350

30 2 2
                                    

Gahri khamoshi si ek raat m tez tez barish ki awaze uske kaan m padh rahi thi aur woh blancket m mun chupaye leti huyi thi q ki use bachpan se hi tez bijli se chamakti barish se darr lagti thi halki barish se jitna ise mohabbat thi utna hi gehri khamosh bijli ki awaz aur tez barish se khauf ata tha aur sare ghar wale suye huye the woh nhi chahti thi ki kisi ko uthaye is liye ke agr woh uthaye gi bhi toh konsa koi sirf is keliye apni nind kharab karega woh konsa kisi ke liye itni important thi woh toh sirf ek nacheez ki taraha thi jab zaroorat hoti tab uska istemal kiya jata warna toh kisi kaam ki na thi woh uski khubsurat badi badi gehri ankho main khauf ke sath chamakte ansoo bhi the jistarha chamakti bijli thi usi tarha bas farak itna tha ansoo khamosh hote the aur bijli awaaz karti thi
..........................
Lahor ke is shahar numa gao main khanzada villa main ek halchal si thi yaha raat ka sama bhi din ke jaisa ujala kiye huye tha aur hota bhi q na is ghar ka sab se ladla aur naya sarpanj araha tha ( badshah bhi kaha jaye toh kuch galat na tha ) uski shaksiyat thi hi aisi pathano jaisi aan baan rakhne ke bawajood pora magribi husn liye huye tha pora gao sirf use dekhne ke liye aaj jama hua tha khanzade haveli ke bahar q ke woh pore 5 saal baad gao m kadam rakhne wala tha pore khanzade haveli main ek halchal si machi huyi thi koi khush tha toh koi khaufzada agr koi khaufzada tha toh us main sirf ek shaksiyat thi joh buhat. Khauf zada tha aur woh tha burhan khanzada q ke woh janta tha ki agr woh ayega toh iske raton ki auting band uske aish ke din band padhayi aur zimmedariyon ke din shuro is liye ke woh buhat sanjida mijaz hone ke sath sath beinteha ukhad mijaz bhi tha kam go teer jaise dekhne wala bolta toh aisa ki samne wale ko dusra alfaz bolne ke liye nhi bachta uski shaksiyat aisi thi ke joh dekhta ek hi nazar m uska aseer ho jata tha joh apne pure khandan ya yun kaha jaye toh galat na hoga pore gao m be inteha khubsurat aur zaheen tha ghar ke sare mard use lene airport gayehuye the q ke woh amrica se pore 5 saal baad laut raha tha har koi khush tha aur har koi mutazir bhi tha akhir kar sab ka intezar khatam hua 2 BMW dakhli darwaze m dakhil huyi aur bas 2 min baad hi ek black THAR dakhli darwaze ke paas char charati awaz ke sath hi khanzada ke gate ke paas ruki thi haveli ki aurte sab ke sab darwaze ke paas jama ho gyi thi use dekhne ke liye THAR ka darwaza khula tha aur ek pair bahar nikla tha branded black shoes phir woh pora ka pora bahar nikal gya tha 6 fit se nikalta kad surkh wa safed rangat badi badi hazal green ankhe chaudi peshani par halki lakire bani huyi thi khadi magroor nak ghani beard m kale chamakte ghane silky baal joh ke halke mathe par bikhre huye uske husn ko aur badha rahe the aur khubsurti ko mazeed ujagar karti huyi gaal m padhta woh gaddha joh sirf uske halke se mun ko hilane se hi zahir ho raha tha agr woh hansega toh mazeed kitna khubsurat hoga black hi kurte shalwar ke sath hi brown shall chaude kandhe par dale huye tha joh dekhta mabhoot ho jata khuda ne use husn bhar bhar ke diya tha woh magroor aur mazboot kadam uthata hua
Age bada tha aur jahangir begum ke age jhuk gaya tha unhone uska chudi peshani ko chuma tha phir woh bari bari sab se mila tha phir palat kar sab gao walon ke age hath ko hilaya tha joh cheez sab se zyada usse juda thi woh thi uske chehre ki woh khubsurat muskurahat joh ke uske haseen aur wajiha chehre se juda thi woh apne gahr walo se bhi milte huye muskuraya nhi tha kya waqayi woh uske apne ghar wale the ya......
Woh begar kisi ko dekhe andar chala gya tha

Gehraiyan 🖤🖤Unde poveștirile trăiesc. Descoperă acum