Kashaf 04 January

459 15 0
                                    

Aaj Zaroon achanak meri cabin mein chala aya. Wo hamesha mujhe apni cabin mein bulaya karta tha chahe woh mere cabin ke pas se hazar bar hi kyun na guzar ke jata ho. Woh bohot khush lag raha tha aur hona bhi chahiye tha kyun ki woh deal jo final hogayi thi.
"Kashaf deal ke final hone ka sara credit tumhe jata hai. Bohot mehnat ki tumne us project par. Main tumhe ek aur zimmedari dene aya hoon."
"Sir mehnat toh apne bhi kiya. Plan apka tha maine bas execute kiya.ap baithe pehle aur bataein."
Usne baithte huye kaha
"Kabhi kabhi plan kharab bhi ho toh execution use kabil bana deti hai."
Usne muskurakar meri taraf dekha aur phir apni baat shuru kar di
"Haan toh main keh raha tha ki is deal ke final hone ki khushi mein hume ek party rakhni hai. Toh main chahta hoon tum use organise karo."
"Magar sir party organise wagera toh mujhe nahi ata. Aap Maria ya kisi se keh de woh in sab chizon mein mahir hai."
"Kashaf haan woh kar sakte hai kabil aur mahir dono hai. Magar main chahta hoon tum hi organise karo. There's always a first time and I know you will manage it well. It's gonna be a grand one. Tum team bana lo main tumhe akele karne ko nahi keh raha."
Main nahi chahti thi ki woh aur israar kare isliye main maan gayi.
"Aur yeh party Kab hai?"
"Saturday ko.Kareeban chaar din hai tumhare pas."
"Theek hai sir."
Sar hila kar woh meri taraf dekh kar muskuraya aur phir chala gaya cabin se. Aisi kya kabiliat dikhti hain Zaroon ko mujhme ki woh aise chiz ki zimmedari mujhe dene ko tayyar hogaya jisme mujhe koi experience nahi hai. Uske is confidence se mujhe bhi bohot confidence mila hai.Tajjub hota hai usme itni tabdili dekh kar.

.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now