Shiv ji ki baraat toh naachte-gaate-jhoomte nikal padi hai. Itna man-mohak drishya hai ki dekh ke man harshit ho jaaye. Logon mein alag hi josh hai, lagaatar naach rahein hain, gaa rahein hain, jhoom rahein hain lekin thak nahi rahein. Saara sheher jhoom utha hai.
Bhai baraat toh ab pahuch hi jayegi, tab tak chaliye pandaal ki oor chalte hain.
___________________________________________Pandaal
Mandir ki oor se laga hai bhavya pandaal. Entrance par 2 Bade haathi 🐘🐘soond hilaate hue chinghaar rahein hain. Ladkiyan pushpon🌹🥀🌼 ki thaal liye khadi hai. Sath mein kuch cops bhi khade hain.
Dwar pe bada sa jhoomar laga hai aur pandaal ke bheetar 4000 se 5000 logon ke baithne ke baithne ka intzaam kiya gaya tha. Sabse aage gadde, uske piche sofe aur uske piche kursiyan lagi hui thi.
Theek saamne thodi unchai pe bada sa stage bana hai jispe 2 mandap aur uske bicho-beech lekin level mein thode piche ek bada sa pathhar jaisa rakha hua hai aur parvat ki shikhayein banai gayi hai. Aur mandap toh itna bhavya hai maano jaise swayam Vishwakarma ne banaya ho.
Baahar se dekhne pe stage se kuch door dahine side pe ek gate banaya hua hai aur wahaan se niche utarne ke liye sidhiyan banai gayi hai.
Bayein side mein thodi door pe shesh-naag ka aasan banaya gaya hai. Stage ke theek pichhe bada sa wallpaper laga hai Shiv-Parvati ka aur uske piche ek kamra banaya gaya hai jahaan pe ladies taiyaar ho rahi hain.
Nandini aur Mansi milke Riddhi ko taiyaar kar rahi hain aur Koyal aur Rashmi milke Siddhi ko ready kar rahi hain. Bagal mein Rose ek chair pe baithi hui hai. Keerti ne bhi Naira ko ready kar diya hai. Usey dekh ke aisa lagta hai ki maano sach-much devi Parvati hi dharti pe utar aayin ho.
Riddhi aur Siddhi ne traditional nepali bridal dress pehna hai aur sath mein waisi hi jewelleries bhi pehni hai. Dono kaafi khoobsurat lag rahi hain.
___________________________________________Pandal mein Yash aur Anmol saari dekh-rekh kar rahein hain. Ansh aur Krish bhi wahi hote hain. Sehsa unhe "Har Har Mahadev" ki gunj sunai deti hai.
Yash - Lagta hai baarat aa gayi.
Anmol - Haan bhaiya! Main maa aur baaki sab ko bata deta hoon.
Yash - Tu bahaar chal mere sath, band-baaje ki aawaz sunke woh log khud hi aa jayenge.
Ansh - Yaa!
Krish - Chaliye chalte hain.
Fir Yash, Anmol, Krish aur Ansh entrance par aa jaate hain. Thodi der mein wahaan pe Nandini, Koyal aur Rashmi bhi aa jati hai. Piche se Keerti aur Mansi bhi haath mein malaon ki thaal liye aati hai.
Baarat dhoom-dhadaake ke sath pahuchti hai. Cops bheer sambhalte hue sabko dusre entrance se pandal ke andar le jaate hain jahaan unke baithne ki vyavastha ki gayi thi.
Main entrance pe Goenkas aate hain. Sabse aage Kartik (Shiv) aur uske dono taraf Luv aur Kush hote hain. Sablog ek-dusre ko greet karte hain.
Yash aur Anmol aage badhke Manish aur Akhilesh ko maala pehnate hain. Koyal Suhasini ko, Nandini Tejaswini ko aur Rashmi Damini ko mala pehnati hai.
Keerti dekhti hai ki Mansi Swarna ko maala pehnane ke liye aage badh rahi hai. Keerti turant aage aake Swarna ko maala pehna deti hai aur majbooran Mansi ko Surekha ke gale mein maala daalni padti hai. Surekha Keerti ko isharo mein thank you bolti hai. Keerti bhi usey palak jhapkaate hue aashwaashan de deti hai.
Fir woh log pandal ki taraf badhne lagte hain aur wahaan khadi ladkiyaan phool barsaati hain. Saare log stage wale gate ki taraf jaate hain.
Manish, Swarna, Akhilesh, Surekha, Suhasini, Tejaswini, Damini, Nandini, Rashmi, Koyal, Yash, Anmol, Ansh, Krish aur Chikki ek-ek karke gate se nikalte hain aur sidhiyon se niche utar ke samne rakhe sofe aur gaddon pe jaake baith jaate hain.
YOU ARE READING
Yeh Rishta Meetha Sa ❤
FanfictionThis is my first ever story on wattpad, it's a fan fiction of famous tv show 'Yeh Rishta Kya Kehlata Hai'. This story shows the lives of Naksh, Kaira, Keesh, Mishbir and their families. 1) It's a story of families who are connected to each-other by...