ko bulaun....tu jaanti hai fir woh kaisa react krega....bol kya hua h...
Swara : nhi...aaryan ko nhi pls bhabhi...aaj sagai ke baad....mai...mai corridor ke paas thi...aur tb (she explained whole incident to her...muskan looked at her shockingly) pta...pta nhi kon tha woh jisne...jisne yeh kiya....pr...pr mai nhi chahti thi ki kisi ko pta chle aur sab...sab ghbra jaayein...isliye maine veer aur Siddhant ko mna kr diya...kuch na bolein woh dono...
Muskan : swara...yeh baat chupane wali nhi h....agar aisa kuch dobara hua....tu..
Swara : bhabhi pls...mai...mai alert rhungi...veer...veer ko toh pta h na....hum...hum dono dhyaan denge...pr is shaadi mein koi vighn nhi chahti....pls bhabhi..promise me..aap nhi bolengi kisi ko... especially aaryan ko ..pls...(muskan nods sighing) thank...(she got interrupted when her phone rings) veer ka call h...