Aaj mujhe phir hasi aa rahi hai. Socha nahi tha ki yeh din bhi dekhna parega. Kahan main use itna tang kiya karta tha aur aaj maine khud usse maafi mangi woh bhi apni har ek harqat ke liye. Wah bhai! itni himmat toh na thi kabhi mujhme.
Chalo ab koi ehsas-e-jurm toh nahi rahega mujhe. Usne bhi maafi mangi par mere hisab se toh uski galti thi hi nahi. Usne har mor par meri beizatti zarur ki hai magar mujhe use samjhna chahiye tha. Har ladki ek jaisi nahi hoti. Main use conservative toh nahi kahunga magar woh shayad aisi faltu chizon par tavajju nahi deti. Acha baat hai yeh toh. Magar hum mard bhi kitne hypocrite hote hai. Mehbooba me se hum boldness expect karte hai aur biwi aisi chahiye jo in sab chizon se parhez kare bhale hi hum kuch bhi kare.
Kashaf ek achi ladki hai maine usse maafi mang kar acha kiya magar main phir bhi manta hoon ki uska dimag saathwe asman par hi rehta hai. Aisi ladki maine dekhi nahi kabhi sach kahun toh.
Sochta hoon kya woh bhi mere jaise diary likha karti hogi? Ammi jab mujhe diary likhta dekhti thi toh kehti thi
"Yeh diary likhne ki adat kyun hai tumhe?"
"Shayad taki main kabhi apne har ek lamhe ko phir se jee sakun."
aur woh has dia karti thi. Maine apni diary kabhi read nahi ki,time hi nahi milta magar kabhi toh baithunga shayad apne budhape mein aur yeh saari baatein padhunga. Yakeenan apni soch aur naadaniyon par hasunga. Aaj mann toh bohot kuch likhne ko hain. Magar kal ek important deal hai office jaldi pohnchna hai. Good night.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...